Zara Num Ho To Yeh Mitti Bari Zarkhaiz Hay Saqi

  • Work-from-home

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
Zara num ho to yeh mitti bari zarkhaiz hay saqi
Dono janib rangbirangey phulon ki aik lambi qitar aur raahdari par andar ki taraf jaatey huye apni apni sargarmio may masruf Talba(students) ,,lambi,choti shirts,kuch scraf ,kuch dupatoon, Kuch muflers Liye huye larkian, chust jeans,dheeli shirts ,,kahi aasteenain charhaaye baal kaanton ki tara kharrey kiye huye larkey,,,aankhon pe chashmey tikaaye haathon may files aur laptops pakarey apne dehan may jaate huye aur talba k salam ka sar hila k jawab daite huye usatdza,,,

aaj 20 saal baad Apne hi college ki Daakhli raahdari par kharre huye us ne maazi k kitne hi manazir ko yaad kartey huye haal k manazir ko parkha tha,,
Kuch bhi to nhi badla tha ,,,wo bhii to kabhi yhi mojud tha unka bhi to aisa hi group tha jo 3 larkey aur teen larkio par mushtamil tha ird gird groups may kharry students ko daikhtey huye apni aankhon may anokhi chamak aur honton par dilkash si muskurahat sajaye wo andar ki janib barha...........
samne hi usko salim nazar aya jo chashma lagaye burha nazar aa raha tha, ye wahi saleem hai jo college me inke group ka sabse shararti larka tha kabhi kabhi to itni shararat karta tha ke khud inka group tung aajata, wahi shararti saleem isi college me ustad ki haisiat se piche 10 salon se talba ko parha raha hai,
Naveed apne purane yaar ke khareeb hua aur kaha Assalam Alaikum, saleem walaikum salam kehte huye nazar gumhai aur pehchan ne ki koshish kar raha hai ki ye kaun hai awaaz to jaani pehchani lag rahi hai, aage se awaaz aayi saleem main Naveed hun ye sunte hi saleem ne Naveed ko gale se laga liya aur dono ki aankhen nam ho gayin,
Naveed ka raabta kuch salon tak sab ke sath khat aur phone ke zariye raha tha phir Naveed naa jane kahan gum ho gaya ke kisi ko khabar na thi phir wo khud jab saare doston se rabta kiya, to sab ek baar milne ka programme tai kiye the aur saleem ne kaha tha ke hamari college ka annual day hai kuch dino me kyun na isi me sab ki mulakhat ho apni hi college hai aur purane din bhi yaad ayenge bohot acha rahega, to isi baat par sab ne ettefaq kiya tha.
Naveed waqt se pehle hi aake saleem ko surprise diya, 20 saal baad mulaqat ho rahi thi aur Naveed ne to abhi darhi bhi rakhli thi, ye dekh kar saleem bohot khush hua aur bola ke Naveed tu to yaar kehta tha ke naye zamane ke sath chalna chahiye aur ye hijab karwana darhi rakhna ye sab poorani baten hain lekin aaj tu khud isko apna liya..!
Naveed bola ke Allah ka ahsaan e azeem hai ke usne mujhe haq ka rasta bataya aur bhi bohot tabdilian aani hai zindagi me koshish kar raha hun, behre haal ye dono baten karte huye college ki sair kiye apni sari shararten yaad ki ke kaise sab milke naye talba ko satate, raton ko hostel me achanak hungama karna, khane ke waqt bawarchi ko pareshan karna kabhi college ki taraf se ghumne jao to wahan bhi shararat aur khoob masti karna sab yaad karte aur hanste hanste dono ki ankhen nam ho gayin.
saleem ne kaha ke kitne haseen the wo pal Naveed kitni achi thi wo zindagi, apni hi duania me mast rehte haste khelte khushian manate aur aaj wo sab kahan apni hi zimmedarion me jakad gaye hain
Naveed ne jawab diya tha nahi mere bhai wo to bas khwabon ki zindagi ki tarah thi zahir me haseen thi lekin asal zindagi wo nahi thi asal zindagi to school aur college ke bahar ki hai jahan hame kayi masail ka samna hai aur unhe paar karte huye hame apni zindagi Allah aur uske Rasool alayhisalam ke tareeqon par guzarni hai aur jo aise karega wohi asal me kamiyab hai, kya tujhe nahi pata Allah tala quran me kya keh raha hai sure imran ayat no 185 me farman bari tala hai ke jo aag se bacha liya gaya aur jannat me dakhil kar diya gaya wo hi asal me kamiyab hai, to hame is ke liye jad o jahad karni ha aur uske liye hame apne talba ko apne bachon ko isi college ki zindagi me tayyar karna hai unhe ye ahsaas dilana hai ke kal hamara mustaqbil kaise hoga kaise hame dunia o akhirat me kamiyabi milegi wagairah
