کافر کون ہیں؟ (Kafir Kaun Hain)

  • Work-from-home

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
walaikum assalam
a very useful post bro:) JAZAKALLAH khair
hum log tou khud ko muslim kehte hain, magar bot c esi baaten hain aaj kal main jo hum kuffar ki follow karte hain so un main aur hum main kya farq
ALLAH hamara imaan mazboot banaye(Ameen)
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
walaikum assalam
a very useful post bro:) JAZAKALLAH khair
hum log tou khud ko muslim kehte hain, magar bot c esi baaten hain aaj kal main jo hum kuffar ki follow karte hain so un main aur hum main kya farq
ALLAH hamara imaan mazboot banaye(Ameen)

summa Aameen:)
bilkul sahi kaha apne behna ham har tareeqa kuffar ka follow karne lage hain
balke hamari bohot si ibadaat bhi unhi ke tareeqon par agayi hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
JazakAllah Khair
kafi informative post hain and after along time aapke islamic section mei post dekh ker acha laga..
keep it up :)
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Kafir munkir ko bolte hain jo ALLAh ki wohdaniyat se ya us k ehkamat ko manne se inkar karey, Ambiiah par yaqeen na rakhey aur Islam k bunyadi aaqayd may se kisi ko bhi jhutlaye to wo shakhs kafir hay
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Nimaz Islam k bunyadi aqayd may se nhi Arkaan may se hain,,jinki aadygi har musalman par farz hay aur jaan boojh kar chorne waale ko agar hum Kafir k Meaning k tor pe daikhey to kafir hi bolain gaye q k us ne ALlah k hukam maane se inkar kiya But agar iski muhtalif soortain aur tafseelat may jana chahte hain to u should consult a Scholar.....
boradly Kafir jahan tak muje pta hay to har wo shakhs jo aaqayd may se kisi ko jhutla dey wo dayra-e-islam may nhi hay musalman nhi bolain gaye us pe aur agar wo Musalman hi nhi hay to usko nimaz parhne ki bhi zarurat nhi hay nimaz musalmano par farz hay
 
The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion

guria, Main ne to suna hai Namaza Deen Ka Satoon Hai, Ap kaisay keh rahi hain Nimaz Islam kay Bunyadi Aqaid main nahi.... AP ne muje kaha kay main kisi Alam kay paas jaon, Ap muslimaan hain ap ko yeh choti choti batain nahi pata to Alam kia muje kia batay ga. Jo shaks namaz nahi parti, woh Allah kay ihkam ki khalfa warzi karta, TO who kafir kyun nahi, choti guria
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
guria, Main ne to suna hai Namaza Deen Ka Satoon Hai, Ap kaisay keh rahi hain Nimaz Islam kay Bunyadi Aqaid main nahi.... AP ne muje kaha kay main kisi Alam kay paas jaon, Ap muslimaan hain ap ko yeh choti choti batain nahi pata to Alam kia muje kia batay ga. Jo shaks namaz nahi parti, woh Allah kay ihkam ki khalfa warzi karta, TO who kafir kyun nahi, choti guria
maine kab kaha k nimaz deen ka satun nhi hay??

maine to ye btaya k ye aqayd nhi arkaan may se hay ,aap itne deep questions pooch rhe hain to yaqeenan ye basics pta hon gaye aapko,,,,Nimaz islam ka rukan hay baqi k Arkan ,
Kalma tayyab,
Nimaz , roza
zakkat ,
haj hain

Nimaz, kalma tayyaba aur roza Tmmam "musalmano" par farz hain haj aur zakkat ki shara sahib ista'at logo par farz hay, haj har muslim jo istatayt rakhta hay us pe zindagi may aik baar farz hay...lakin in arkaan ki adygi musalmano par farz qrar di gai hay..

Aqayd wo hain k jin may se kisi aik ka bhi inkar karne waala MUSLIM hay hi nhi yahan inkar karne waale ko kafir kaha gya hay q k kafir ka aam matlab inkar karne waala hi hay.....

