Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkaatahu Doston...
Bohot dinon baad apni ek tooti phooti ghazal pesh kar raha hu, pasand na bhi aayi to comment zaroor karen
Zindagi ki manzil hai numaya mujh ko
safar nahi kat'ta jo dikhaya mujh ko
veeran hai safar-e-manzil bhi bohot
manzil ki chah ne chalaya mujh ko
Zarf hai mera chattan ke maanind,
sheher-e-khush-fehmiyon ne yun rukaya mujh ko
dunya to hai ek dikhawe ka marasim,
piche to sab hi ne yun dhaya hai mujh ko
Ibne-e-adam hu, badkaar hu, gunahgaar hu
teri rehmaton ne phir bhi sukoon dilaya mujh ko
nikal paro apni manzil ki taraf Safi tum,
Bharosa hi RAB ka yun aage barhaya hai mujh ko..