ye sab sanjeedgi se sunte huye saleem bada mutasir ho raha tha phir itne me saleem ne kaha tu ruk my ijazat leke aata hun phir ghar chalte hain aur sab ko phone karenge, phir ye ghar chale aur saleem ne charon ko phone lagaya jo inke group me se the Javed, Nausheen, Jabeen, ye do behne thin aur ek tabassum jo college topper thi sabko apni family ke sath invite kiya aur kaha ke ek din pehle hamare ghar ajayen pehle sab Naveed se mulaqat kar lete hain aur phir dusre din annual day me jayenge
saleem ne Naveed se kaha yaar tu apni family ko sath nahi laya Naveed ne jawab diya ke main dusre shahar se ho ke yahan aa raha hun aur phir yahan se ek aur shahar hote huye ghar jaaunga isme bachon ki parhai par asar parhta aur safar bhi lamba ho jata islie akela hi agaya phir kabhi launga family ko sath in sha Allah..
Naveed ne saleem se kaha ke my talba se annual day par khitab karna chah raha hun aur zyada waqt nahi lunga tu ijazat le lena, saleem to pehle se mutasir ho gaya tha Naveed ki baton se to usne kaha theek hai main ye karlunga meri zimmedari hai
Dusre din Naveed akhbaar parh raha tha ke usne khabar parhi ke America me ek yahoodi ne Allah ke Rasool alayhi salam par ek film banayi hai "Innocence Of Muslims" jo bohot gandi ghatia aur mazzamat ke layaq hai, Naveed ko shadeed afsos hua aur ghussa sar ke upar tha wo saleem ko ye khabar bata raha tha phir saleem ne telivison on kiya to dekh raha hai ke Arab mumalik me ehtajaaj shuru ho gaya hai aur libiya me America ke sifarat khana par hamla hua jisme America ke safeer samet aur 3 loog mare gaye har jageh afra tafree hai, itne me saleem ko call ayi ke kal college band hai kyun ke kal jumma hai to yahan bhi namaz ke baad college ke talba ehtejajan rally nikalenge to aap namaz ke baad yahan ajaana
Dusre din namaz e jumma ke baad Naveed aur saleem dono college gaye jahan pehle se bohot bheed jami thi talba aur unke dost ghar wale sab jama banners lie aur America ka flag liye nikal ne ki tayyari me the, naujawano me gussa bhara tha agar unke hathon me talwar dedi jae to wo kafiron ko ruh e zameen se mita den itna jazba un me dikh raha tha sab nikle rally me nare lagaye gaye aur hukumat ko bhi apni lapait me le liye kuch naujawan gali bhi de rahe the kuch America ka flag jala rahe the ye sab manazir Naveed bagaur dekh raha tha..
Phir annual day se ek din pehle sab logon ki mulaqat huyi saleem ke ghar me sab ne mil kar khana khaya aur apne purane din bhi yaad kiye aur sath hi Naveed ne aaj ke halat se sab ko agah kiya aur is par sanjeedgi se sochne aur apne aap ko amali musalman banane par naseehaten ki, khawateen (inke group ki larkian) bhi Naveed ki baton se mutassir huyin aur khush bhi huyin ke aaj ke zamane me bhi aise fard paida hote hain jo islami fikr rakhte hain aur amali zindagi me usko nafiz karte hain aur muashre ki bhi fikr rakhte hain
Anuual day ka din: sab loog khushi se jhoom rahe hain ek dusre se baten kar rahe hain apni hi dhun me mast magan hain larke larkion ki aksariat wahi maghrabi libas pehne huye koi gunguna raha hai koi kisi larki ke piche nazar jamae huye hai to koi kuch, ye manzar Naveed ke liye aur takleefdeh tha ke teen din pehle hi to sab ne mil kar ehtejaaj kiye the kitne josh me the America ke khilaf nare laga rahe the, aur aaj tauheen e risalat ko bhul gaye wahi maghribi libas wahi hansi mazakh aise lag raha hai ke kuch hua hi nahi kisi me sanjeedgi nazar nahi aati, koi islam ki baat nahi kar raha, Naveed ye soch raha tha ke saleem aa pahuncha aur kaha chalo abhi sab hall me chalte hain jahan taqreeren hongi aur tumhare liye bhi mauqa rakha gaya hai
Phir ek ke baad digar programme huye taqreeren huyi phir saleem se kaha gaya ke Naveed ka taruf karaye aur stage pe bulaye, saleem ne Naveed ka tarruf karwaya ke ye hamari college ke hi qadeem talib reh chuke hain balke hamara ek group tha jis me ham teen larke aur larkian thin aaj sab ko phir isi college me jama dekh main bohot khush hun sath hi Naveed mere azeez dost bhi hain, phir Naveed ko dawat di ke kuch kalimaat wo talba se kahen
Naveed stage par aane ke baad Assalam Alaikum ke sath taqreer ka aghaz kiya hamd o sana ke baad…
mujhe ye mauqa dene k liye muaziz intezamia aur meri baat untak pahunchane k lie mere azeez dost aur meri chund baten sun ne ke liye muntazir talba sab ka my shukrguzar hun
Azeezon Allama Iqbal ka sher mujhe yaad aa raha hai
Pasti Ka Koi Had Se Guzrna Dekhe
Islam Ka Gir Kr Na Ubhra Dekhe

