Aapka Manzar Aapki Kahani (4th july 2012)!

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
meri kahan ka unwaan hai
" Intezaar "

Aaj bhi Farah ne subah uth ke nashta kea aur aa ke wahin sehan mai derwazey ki chookhat pe beth gayi aur us ki hamjooli Chiroun ne ussey aa ghaira aur ussey sarey jahan ke qisse aur kahani sunane lag gayi per Farah aaj bhi un ko dana daal ke kahin khooo si gayi thee, Jaisey woh iss waqt kissi aur he jahan mai ho.... woh youn he hamesha sey khoi khoi rehne wali larki bilkul nahi thee... balkeh us ki shoookhi aur khush mizaji to us ki saheeliou mai bohat mashoor thee, Aur her koi us se mil ke bohat khush hota. us ki aadat he aisi theee woh sub se bohat pyar aur ehteraam sey he milti. Woh hamesha kaha kerti yaar Yeah Zindagi bohat choothi hai khushian saameetne ke lea, to iss ko gham ke kaanton mai uljhaaaaney ka kya faida.

Woh apni zindagi ke 19 Khusgawar Saal purey ker chuki theee iklooti beti hone ki wajah se ghar mai usey bohat pyar milta aur us ki her khawish ko poooora kerna apni zindagi ka maqsad samajhney waley Abu theey aur maa ke rooop mai best friend thee us ki jo keh uss se bohat pyar kerti thee jo keh her maa he apni bachon se kerti hai. Per Farah ki ami ko Farah ki zyada he fikar lagi rehti theee woh zara si bhi college se lait ho jati to us ki maa usey isssi darwaazey ki chookhat pe bethi hoi inteezar mai milti aur aatey he ussey be ikhtiyar galey se laga laiti aur Farah maa ke aansoo saaf kertey hoyee poochti amee aap ro rahi ho to woh kehti arey nahi betaaa payaz kaat rahi thee naa, kuch dair pehley us ki wajah se pani nikal raha hai aankhon sey.... to woh dono he hans perti aur kuch dair pehle ki pareshan maa apne beeti ko deekhtey he jaise her gham bhool jati....

Youn he achey khaasey din guzar rahe thee keh Farah ki zindagi mai ek tooofan saa aaya jo us ki zindagi ki khushi aur us ki hansi ko jaise apne saath he lai urra. Howa kuch youn ke sub ko pasand aane wali farah ko aik larka pasand aa gaya jo ke us ka cousin tha aur us ke Chachooo ka bara betaa Faisal thaa, Faisal aik 25 saal ka wajeh naujwaan tha jo ke MBA kerne ke baad apne abu Khawer Hussain ke sath un ke business mai shamil ho gaya, woh log islamabad mai rehtey the , Faisal bhi Farah ko pasand kerta thaa aur Pasand ka izhaar bhi pehle Faisal ki taraf se he howa thaa Faisal ne apni ami ko bataya apni pasand ka aur us ki ami ne Khawar Hussain se baat ki to jaisey Khawer Hussain ko to apni mun chahi khushi bin maange mil gayi ho, woh khushi khushi agley he din Karachi apne bhai Dilawer Hussain ke ghar apni begam ke sath pohanch gaye aur Farah ka haath maang lea aur Dilawer bhi bohat khush hoye per unhooo ne beti ki razamandi ki baat samney rakhi aur kaha Farah ka faisala he Final ho ga. Aur Farah ki ami ne Farah se Faisal ke rishtey ke barey mai baat ki to Jaisey Farah ke dil mai ladoo pooth parey hon aur gulabi chehrey ke sath us ne asbaat mai ser hilla dea. kyon keh woh to bohat pehley se he Faisal ko dil he dil mai bohat chahti thee aur ussey us waqt apni qismat pe bohat rashk aa raha thaaa... keh Allah ne uss ke dil ke malik ko bin maange us se milwa dea. aur iss tarah dono ke dermiyan mangetar ka rishta qaim ker dea gaya aur Farah ki khushian to jaisey doo baaala ho gae hon, woh to un dinno jaisey hawaoun mai urr rahi ho, wo akser faisal se phone pe baat kerti thee aur ek doosrey se apne dil ki baaten share kea kertey the... per un ki qismat mai yeah khusian bohat kum arsey ke lea aae theen

Dono families he iss rishtey se bohat khush theee aur Aik Saal baad un ki shadi ki date bhi fix ker di gayi theee aur mangni ke panch maheeney guzar gaye the aur un ki shadi ki tayri urooj pe theee aur Faisal apni ami ke saath Karachi aaya howa thaa kyon keh Faisal ki ami ka khayal thaaa keh Jewellery aur Dresses ki shopping to farah ke sath he hogi jo Woh apni bahoo ke lea banwa rahi thee . aur un logon ki shopping jab complete hoi to wapsi ki tyari honey lagi aur woh din aaa gaya 20th April 2012 jis din ne Farah ki uss sey sub khushian cheen li.... Faisal aur us ki ami ke saath Farah ke abu bhi apne bhai se milney Islamabad jaa rahe theee aur Faisal ne Bhoja Air Line ki flight # B4-213 ki ticket kerwa li aur sham ko woh log hansi khushi Islamabad ke lea rawana hoye.... per woh ho gaya jo kisi ke wehmo guman mai bhi nahi thaa ... Plane Crash ho gaya... aur sub log jo iss flight mai the sub khatam ho gae....

