~ zindagi ka raaz ~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0


Assalam o alaikum dosto :)

1948 me jab barr e sagheer hind ko aazadi mili to ek taraf ahle pakistan thei.jinki numayendagi karte hue muhammed ali jinnah ne kaha tha k humko kata pita pakistan mila hai.inke khuwabon k pakistan me panjab aur bengal ka poora soba shamil tha.wo poore kashmir ko apne mulk ka hissa dekhna chahte thei.isliye maujooda pakistan inhe apni umeedon se kum nazar aaya.

dosri taraf ahle hind ka haal bhi yahi hua.yahan k logon k zahan me azaad hindustan ya suwatantar bharat ka jo tassawur tha moujooda mulk isse kum thachunanche aazadi k baad bhi lakhon log isi ehsas ka shikar rahe k inka mahoboob mulk inhe tukre hokar mila hai inho no jo kuch chaha wo bahot kum hai.

aazadi bazahir kuch paane k anjaam par qatam hui thi magar mazkoora asbaab ki bina par isne na paane ki surat iqtiyar karli.sarhad(border) k dono taraf siasi mahroomi ka jazba bharak utha.dono ek dosre ko dushman samajhkar ek dosre ki kaat me lag gaye.aur dono is koshish me masroof hogaye k kab maoqa mile aur wo dono ek dosre k khilaf karwayian kare.aur apne dil ki aag ko thanda karen.

isse muqtalif misal japan ki hai.dosri jung e azeem me isse america k hathon shikast hui aur apne mulk ka kafi hissa inhe ganwana para aur dosre economilcally bhi loss bahot ziada hua.aur america ne iski fauji azadi bhi isse cheen li ab wo apni khud muqtar fauj bhi na rakh sakta tha.magar ahle japan ne apni khoyi hui cheez ko bhula dia.aur jo cheez ab inhe hasil thi ispar qinaat karte hue amali jaddoo jahad shru kardiaur 40 saal baad aaj japan taraqiyaon ki choti par pahunch chuka hai.

to dosto zindagi ka maamla bhi kuch aisa hi hai.agar hum apni khooyi hui cheezon k baare me larte rahenge to waqt isi me zaaye hojaega aur hamare haath bahot kum ya kuch bhi hasil nahi ho payega.isliye hame chahiye k hum apni salahiton ko istemal me laayen aur ek mazboot qaom,mulk ko apna mustaqbil banayen.
 

Qalandar

Active Member
Aug 8, 2011
323
477
63
37
وعلیکم السلام
میسیج اچھا ہے کہ ہمیں اپنے ماضی کو بھول کر مستقبل کی طرف آگے بڑھنا چاہئے۔
لیکن انڈیا اور پاکستان کا مسئلہ ایسا نہیں ہے، یہاں مذہب اور نظریات، اور ظلم و جبر، اور ناانصافی کی سیاہ تاریخ کا فرق ہے۔
سیاسی اکھاڑ پچھاڑ اور مفادات سے زیادہ مذہبی مفادات اور جنونیت کا مسئلہ ہے۔
بہر حال انڈین اور پاکستانی شہریوں کی تمنا تو یہی ہے کہ جنگ میں صرف بربادی ہے اور امن میں دونوں ملکوں کی ترقی اور بہتری ہے،
پڑوسی آخر پڑوسی ہی ہوتا ہے رہنا دونوں نے ایک ساتھ ہے، اگر دوستی کے ساتھ رہیں گے تو دونوں کو فائدہ ہوگا، اور لڑائی کریں گے تو دونوں کا نقصان ہوگا۔
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
hmm Well Said Qasim , or yeh sab kch tabi mumkin ho ga Jab hukmran-e-Bala Or awamunaas k dil se nafrat Ki parchai khatem ho gi

AllaH Pak dono mulkoon ki SarhadOn ki Hifazat farmaye...
 
  • Like
Reactions: mirza37

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Walaikum As Salam.....
Bilkul sahi farmaya...Aur ajtak yhi hota aya hai k Ek dusre ki larayi me faida koi teesra uthata hai..
Nafrat to kabhi bhi kisi k liye soodmand sabit nahi hui Aur parosi hone k natay hum apne farayez ada karen aur sab bhool kar apni raah par taraqi ki taraf gaamzan rahen to apne mulkon ko behtar bana sakte hain............
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
walikum salam
:)
true said bro
:)
fnx for sharing​
 

sOhNi_

Super Star
Sep 4, 2010
5,507
3,502
1,113
W/salam
True said ..... very well written ..... :-bd
thnx for sharing.... Keep sharing ....​
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam wrwb :)
bohot hi umdah sharing bro

kash ke ye baat dono taraf ki awaam ke sath sath hukmaran bhi samjhen
lekin inko apni kursi pyari hai aur ye awaam ko bhadkate rahenge jiske nateeje aaj duniya dekh sakti hai ke dono hi mulk baki dusre mulkon se kitne piche hain

Allah hamare halaat ko durust kare Aameen
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalam u alaikum
boht acha pegham diya apne..
barr-e-sagheer pak-o-hind ki taqseem ka fesla ek aham fesla tha tak' Dono ko apne judagana tashakhus(pehchan) or haqooq k liye alag mumakil milen aur angeerzon se aazadi b.
ab jb dono aazad hain lekin taqseem k waqat peda hone wale halat se in dono mumalik me ghalat fehmiyan aur nafraten peda ho gyi kahen kahen..
lekin aj dono apne mumalik me aazad hain to phir naftarain kese..aman aur muhabbat se rehna chaheye..(jese hum yahan rehte hain:) )
Allah dono ko khush aur aabad rakhen aur aman-o-muhabbat peda kre:)




 
  • Like
Reactions: mirza37

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Wa Alaykum Assalam wrwb :)
bohot hi umdah sharing bro

kash ke ye baat dono taraf ki awaam ke sath sath hukmaran bhi samjhen
lekin inko apni kursi pyari hai aur ye awaam ko bhadkate rahenge jiske nateeje aaj duniya dekh sakti hai ke dono hi mulk baki dusre mulkon se kitne piche hain

Allah hamare halaat ko durust kare Aameen
thek kaha bhai..
halan'k in dono mumalik me talent boht zyda hai..yahan ki matti b boht zarkheez hai aur Allah ne barr-e-sageer me sare masoom aata kiye hain..boht khoobsorati hain yahan..
agar hum waike hi apni ehmiyat ko smjhen to boht aage tak ja sakte hain bajaye is k in baaton me uljhe rahen k taqseem k waqat kya huva..ya ek dosre k liye dil me nafraton se b kuch nhi hone wala..
wese mulak me kuch log hi hote hain jo ghalat fehmiyan dalte hain baki mere khayal me awan k dil boht haddtak saaf hain..Allah dono mumalik me behtar halat peda kre..
Ameen
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
Allah hi in hukummrano or politician ko akal de. koi bhi larai nai chahta sab aman chahte hain dono taraf ki awam. umeed hai k in dono azeem mulko k darmaiyan aman peda hojae. or dono mulk tarakki ki bulandio per puhanch jae jis ka khwab gandhi ji or humare quaid-e-azam ne dekha tha. very nice sharing bro
 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Kash k app ki kahi hoe yeh baat dono mulk k hukmarano ma uter jaye aur wo anay walay waqt k liye tyari karay aur nafraty mita ker apni awam aur us ki khushkhali k baray ma sochy k awam kiya chahti hay
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wassalam kya hi achha pegham hai bhai jan

ALLAH un logon ko aqal de jo apne mulk se pyar karne ke bajaye
doosre mumalik se nafrt karne mein masroof rehte hain Ameen
 
Top