Aqayd (eman)may hain
ALLAH ki wohdaniyat par Eman
FArishton par eman
Yom-e-akhirat par eman
AMiah karam(R.A) par Eman
Khatam-e-nabuat par eman
Tmam Aasmani kitabon par eman

agar koi banda aadhe aqayd maanta hay baqio ko jhutlata hay to wo kafir hay as mentioned above:

جو لوگ اللہ سے اور اس کے پیغمبروں سے کفر کرتے ہیں اور اللہ اور اس کے پیغمبروں میں فرق کرنا چاہتے ہیں اور کہتے ہیں کہ ہم بعض کو مانتے ہیں اور بعض کو نہیں مانتے اور ایمان اور کفر کے بیچ میں ایک راہ نکالنی چاہتے ہیں وہ بلا اشتباہ کافر ہیں اور کافروں کے لئے ہم نے ذلت کا عذاب تیار کر رکھا ہے (سورۃ النساء،آی
In aqayd may se agar koi aik bhi aqeeda ko manne se inkar kare matlab usse eman nhi to Wo muslim nhi hay aur us pe arkan ki aadygi bhi farz nhi ,,to jahan tak muje definition ka pta hay to wo banda kafir(inkar karne waala,, dayra-e-islam se baahir) hay .

Lakin nimaz agar jaan boojh k chori jaati hay to yaqeenan wo bhi hukam maanne se inkar kiya gya hay lakin uski tafseelat kia hain aur uski saza aur ALLAH ki narazgi kia hay us k liye maine bola k scholar se poochain,,
But nimaz chorne waale ne Kisi aqeede ko nhi jhutlaya ,,par us ne farz ada nhi kiya jo ALLAH ki narazgi ka bais hay aur wo saza ka mustahiq hay ,,,

baqi wo kis darje pe hay ya kia ehkaam hain uski tafseelat main theek se nhi bta sakti na ref hay maire paas i hope k koi yahan bta dain gaye INSHAALLAH
 
The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion

maine kab kaha k nimaz deen ka satun nhi hay??

maine to ye btaya k ye aqayd nhi arkaan may se hay ,aap itne deep questions pooch rhe hain to yaqeenan ye basics pta hon gaye aapko,,,,Nimaz islam ka rukan hay baqi k Arkan ,
Kalma tayyab,
Nimaz , roza
zakkat ,
haj hain

Bohat shukiria, intni Achi post choti guria ap ne kahan se intna knoweldge seekha hai, Lekan mera ap se sawal hai, Kalma Tayyaba Kia hai, JO shaks Kalma Tayyaba ka Inkar karta hai..... Kia Woh muslimaan hai???
Ess se yeh pata chal hai Jo shaks irkan ko nahi manta woh bhi kafir hai kyun kay, WOh Allah kay humkon se baghawat kar raha hai.... Ap bataya kia main theek keh raha hun ya ghalat.

Nimaz, kalma tayyaba aur roza Tmmam "musalmano" par farz hain haj aur zakkat ki shara sahib ista'at logo par farz hay, haj har muslim jo istatayt rakhta hay us pe zindagi may aik baar farz hay...lakin in arkaan ki adygi musalmano par farz qrar di gai hay..
To jo shaks namaz ka kufr (inkar) kar raha hai to kia woh kafir nahi hai.....

Aqayd wo hain k jin may se kisi aik ka bhi inkar karne waala MUSLIM hay hi nhi yahan inkar karne waale ko kafir kaha gya hay q k kafir ka aam matlab inkar karne waala hi hay.....

Aqayd (eman)may hain
ALLAH ki wohdaniyat par Eman
FArishton par eman
Yom-e-akhirat par eman
AMiah karam(R.A) par Eman
Khatam-e-nabuat par eman
Tmam Aasmani kitabon par eman

agar koi banda aadhe aqayd maanta hay baqio ko jhutlata hay to wo kafir hay as mentioned above:
Jab hum kehtay hain "Muhammad Allah kay Rasool hain" TO who kia hia, Kiya yeh cheez Kia yeh islam ka rukn Kalma Tayyaba nahi hai, Jab hum kehtay hain, Koi Allah ka shareek nahi hai, to yeh kia islam ka rukn Kalima tiyyaba nahi.... Ap yahan pe Aqaid or Irkan ko kesay differiate karain gi
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
maire khayal se is topic pe jitna bta sakti thi utna bta diya maine ziada details jis se aap satisfy ho sako shayed nhi bta sakti main..

