aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai tirii zulf ke sar hone tak
daam-e har mauj mein hai halqah-e sad kaam-e nihang
dekhein kyaa guzre hai qatre pah guhar hone tak
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuun khun-e jigar hone tak
ham ne maanaa kih tagaaful na karoge lekin
khaak ho jaaeinge ham tum ko khabar hone tak
partav-e khur se hai shabnam ko fanaa ki taaliim
main bhii huun ek inaayat kii nazar hone tak
yak nazar besh nahiin fursat-e hastii gaafil
garmii-e bazm hai ik raqs-e sharar hone tak
gham-e hastii kaa asad kis se ho juz marg ilaaj
shamma har rang mein jaltii hai sahar hone tak