Mane Na Kabhi Mad Hai Har Jazar K Bad
Duniya Ka Hamary Jo Utrna Dekhe
Aaj hamari halat itni pasti me hai ke tareeq e islam me kabhi nahi thi, mera yahan aane se pehle hi irada tha ke talba ko waaz o naseehat karun aur islam ki taraf bulaun, phir haal me jo dushmanan e islam ki taraf se jo harkat huyi wo dekhne ke baad mujhe bohot gham hua musalmano ki halat par taras aaya aur ye khwahish aur bhi barhi ke logon ko khaas kar talba ko apne andar ka islam jagane ke liye har mumkin koshish karun, phir rally ka din tha sab ehtejaj karne nikle the naujawano ko josh dekh kar ek umeed ki kiran jagi ke haan ab bhi islam zinda hai inke dilon me inke andar wo jazba hai, inhe ek islami lashkar banaya jaa sakta hai aur wo sher yaad aya
Nahin hai na umeed IQBAL apni kasht-e-veeran se,

main ye soch kar dil ko tasalli di lekin aaj phir jab main ne dekha sab naujawan wahi maghrabi libas me unhi ke gane gungunate huye hansi mazakh filmo ki baten kar rahe the to itni takleef huyi jitni wo film ke bare me jaan ke nahi huyi
kya hamari zimmedari bas itni si hai ke ehtejaaj karliye bas hamara kaam ho gaya? kya yehi mohabbat hai paighambar e islam ki hamare dilon me? kya ham bas naam ke musalman hain kya ham inka culture nahi chor sakte kya amali zindagi me ham islam ko nafiz nahi kar sakte kya ham apni maa behno ko parda nahi kara sakte? aise kayi sawal hain jo janam le rahe hain
azeezon islam asaan deen hai aur ye hamari dunia o akhirat ke liye kamiyabi ka ek wahid zariya hai, iske bagair ham na to dunia me khush reh sakte hain na akhirat ki abdi zindagi me kamiyab, kya maa baap ki zimmedari ye nahi ke apne bachon ko sahi tarbiat de islam kya chahta hai bachpan se hi unko sikhaya jaye? Kya bachon ko quran se joda nahi jaye unhe quran aur ahadees samjhane ke liye khud aage na badha jaye?
ab bhi waqt hai apne halat sudharo tauba karo, ke suraj abhi apni jagah se hi tulu ho raha hai tauba karlo ke abhi saans bakhi hai aur dushmanaan e islam se jihad ke liye tayyar ho jao ke a b wo waqt aachuka hai ke ham jihad ke maidan me utar jayen islam ko amali jama pehnao yehi hamari zindaki ka maqsad hai, yehi falah o behboodi ka raasta hai…. Jihad me sab se afzal jihad apne nafs ka hai to wahan se shuruat karo har lamha islam islam ho jaye zindagi aisa badlaao lao agar ham apni zindagi kop yare habeeb Mohammad salllellahu alayhi wasallam ke tareeqon par layenge to phir maidan me talwaron ki zaroorat nahi parhegi khud hamare aqlaq o kirdar se hi ham dunia ko jeet sakte hain.. lekin hamare andar itni quwwat itna jazba zaroor hona chahiye ke zaroorat parhne par hathon me talwaar bhi aaye to piche na haten aaj hame apni halat par taras khana chahiye aur gaur o fikr karni chahiye………samajhdaron ke liye lambi taqreeron ki zaroorat nahi main apni baat ko yahin khatam karta hun in ashaar ke sath
Jalaal-e-aatish o barq-e-sahaab paida kar,
ajal bhi kaanp uthe tu woh shabaab paida kar
Tu inquilab ki aamad ka intezar na kar,
jo ho sake to khud hi inquilab paida kar
Wa Aakhir Da’wana ‘Anil ‘Hamdu Lillahi Rabbil ‘Aalamiin.
Hall me baithe sabhi talba asatiza sanjeedgi se sun rahe the ek dam khamoshi ke baad ek talib ne nara e takbeer buland kiya sab ne uska sath diya, sare loog Naveed ki taqreer se mutassir huye aur programme ke ikhtetaam ke baad bohot talba asatiza Naveed se mile aur ahad kiye ki ham amali musalman banenge sahi maino me musalman banenge aur jihad ka jazba paida karenge apne bachon ko islam ki tarbiat denge in sha Allah
Naveed ko dusre shahar ke liye bhi nikalna tha wo apne doston se phir milne ka wada kiya aur wahan se nikal parha………….
 