Agar aap ye keh rhe hain k ALLAH ka koi shareek nhi matlab aap ALLAH ki wohdaniyat ko maan rhe hain par dusri taraf aapko kisi aur aqeede pe yaqeen nhi to kia Aap Muslim ho?

meko jo clear hay wo ye k AAqayd se inkar karne waala islam k dayre may dakhil hi nhi hota (kafir hay)phir chahey wo kalima tayyab parhe ya har saal haj ada karey...jab dil may emaan hi nhi to aamal ka kia faida...AAMAL ka daromidar niyaton par hay aur ALLAH tala niyatain jaante hain ...
Kalima tayyaba to movies may hindu bhi parhte hain to kia wo ALLAH ki wohaniyat par eman le aaye?? nhi na q k emaan nhi dil may..

AUr main kuch nhi keh sakti {(popcorn)}
STAY BLESSED!
 
The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
maire khayal se is topic pe jitna bta sakti thi utna bta diya maine ziada details jis se aap satisfy ho sako shayed nhi bta sakti main..
yani choti guria, ap ko khud shak par gaya hai kay ap pata nahi theek hain ghalat. muj main ap ne koi shaks dekha ??

Agar aap ye keh rhe hain k ALLAH ka koi shareek nhi matlab aap ALLAH ki wohdaniyat ko maan rhe hain par dusri taraf aapko kisi aur aqeede pe yaqeen nhi to kia Aap Muslim ho?
/ chalian sari batian chorain muje sirf yeh jowab day dain, Jo Shaks Aik Allah ko manta hai, Lekan baqi har cheez cheez se inkar karta hai, kia woh kabi jannat main ja sakta hai, ya hamesha jahanam rahay ga.

meko jo clear hay wo ye k AAqayd se inkar karne waala islam k dayre may dakhil hi nhi hota (kafir hay)phir chahey wo kalima tayyab parhe ya har saal haj ada karey...jab dil may emaan hi nhi to aamal ka kia faida...AAMAL ka daromidar niyaton par hay aur ALLAH tala niyatain jaante hain ...
ap ne eman ki baat ki hia, Kia Momin or Muslim dono aik hi cheezain.... Kia Kafir or Munafiq Aik hi Cheez hai?? main lagta hai bohat mushkil sawal karta hun, Sab bag jatain... Barhal choti guria, main ap ko appreciat karta hun, AP main himmat to hai kay ap discuss karain.

Kalima tayyaba to movies may hindu bhi parhte hain to kia wo ALLAH ki wohaniyat par eman le aaye?? nhi na q k emaan nhi dil may..

woh movies hoti hain, Mian asal zindagi ki baat kar raha hun

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hainn arre awain shak par gya k theek ya ghalat kuch bhi bol rhe hain aap /:)

muje sirf ye yaqeen hay k kam az kam main aapko satisfy nhi kar sakti q k sawal may se sawal nikalte ho aap aur meka paas itni details aur ref nhi k aap mutamyn ho sakko ,,,
sawal poochna ghalat nhi hay zarur poochne chahiye magar ye zaruri nhi k agar aap kisi k jwab se mutamyn nhi ho rhe to aap sahi ho aur saamne waala ghalat ya aap ne saamne waale ko bhi shak may daal diya us k eman k baare may...
ALLAH knows better brother ,,main mazeed kuch nhi keh sakti..but aap zarur apni confusion clear karain kisi scholar k paas ja kar but make sure k aapko yaqeen ho k aap waqe hi seekhna chahte hain na k behas karna,,yahan pe behas ka koi faida nhi so avoid karain plz....

har Momin Muslim hota hay lakin har Muslim momin nhi hay Momino ki siffat hain kuch jo har Muslim may nhi hoti...

maine pehle hi kaha aap agar Islam seekhna chah rhe hain to Quran paak ka mutalya karain ahadith aur sunnat ko follow karain ,,AAp muslim ko daikh rhe hain to koi perfect nhi hay,,,but sab ko apne aamal k liye jawab de hona hay to aap islam seekhain musalmano ko na daikhain sirf prophet Muhammad(PBUH) perfect Muslim hain..
 
Top