Achi Sohbat Ka Acha Asar

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)

doston jaise ham yahan par har jummah sab dost milkar namaz ke baad dars ka ahtemam karte hain jimse biltarteeb Dars e Quran Dars e Hadees aur Hasil e Mutala ya phir Halat e Hajira par baten hoti hain to aaj ke dars me hamare ek dost ne badi achi baat kahi jisme hamare liye ek achi naseehat hai to ham soche k kyun na aap sab ke sath bhi share ki jaye

unhone ne achi sohbat ka acha asar par baat karte huye ek naseehat amoz waqiye ka zikar kiye jo qadeem zamane se tha ek shaqs ke paas ek mehman aakar ruke aur unko fresh hone ki zaroorat thi to unhe kaha to mezban ne nahane ki jageh dikhayi bathrm aur us waqt to ab ki tarah shampoo saboon wagairah nahi the lekin us waqt jo maissar tha wo le jakar diye, apne hath me mitti bhar ke unko diye jism malne k liye wohi saboon tha tab to us mehman ne jab mitthi li to wo itni khushbudaar thi ke wo kaafi mutassir hogaye us mitti se aur uss mitti se puchne lage ke kya tu wohi mitti hai jisse ham aam zamane me mitti kehte hain ya kuch aur hai to mitti kehne lagi main wohi mitti hun jisse tum aam zamane me mitti kehte ho, to phir mehman ne pucha mitti se ke phir tum me ye khushbu kaisi to mitti ne jawab diya ham phulon ki sohbat me rahi hun isliye unki khushbu mere andar hai unka asar mere andar baki hai subhan Allah :)

to doston kehna ka yehi maqsad hai ke ache logon ke sath rehna ka asar bhi kuch aise hi hai ke insan acha hojata hai uske andar kuch to achai ajati hai aur bure logon ki sohbat me rehne se wo bhi bura hojata hai ya phir kuch to burai uske andar aajati hai

aur ache logon ke sath rehne se acha na bhi hua to loog usse acha samajhte hain waise hi bure logon k sath rehne wala bura na bhi hua ho lekin loog usko bura samajhte hain

hame bhi chahiye ke ham deeni majalis me baitha kare ache doston ki sohbat ikhtiar karen isse hame achai hi milegi inshaAllah

hame ye naseehat amoz laga to apke sath share kiye umeed hai aap bhi isse naseehat hasil karenge aur koshish karenge ke ache doston ki sohbat ikhtiar karen

Jazakumullahu khairan :)
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
very well n true said bhai
:)
good company plays really a vital role in development of a person's character
:)
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
JazakAllah Khair
belkul sahi kaha aapne surely koi banda jess Mahool mei rahta hain ager voh acha Mahool ho tu us bande mei ache khasiat paida honge aur ager voh kharab Mahool ho jess mei banda chahe khud kitna bhi us burae se dor rahne ki koshish kio na kare pir bhi us se attached hota hain jes wajah se bura aser us pe per jata hai,
tu sabke lie yeh bhi zaroori hain ager voh khud ache and sache baat ko samajhte hain jub k uska mahool sahi nahin and waha k loug bhi sahi baat nahin samajhte tu usay chahye sabhe ko voh sahe baat samjahye and Deen ki baat bataye pir chahe voh loug samjhe ya na samjhe, hidayat hasel kare ya na kare us bande ki khud kio hidayat zaroor huti hain.
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalam u alaikum wrwb
boht khoobsorat baat ap ne share ki..
bilkul sahi baat hai.sohbat k insan pe boht gehra asar hota hai..
jazakAllah..
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
waqai buhut hi simple wordz main buhut hi achi baat smjai gai hy..thanx for sharing...
shukran janab :)
waise hame is dars se kaafi kuch sikhne ko milta hai
aur ye dars bhi hamare andar tabdeeli ki ek wajhe hai
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
JazakAllah Khair
belkul sahi kaha aapne surely koi banda jess Mahool mei rahta hain ager voh acha Mahool ho tu us bande mei ache khasiat paida honge aur ager voh kharab Mahool ho jess mei banda chahe khud kitna bhi us burae se dor rahne ki koshish kio na kare pir bhi us se attached hota hain jes wajah se bura aser us pe per jata hai,
tu sabke lie yeh bhi zaroori hain ager voh khud ache and sache baat ko samajhte hain jub k uska mahool sahi nahin and waha k loug bhi sahi baat nahin samajhte tu usay chahye sabhe ko voh sahe baat samjahye and Deen ki baat bataye pir chahe voh loug samjhe ya na samjhe, hidayat hasel kare ya na kare us bande ki khud kio hidayat zaroor huti hain.
Allahi barik feek :)
jee sahi kaha apne
 
Top