PakizahDuaa123

Active Member
Sep 16, 2012
211
248
43
منزل سے کچھ دور
mashaAllah buhat acha laga parh kar....
urdu main likha hota tu aur bhi maza ata...
keep writing buhat acha msg hai .....
for those people who are looking for inspiration..
junaid jamshad ki personal story sunain...masaAllah force people to change themselves
MEra Dil badal day
may Allah give everyone guidance to follow the right path Ameen
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
mashaAllah buhat acha laga parh kar....
urdu main likha hota tu aur bhi maza ata...
keep writing buhat acha msg hai .....
for those people who are looking for inspiration..
junaid jamshad ki personal story sunain...masaAllah force people to change themselves
MEra Dil badal day
may Allah give everyone guidance to follow the right path Ameen
junaid jhamshed my most fav personality :)[DOUBLEPOST=1348229336][/DOUBLEPOST]bht hi unda likha hia ap ne SUBHANALLAH :)
ese hi likhte rahe. ap writer bhi hain hume nai pata tha :)
once again brilliant work :) keep it up

Nahin hai na umeed IQBAL apni kasht-e-veeran se,
Zara num ho to yeh mitti bari zarkhaiz hay saqi
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
@hoorain kya hausla afzai hy apne sab ka thread parha mera parhna munasib na samjha shukria
aww i m so sorry :-ss
aap ne i think udhar link post nhi kiya 3rd round thread may
to main samjhi apa ne is ROund may participate nhi kiya,,really sorry tag miss ho gya!
 
*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
aww i m so sorry :-ss
aap ne i think udhar link post nhi kiya 3rd round thread may
to main samjhi apa ne is ROund may participate nhi kiya,,really sorry tag miss ho gya!
meri jumma ko chutti huti hy badi mushkil se time nikal ke ye thread lagaya
aur abi my is contest se bahar hun
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
A great Message
haalat-e-hazira ko dehan may rakhtey huye bohat acha message bohat ache tareeqe se diya
ishaar bhi bohat ahce add kiye
Well Done!:-bd
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalam u aliakum
behtareen tehreer..haq aur sach likha..
parh k lga k kisi ne aaina dikha diya!

tehreer ko sabaq'amooz aur musbat hi hona chahiye..esa adb hi qoam me musbat tabdiliyon ka bais banta hai!
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
Assalam u aliakum
behtareen tehreer..haq aur sach likha..
parh k lga k kisi ne aaina dikha diya!

tehreer ko sabaq'amooz aur musbat hi hona chahiye..esa adb hi qoam me musbat tabdiliyon ka bais banta hai!
walaikum salam
shukria ye bas contest ke had tak my ne ny kia ye mere jazbaat hy aur meri amali koshish b
Allah meri haqeer koshish qabool farmae ameen
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
walaikum salam
shukria ye bas contest ke had tak my ne ny kia ye mere jazbaat hy aur meri amali koshish b
Allah meri haqeer koshish qabool farmae ameen
ap ise jari rakhne ki koshish zarur kijiye
jazakAllah
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