Farah ki dunya he lut gayi aur us ki ami to yeah gham berdasht naa ker saki aur woh bhi Farah ko besahara chooorh ke apne shohar ke pass chali gayi aur Farah ko to yaqeen he nahi aa raha thaa sub pee woh to maan he nahi rahi theee aur jab us ko yaqeen aaya to woh bilkul sun ho ke reh gayi aik aansoo bhi naa tapka us ki aankh se woh naa to kisi se kuch bolti thee aur naa he rooti thee .... woh to bus us derwazey ki taraf deekhti rehti jis sey Faisal aur us ke Abu jaatey hoye ussey alwida keh rahe theee.... ussey lagta thaa aaj bhi abu aaen ge aur kahen ge arey bitya rani yeah sub jhoot boltey hain mai to yahan he tumharey pass tumhe choorh ke kahan jaa sakta hon bhala mai.... aur Faisal aaye ga aur kahe ga keh Arey mai ne tumhara sari zindagi ke lea thama hai tumhe chorh ke janey ke lea nahi.... aur uski ami kahen ge are farah uthoo kya haal bana lea hain tum ne chaloo uthoo khana khaa looo.... Per koi nahi aaya kyon keh woh log to wahan jaa chukhe jahan se koi laut ke nahi aaya....

Faisal ke abu bhi Karachi aa gaye theee un pe bhi ghamooon ke paahar tootey thee per woh apne bhai ki lakhtey jigar aur apne bete ki pasand aur apni pyari bahteeji ke lea Karachi aaye thee unhey deekh ke Farah un se lipat ke bohat roooyi aur bohat baar behoosh hoi aur jaisey he hosh aata phir roney lagti theee aur Khawer Hussain se us ki yeah halat deekhi nahi jati thee unho ne Farah se kaha keh chalo Farah mere saath Islamabad chalooo mai yahan tumhe akeela nahi chooorh sakta. per Farah apna ghar chorney pe tyar nahi theee woh apne abu apni ami aur faisal ko jahan akhri baar deekha us ghar ko chorney ke lea tyar naa theeee.... aur Majbooran Farah ke chachoo ne he haar maan li aur apni bhateeji ke pass he rehney lagey aur apna business bhi kuch arsey mai karachi transfer ker lea ... aur Farah ne bhi khud ko kafi hud tuk sanbhaal lea tha aur aub woh shadi nahi kerna chahti thee... us ne ek school start kea aur wahan pe he khud ko waqf ker dea...

Aaj bhi Farah subah uth ke namaz perh ke yahan chokhat pe beth jati hai aur un dino ki yaadon mai gum ho jati hai jab ussey dunya mai apni zaat sub sey zyada khush naseeb lagti thee… aur ussey aaj bhi intezar hai apne Ami Abu aur apni mohabbat faisal ka….

The End
oohh interesting and emotional story..
story main bhoja air line ka turning point bohat emotional tha.. over all gud job:)
 
  • Like
Reactions: *SHOAIB*

Mamin Mirza

Active Member
kahani aur uska plot dono hi achay chunay aapne,
lekin,roz marah bol chal main aur tehreer likhnay main farq hota hai,
aapki tehreer k jumlay ziyada tar aisay hain jaisay koi baat ki jarahi hoon,tootay hoye,be rabt,kai jagah alfaaz ki takrar bhi hai.
aainda in tamam baataon par dhiyan dijiye ga,tou andaz e tehreer mazed behter hoga.

janay walay chalay jatay hain,apnay pechay reh janay walon k liye taveel intezar ka azab chor kar.
likhtay rahiye,khus rahiye.........!!!!
 
  • Like
Reactions: *SHOAIB*

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi

hmmm thanks for you comments.... mashwarey deney se acha story likh ke dikhaooo ke aap kitney pani mai ho :p[DOUBLEPOST=1341554707][/DOUBLEPOST]
walakumsalam wrwb..
yeh kahani wahani mujhse nai likhi jati..mujeh dor rakhein {}{4rt5
uffff burhapa bohat buri cheez hai suchi ... :p
 
Mamin Mirza

Active Member
hmmm thanks for you comments.... mashwarey deney se acha story likh ke dikhaooo ke aap kitney pani mai ho :p[DOUBLEPOST=1341554707][/DOUBLEPOST]

uffff burhapa bohat buri cheez hai suchi ... :p
mujhe maloom hai main kitnay pani main hoon,albatta aap nahi jantay hain mujhe,:p
mujhe khud ko sabit karnay ki zarorat nahi hai kisi k bhi samnay,aapne raye mangi thi so di,next time nahi dongi..................!!!!
 
