Aapki Fav Nazams Share Ki Jiye

  • Work-from-home

Ursala

Senior Member
Apr 20, 2014
805
309
63
yaadon ki duniya
Assalamo Allaikum sab ko umeed hai k app sab khairiyat se hun gey..

yahan aap apni fav collections share kar saqte hain if u like ....main shuro ho jati hun .......


ahm ahm ahm ......


MUHABAT KHUSH GUMAAN
HAY

tumahari angeshteri kay nug main
Meri muhabat chmak rahi hay
Agar kabhi yea gumaan bhi guzray
Kay main tumhain bhoolnay laga houn
To is nagenay ko deekh lena
Meri migahoun ki jagmagahat
Tumhari aankhoun say yea kahay gi
“"sunu muhabat to khush gumaan hay””

Agar koi bugz-e-dil ka mara
Nazar say tota hua sitara
Tumharay seeny main waswasoon kay
Kaseelay khanjer utaar ta ho
Key wo' jo dil phaank-o- baywafa ho
Kay wo' jo sab per freefta hay
Kay wo' jo perdees ja basa hay
Tumhain bhawr beech choor day ga
Wafa kay sab qool toor day ga

To is say pehlay kay ro pero tum
To is say pehlay kay jal bujho tum
To is say pehlay kay yea kaho tum
Wo ehd-o-pemaan sab gelat thay
Wafa kay unwaan sab glat thay
Sehar kay imkaan sab gelat thay
Tum apni angisht-e-dilruba per
Gulaab chehra jhuka kay kahna


”suno wo such much hi bay wafa hay””

Tumhara roota sawal sun kar
Yea shookh nag muskara peray ga
Muhabatoun kay safeer ban kay
Yea surkh nag or haseen angoothi
Meri numaendagi karain gay
Tumharay chahray say cheerh kar kay
Tumahari aankhoun kay rang perhaty
Tumaray baaloun pe haath rakh kay
Tumharay gaaloun ko thapthapa kay
Haseen angeshtery kahay ge
“”suno muhabat to khush gumaan hay””
 
  • Like
Reactions: Fanii

Ursala

Senior Member
Apr 20, 2014
805
309
63
yaadon ki duniya
MUHABAT KAY TASSAVUR KO AGAR TASVEER KANA HAY

muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
dhanak say rang lay lena
sitaroun say damak lena
seher say rooshni lena
guloun say dilkashi lena
muggani bulbuloun say nagmagi lena
ala-s-subha jaag jana
oos kay qatroun say tum
pakizgee or taazgee lena
sabahat hoor say lena
malahat tum meray mehboob say lena


muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
hazaroun bheed walay
ber-e-aazem kay tahaiur kheez khitoon main chlay jana
bohat makhsoos jungle main
qalanchay martay aahoun ka ram taskheer kar lena
or us kay naafa-e-mghzan sift say
kushboo-e-jadu asar lena



muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
lagay jab jungloun main aag
us aatish kay shooloun say
gazub ki tum lapak lena
samander say tahhaamul, zabt or gehraee lay lena
baharoun say yea kahna
apni shadabi tumhain day dain


muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay

kisi sar-sabz wadi main
chamakti jheel per jab kalay badal jhoom kar chaaeen
hawa ruk jaeey
barish ki bohat nannhi si bay had dilnasheen shehzaadian
boondoun ki nazuk paalki main jab uter aaeen
to yea munzer chura lena


yea saray rang or manzar tum haray haath aaa jaaeen
mager phir bhi adhoori si tumhain tesveer lagti ho
terb zare-e-tammana main alumna ki zarori ho
muhabat ki agar yea muna leza ban nahi paa ee
to phir ik kaam tum karna
meray tutay huay dil ki
har ik kirchi utha lena
yea hi johar to us tasveer main
ik rooh phoonkay ga
muhabat kay tassavur ko agar tasveer karna hay
 
