Aadat namaz ki

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Assalamo alaikum TM islam ke ehem tareen ibadat namaz pe mene ghazal likhi hai
aaj aap sub ki khidmat mein peish kar raha hoon umeed hai insha'ALLAH pasand aayegi sub ko........



Subse achhi hai aadat namaz ki
hoti hai momin ko aadat namaz ki

loug khud use chahne lagte hain
jis ke dil mein ho hasrat namaz ki

jinki zindagi me aati hain uljhanen
unhen faqat hai zarurat namaz ki

use kabhi koi loot nahin sakta
ke jiske paas ho doulat namaz ki

hai woh ehmaq jo namaz na parhe
jaante huwe aala hesiyat namaz ki

uski hoti hai har dar pe izzat bohot
jo karta hai khud hi izzat namaz ki

bin iske tu aur teri zaat kuch nahin
baad namaz kar phir hajat namaz ki

din raat karta reh sajde ChiragH , ke
sukun e qalb hai bas haalat namaz ki

***S_ChiragH***
 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Walaikumsalam


Ma Shaa Allah, Bohat he zabardast likha hay app nay

Beshak Nimaz Rahay Nijaat hy aur Hum sub ku is ki pabandi kerni chaiye

Allah talah sub Muslim ku Nimaz k paband banaye (Ameen)
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
subhanAllah...wow kia bat hay saif u ki..behtareen umda....
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
walikumu salaam

Mashallah Bohat khOob..! First of all BOhat acha Topic ChOse kia aur KhObsurati se likha..!

Allah aap ko Is ka Ajar day aur hum sab ko Nazam Qaime kernay ki Taufeeq ata fermaye Aameen
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
walikumu salaam

Mashallah Bohat khOob..! First of all BOhat acha Topic ChOse kia aur KhObsurati se likha..!

Allah aap ko Is ka Ajar day aur hum sab ko Nazam Qaime kernay ki Taufeeq ata fermaye Aameen
Bohot bohot shukria Hoor sis aap ne itne achhe andaaz aur khuloos ke saath reply kiya:)

aise ghour farma doston ki hosula afzaiy hai ke hum likhte rehte hain

aur Ssum ameen
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


Shukria

zaroor wazahat karengein{(thx)}per pehle aap batayen kis hissa e ghazal ko kehte hain:-?
shayar sahab apko maqta nahi pata /:)
ghazal ke akhri sher jisme shayar ka naam aata hai usko maqta kehte hain
aur aksar ghazlon me maqta ghazal ki jaan hota hai

din raat karta reh sajde chiraagh ke
sukoon e qalb hai bas halat namaz ki

iski wazahat karen janab :)
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Ji bhai abhi kiye dete hain

aapko confusion is liye huwi ke wahan

din raat karta reh sajde chiragh ke baad "ke" likha hai

ispe aapka aur kuch doston ka guman

ChiragH ke sajde pe gaya hoga to NAUZBILLAH bhai yeh woh

ke nahin balke kyunke wala ke hai jo aksar auqaat shayar kehte

hain

aur wazahat kuch youn hai ke

is sheir me shayar apna misal dete huwe keh raha hai ke

din raat namazein parhta reh kyunke ibadat e ILAHI se hi

qalb ko sukoon milta hai.........

Aur bhai kuch aur bhi aap pooch sakte hain

aur agar kuch aur bhi poochna ho to pooch lena bhai
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
jee bro abhi wazeh hua hai :)
lekin aap chiraagh ke bazu me comma (,) dete to sahi rehta aise to koi bhi confuse ho jayega na aur isse galat msg jayega to iska khayal rakha karen

jazakallah khair
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
very nice n true sharing bro:)
Nimaz se dooori, matlab apne ALLAH se doooori
aur ALLAH se doori mean k us ki rehmatn aur sukoon-e-qalb se doooori({kopping)}
 
Top