  • Like
Reactions: *SHOAIB*

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
mujhe maloom hai main kitnay pani main hoon,albatta aap nahi jantay hain mujhe,:p
mujhe khud ko sabit karnay ki zarorat nahi hai kisi k bhi samnay,aapne raye mangi thi so di,next time nahi dongi..................!!!!
bohat shukriya aap ne rayeee di.... Next time bhi dai dena mai berdasht ker lon ga:p

aur baat sabit kerney ki nahi hai .... humey bhi to pata chaley achi story kaisi hoti hai :-?
 
main insaaon ki bardasht ko nahi azmati,
aapne hi kaha tha kitnay pani main hoo,so uska seedha matlab yehi hota hai.
achay musanifeen ko parhain pata chal jaye ga kaisi hoti hai.
mera likha parh kar kiya karian ge.................!!!!
 
  • Like
Reactions: *SHOAIB*

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
mujhe maloom hai main kitnay pani main hoon,albatta aap nahi jantay hain mujhe,:p
mujhe khud ko sabit karnay ki zarorat nahi hai kisi k bhi samnay,aapne raye mangi thi so di,next time nahi dongi..................!!!!

hmmm thanks for you comments.... mashwarey deney se acha story likh ke dikhaooo ke aap kitney pani mai ho :p[DOUBLEPOST=1341554707][/DOUBLEPOST]

uffff burhapa bohat buri cheez hai suchi ... :p
hmm actually girlss n boyss :p

its just a game ,,koi bhi member try kar sakta hay is pe story likhne k liye,,u dont need to be perfect or professional,,
image daikh k us se kisi story ko relate kar daina itself kaafi intelligency ki baat hay!
Jab sab 2, 4 baar is tara images pe likhte rhain gaye to aahista aahista un k words n sentences may tarteeb ,,thehrao aur khoobsurti bharti jaayegi, PRACTICE MAKES A MAN PERFECT!
maira irada aik megacontest shuroo akrne ka tha,,lakin us se pehle sirf trial k liye maine ye 2, 4 tasks daine ka socha tan k contest se pehle practice ho jaayee ideas mazeed develop hon n likhna aasan rhe!

so i'll encourage all of u to plzz share ur thoughts on this image.,,Jo log pehli ya dusri baar likh rhe hain unhe bhi professional writers ki tehreer parh k khud ko mazeed behtar bnane ka moqa milega INSHA ALLAH!

Baqi i appreciate everyone's sharing and thoughts:)
KEep it up all of u :-bd
shb bhaya has shared gr8 thoughts in a nice manner!{(popcorn)}
 
nice idea ma'am
will see some more beautiful stories,jo likhnay jantay aur likhtay hain................................!!!!
 
SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
hmm actually girlss n boyss :p

its just a game ,,koi bhi member try kar sakta hay is pe story likhne k liye,,u dont need to be perfect or professional,,
image daikh k us se kisi story ko relate kar daina itself kaafi intelligency ki baat hay!
Jab sab 2, 4 baar is tara images pe likhte rhain gaye to aahista aahista un k words n sentences may tarteeb ,,thehrao aur khoobsurti bharti jaayegi, PRACTICE MAKES A MAN PERFECT!
maira irada aik megacontest shuroo akrne ka tha,,lakin us se pehle sirf trial k liye maine ye 2, 4 tasks daine ka socha tan k contest se pehle practice ho jaayee ideas mazeed develop hon n likhna aasan rhe!

so i'll encourage all of u to plzz share ur thoughts on this image.,,Jo log pehli ya dusri baar likh rhe hain unhe bhi professional writers ki tehreer parh k khud ko mazeed behtar bnane ka moqa milega INSHA ALLAH!

Baqi i appreciate everyone's sharing and thoughts:)
KEep it up all of u :-bd
shb bhaya has shared gr8 thoughts in a nice manner!{(popcorn)}
wow :eek: ager tum election compaign shooro kero naa to dooji khatoon wazeer-e-aazam ban sakti ho Pakistan ki :-bd
 
SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
main insaaon ki bardasht ko nahi azmati,
aapne hi kaha tha kitnay pani main hoo,so uska seedha matlab yehi hota hai.
achay musanifeen ko parhain pata chal jaye ga kaisi hoti hai.
mera likha parh kar kiya karian ge.................!!!!
aaap ka likha perh ke aap ki kahi hoi baaton ko jaanchon ga apni story mai kami talaash keron ga aap ki story se compare keron ga... aur apni ghalti ko sudharoon ga .... aur bhi wajah bataoun yaa itni kafi hain :-?[DOUBLEPOST=1341557931][/DOUBLEPOST]
hmm thanx :)
y not u participate mamin sis?
Mamin Participate karey gi aur jeetey gi bhi Inshallah...:x
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hmm i think its a gr8 idea mamin,,it seems u r gud writer,,zonish bro ne bhi btaya us din,,aap plz share karain ,,baqi sab ki writing may bhi improvement hogi INSHA ALLAH!
 
Top