Aalim-e-zbt k ehwal na pooch
kaise guzre hain mah-o-saal na pooch
main btaane pey agar aaya hun
bewaja baat ko ab taal na, pooch
aas,umeed,yaqeen,weham,guman
aik main aur ye jhanjhal na pooch
jinko behaal kiya hay tu ne
un se behtar hay k ab haal na pooch
pyar ki jab bhi talab hum ko hui
pyar ka kaisa parra kaal na pooch
ya maire dard ka daru kar dey
ya maire dard ka tu haal na pooch