  • Like
Reactions: Fanii

Ursala

Senior Member
Apr 20, 2014
805
309
63
yaadon ki duniya
Mujhe bass itna kehna hai, kabhi main yaad aoon to
Kabhi tanhayee ki raatain, tumhai zyada satayen to
Kabhi titli na bole to, aur jugnu lot jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye, Koi jab sun na paye to
Kabhi sab dost saathi bhi jo tum se rooth jayen to
Kabhi jab khud se lad ker thakan se chur ho jao to
Kabhi chahte huwe bhi khud akele roo na pao to
Apni aankhon ko band kerna mujhe awaz de dena
Phir mere tasawwur se jo chahai baatain keh dena
Mere kandhe per sir rakh ker tum jitna chahe ro lena
Jab main khud lout jaon to apni dunya chale jana
Magar bass itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khusyoon main
Humain dil se pukaro ge
Humain tum saath pao ge
 

Ursala

Senior Member
Apr 20, 2014
805
309
63
yaadon ki duniya
Dil k darya ko kisi roz utar jana hay
Itna be-simt na chal loat k ghar jana hay
Us tak aati hay to har cheez thahar jati hay
Jaisay pana hi usay asal main mar jana hay
Bol aye sham-e-safar rang-e-rihaye kya hay
Dil ko rukna hay k taron main thahar jana hay
Kon ubhartay hoye mehtab ka rasta rokay
Us ko har tour soy-e-dasht-e-sahar jana hay
Main khila hon to isi khak main milna hay mujhe
Wo to khushbo hay usay aglay nagar jana hay
Wo teray husun ka jadu ho k mera gham-e-dil
Har musafir ko isi ghat utar jana hay
 

Ursala

Senior Member
Apr 20, 2014
805
309
63
yaadon ki duniya
BARISH KI YEA PEHLI BOONDAIN
barish ki yea pehli boondain
kesa jado karti hain
dil say khoon kay qatray lay kar
meri aankhin bharti hain
barish kay is deebachay say
kitnay manzer khiltay hain
khwaab sa aalam, lahja mudham,
aankhin num num,bheega mousam,
pehli barish ,pehli khwahish,
pehla jazba,pehla waada,
pehli kushboo, pehla aansoo
chup chup rehna
sooch main perna
jo bhi kahna teshnah kahna
tota fiqra , aadha jumla
jalti sansain, thandi aahain
boojhal pulkain, saahir aankhin
dhani joora,sabz dopatta
laaambay geesu , qatil khushboo
aik peher main٫
aik jug beeta
donoo kay dil zoor say dharkay
bijli chamki ,badal gerja
der kay mujh say lipat gayee tum
main nay tum ko zoor say thama
wasl ki is pehli barish main
kia kuch khoya, kia kuch pa ya
barish ki yea pehli boondain
kesa jadu karti hain
dil say khoon say qatray lay kar
meri aankhin bharti hain
barish kay is deebachay say
kitnay munzer khiltay hain
 

Ursala

Senior Member
Apr 20, 2014
805
309
63
yaadon ki duniya
mohabbt kitabiyat mein
ye kaisa bachpana qudrat ne rakha hai
k ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
ise ta'eed-e-taaza ki zaroorat phir bhi rehti hai
yaqeen ki akhri hadd tak dilon meinlehlahati ho
nigahon se tapakti ho, laho mein jagmagati ho
hazar tarha se haseen dilkash haale banati ho


ise izhaar k lafzon ki hajat phir bhi rehti hai

mohabbt mangti hai yun gawahi apne hone ki
k jaise tifl-e-sada shaam mein aik beej ko boye
ayr shab mein baar ha uthe
zameen ko khod kar dekhe k pouda ab kahan tak hai


mohabbat ki tabiyat men ajab takrar ki khu hai
k ye iqrar k lafzon ko sunne se nahi thakti
bicharne ki ghari ho ya koi milne ki saa'at ho
ise bas aik hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai


