روزی اپکے لیے ہے

  • Work-from-home

diya ali

TM Star
Nov 23, 2010
1,104
661
1,013
Rawalpindi














Main Aesi Aam Larki Hun

Jise Samjh paya nahi Koi
ju Sare Khel Bachpan K

khilonoun Main Sajati Thi
ju Apne Dil K Sab Manzar
rangoun Se Banati Thi
ju Kuch Pane Ki Koshish Main
yunhi Haley Banati Thi
kitaboun Se Sabhi Haley
jala Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
jise samajh Paya Nahi Koi

kisi Din Un Khyaloun Main
muhabbat Ki Chamak Bhi Thi
magr Aesi Chamak Us K
khwaboun Tak Hi Rehti Thi
usi K Un Khwaboun Ne
yunhi Bas Ankh Kholi Thi
pare Tukre Thay Khwaboun K
bhari Ranjish Se Jholi Thi
usi Jholi K Kuch Dhabbe
mita Paya Nahi Koi
main AesiAam Larke Hun
jise samajh Paya Nahi Koi!!

wo Hansti Khelti Ankhein
yunhi Ashkoun Main Dikhti Thi
wo Zinda Manzaroun K Rang
phatey Kaghaz Main Rakhti Thi
na Bachpan Sath Tha Uske
jawani Uspe Roti Thi
magar Kuch Din Udasi Se
guzarey,Ab Thakan Si Hai
ju Tufaan Ankh Se Guzre
koi Be Bas Jalan Si Hai
jalan Aesi K Jis K Rang
hata Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larke Hun
jise samajh Paya Nahi Koi!!

usi Khamosh Larki Ko
bohat Batein Batani Hain
muhabbat Main Baharoun Se
koi Khushbu Sajani Hai
agar Chaho Tu Tum Kardo
amar Karni Kahani Hai
main Aesi Aam Larki Hun
jise samajh Paya Nahi Koi
agar Chaho Samajh Lo Tum
mukammal Aas Kardo Tum
bohat Din Aam Guzre Hain
mujhe Ab Khas Kardo Tum





 
Top