نکھوں کا رنگ ، بات کا لہجہ بدل گیا

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
labon pe phool khiltey hain kisi ke naam se pehle

Labon pe phool khiltey hain kisi ke naam se pehle
dilon ke deep jalte hain charagh-e-shaam se pehle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle

yehi taare tumhari aankh ki chilman mein rehte the
yehi sooraj nikalta tha tumhare baam se pehle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pehle

ya saare rang murdaa the tumhari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhare naam se pehle

huaa hai woh agar munsif tou Amajad ihtiyatan hum
sazaa tasleem karte hain kisi ilzaam se pehle
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Mohabbat Ka Mosum

Mohabbat Ke Mosam

Mohabbat Ke Mosam

Zamaane Ke Sab Mosamon Se Niraaley
Bahar-O-Khizaan In Ki Sab Se Judaa
Alag In Ka Sookha, Alag Hai Ghataa
Mohabbat Ke Khitte Ki Aab-O-Hawa
Mawra, In Anasir Se Jo
Mosamon Ke Taghaiyur Ki Bunyaad Hain
Yeh Zaman-O-Makaan Ke Kam-O-Besh Se
Aese Aazad Hain
Jese Subh-E-Azal
Jese Shaam-E-Fanaa
Shab-O-Roz-E-Aalam Ke Ahkaam Ko
Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!
Zindagi Ki Musafat Ke Anjaam Ko
Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!
Rifaaqat Ki Khushboo Se Khali Ho Jo
Yeh Koi Aesa Manzar Nahi Dekhte,
Wafa Ke Alawa Kisi Kaam Ko
Yeh Mohabbat Ke Mosam Nahi Maante!


(Amjad Islam Amjad)
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Qasid

Qaasid

Khushboo Ki Poshaak Pehn Kar
Kon Gali Mai Aaya Hai!
Kaisa Yeh Pegham-Rasan Hai
Kiya Kiya Khabrein Laya Hai
Khirki Ke Bahir Dekho
Mosam Mere Dil Ki Baatein
Tum Se Kehne Aaya Hai

(Amjad Islam Amjad)
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Sab Se Ache Lafz

Sab Se Ache Lafz

Sab Se Ache Lafz
Mai Subh-O-Shaam Likhta Hun
Zameen Par Jis Qadar Achi Zabanein Boli Jati Hain
Mai In Se Harf Chunta
Aur Tumhara Naam Likhta Hun

(Amjad Islam Amjad)

 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Zara Si Baat

Zara Si Baat

Zindagi Ke Meley Mai, Khuwahishon Ke Railey Mai

Tum Se Kiya Kahen Janaa, Is Qadar Jhameley Mai
Waqt Ki Rawani Hai, Bakht Ki Giraani Hai
Sakht Be-Zameeni Hai, Sakht La-Makaani Hai
Hijr Ke Samandar Mai
Takht Aur Takhtey Ki Ek Hi Kahani Hai
Tum Ko Jo Sunani Hai
Baat Go Zara Si Hai
Baat Umr Bhar Ki Hai
(Umr Bhar Ki Baatein Kab Do Ghari Mai Hoti Hain!
Dard Ke Samandar Mai
An-Ginat Jazeerey Hain, Be-Shumaar Moti Hain)
Aankh Ke Dareechey Mai Tum Ne Jo Sajaya Tha
Baat Us Diye Ki Hai
Baat Us Giley Ki Hai
Jo Lahoo Ki Khilwat Mai Chorr Ban Ke Aata Hai
Lafz Ki Faseelon Per Toot Toot Jata Hai
Zindagi Se Lambi Hai,
Baat Rat-Jagey Ki Hai
Raastey Mai Kaise Ho!
Baat Takhliye Ki Hai
Takhliye Ki Baaton Mai Guftagoo Izaafi Hai
Pyaar Karne Walon Ko Ik Nigaah Kafi Hai
Ho Sake To Sun Jao Ek Din Akaile Mai
Tum Se Kiya Kahen Janaa, Is Qadar Jhamailey Mai

(Amjad Islam Amjad)
 
Top