kuch aisi be sakoni hai wafa ki sa rzameeno mein
k jo ahl-e-mohabbat ko sada bechain rakhti hai
k jaise phool mein khusboo
k jaise haath mein taara
k jaise shaam ka taara


mohabbat karne walon ki sahar raaton mein rehti hai
guman k shakchon pe ashiyan banta hai ulfat ka
ye ain-e-wasl mein bhi hijr k khadsho mein rehtihai


mohabbat k musafir zindagi jab kaat chukte hain
thakan ki kirchiyan chunte
wafa ki ajrakein pehney
samey ki rahguzar ki akhri sarhad pe rukte hain
to koi doobti sanson ki dori thaam kar dheere se kehta hai


k ye sach hai na

hamari zindagi aik doosre k naam likhi thi
ye dhundlka sa jo ankhon k qurb o duur phela hai
isi ka naam chahat hai


tumhe mujh se mohabat thi
tumhe mujh se mohabbat hai


mohabat ki tabiyat mein
ye kaisa bachpana qudrat ne rakha hai---amjad islam amjad---
 

Ursala

Senior Member
Apr 20, 2014
805
309
63
yaadon ki duniya
" MOHABBAT THAIRR JAATI HAI ..... "" MOHABBAT THAIRR JAATI HAI ..... "
Hum aksar yeah samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai...!!!
hamary baat ke andar
mohabbat baith jaati hai
hamary zaat kay andar magar
yeh kam nahin hoti

kisi bhi dukh ki soorat main
kabhi koi zaroorat main
kabhi anjaan se gham main
kabhi lehjay ki thandak main
udaasi ki zaroorat main
kabhi baarish ki soorat main
hamari aankh ke andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat main
bazahir aisa lagta hai usay
hum bhool baithay hain magar
aisa nahin hota magar aisa nahin hota�.
yeah hargiz kum nahin hoti�
MOHABBAT THAIR JAATI HAI��.!!!
 
  • Like
Reactions: Fanii

Ursala

Senior Member
Apr 20, 2014
805
309
63
yaadon ki duniya

دامِ خوشبو میں گرفتار صبا ہے کب سے
لفظ اظہار کی اُلجھن میں پڑا ہے کب سے

اے کڑی چُپ کے در و بام سجانے والے
منتظر کوئی سرِ کوہِ ندا ہے کب سے

چاند بھی میری طرح حُسن شناسا نکلا
اُس کی دیوار پہ حیران کھڑا ہے کب سے

بات کرتا ہوں تو لفظوں سے مہک آتی ہے
کوئی انفاس کے پردے میں چھپا ہے کب سے

شعبدہ بازی ٔآئینہ ٔاحساس نہ پوچھ
حیرتِ چشم وہی شوخ قبا ہے کب سے

دیکھئے خون کی برسات کہاں ہوتی ہے
شہر پر چھائی ہوئی سُرخ گھٹا ہے کب سے

کور چشموں کے لئے آئینہ خانہ معلوم!
ورنہ ہر ذرہ ترا عکس نما ہے کب سے

کھوج میں کس کی بھرا شہر لگا ہے امجد
ڈھونڈتی کس کو سرِ دشت ہوا ہے کب سے​
 
  • Like
Reactions: Fanii

Ursala

Senior Member
Apr 20, 2014
805
309
63
yaadon ki duniya
AISA HO SAKTA HAI NA?

AISA HO SAKTA HAI NA?

keh main ne jaan liya ho,
tujhe teri zaat ki gehrai tak,
teri mehfil se le kar teri tanhai tak,

AISA HO SAKTA HAI NA?

keh main ne bohut kurb saha ho,
tere sitam se le kar teri masihai tak,

OR AISA BHI HO SAKTA HAI NA?

keh tujhe koi dukh na ho,
mere milne se le kar meri judai tak,
OR YE BHI HO SAKTA HAI NA?

keh umar bhar k liye kafi ho,
ye dukh keh main ne safar kiya..
apni zaat se le kar teri zaat ki rasai tak.....
 
Top