anoush

TM Star
Jul 4, 2012
3,945
2,249
713
Zara num ho to yeh mitti bari zarkhaiz hay saqi
Dono janib rangbirangey phulon ki aik lambi qitar aur raahdari par andar ki taraf jaatey huye apni apni sargarmio may masruf Talba(students) ,,lambi,choti shirts,kuch scraf ,kuch dupatoon, Kuch muflers Liye huye larkian, chust jeans,dheeli shirts ,,kahi aasteenain charhaaye baal kaanton ki tara kharrey kiye huye larkey,,,aankhon pe chashmey tikaaye haathon may files aur laptops pakarey apne dehan may jaate huye aur talba k salam ka sar hila k jawab daite huye usatdza,,,
aaj 20 saal baad Apne hi college ki Daakhli raahdari par kharre huye us ne maazi k kitne hi manazir ko yaad kartey huye haal k manazir ko parkha tha,,
Kuch bhi to nhi badla tha ,,,wo bhii to kabhi yhi mojud tha unka bhi to aisa hi group tha jo 3 larkey aur teen larkio par mushtamil tha ird gird groups may kharry students ko daikhtey huye apni aankhon may anokhi chamak aur honton par dilkash si muskurahat sajaye wo andar ki janib barha...........
samne hi usko salim nazar aya jo chashma lagaye burha nazar aa raha tha, ye wahi saleem hai jo college me inke group ka sabse shararti larka tha kabhi kabhi to itni shararat karta tha ke khud inka group tung aajata, wahi shararti saleem isi college me ustad ki haisiat se piche 10 salon se talba ko parha raha hai,
Naveed apne purane yaar ke khareeb hua aur kaha Assalam Alaikum, saleem walaikum salam kehte huye nazar gumhai aur pehchan ne ki koshish kar raha hai ki ye kaun hai awaaz to jaani pehchani lag rahi hai, aage se awaaz aayi saleem main Naveed hun ye sunte hi saleem ne Naveed ko gale se laga liya aur dono ki aankhen nam ho gayin,
Naveed ka raabta kuch salon tak sab ke sath khat aur phone ke zariye raha tha phir Naveed naa jane kahan gum ho gaya ke kisi ko khabar na thi phir wo khud jab saare doston se rabta kiya, to sab ek baar milne ka programme tai kiye the aur saleem ne kaha tha ke hamari college ka annual day hai kuch dino me kyun na isi me sab ki mulakhat ho apni hi college hai aur purane din bhi yaad ayenge bohot acha rahega, to isi baat par sab ne ettefaq kiya tha.
Naveed waqt se pehle hi aake saleem ko surprise diya, 20 saal baad mulaqat ho rahi thi aur Naveed ne to abhi darhi bhi rakhli thi, ye dekh kar saleem bohot khush hua aur bola ke Naveed tu to yaar kehta tha ke naye zamane ke sath chalna chahiye aur ye hijab karwana darhi rakhna ye sab poorani baten hain lekin aaj tu khud isko apna liya..!
Naveed bola ke Allah ka ahsaan e azeem hai ke usne mujhe haq ka rasta bataya aur bhi bohot tabdilian aani hai zindagi me koshish kar raha hun, behre haal ye dono baten karte huye college ki sair kiye apni sari shararten yaad ki ke kaise sab milke naye talba ko satate, raton ko hostel me achanak hungama karna, khane ke waqt bawarchi ko pareshan karna kabhi college ki taraf se ghumne jao to wahan bhi shararat aur khoob masti karna sab yaad karte aur hanste hanste dono ki ankhen nam ho gayin.
saleem ne kaha ke kitne haseen the wo pal Naveed kitni achi thi wo zindagi, apni hi duania me mast rehte haste khelte khushian manate aur aaj wo sab kahan apni hi zimmedarion me jakad gaye hain
Naveed ne jawab diya tha nahi mere bhai wo to bas khwabon ki zindagi ki tarah thi zahir me haseen thi lekin asal zindagi wo nahi thi asal zindagi to school aur college ke bahar ki hai jahan hame kayi masail ka samna hai aur unhe paar karte huye hame apni zindagi Allah aur uske Rasool alayhisalam ke tareeqon par guzarni hai aur jo aise karega wohi asal me kamiyab hai, kya tujhe nahi pata Allah tala quran me kya keh raha hai sure imran ayat no 185 me farman bari tala hai ke jo aag se bacha liya gaya aur jannat me dakhil kar diya gaya wo hi asal me kamiyab hai, to hame is ke liye jad o jahad karni ha aur uske liye hame apne talba ko apne bachon ko isi college ki zindagi me tayyar karna hai unhe ye ahsaas dilana hai ke kal hamara mustaqbil kaise hoga kaise hame dunia o akhirat me kamiyabi milegi wagairah
ye sab sanjeedgi se sunte huye saleem bada mutasir ho raha tha phir itne me saleem ne kaha tu ruk my ijazat leke aata hun phir ghar chalte hain aur sab ko phone karenge, phir ye ghar chale aur saleem ne charon ko phone lagaya jo inke group me se the Javed, Nausheen, Jabeen, ye do behne thin aur ek tabassum jo college topper thi sabko apni family ke sath invite kiya aur kaha ke ek din pehle hamare ghar ajayen pehle sab Naveed se mulaqat kar lete hain aur phir dusre din annual day me jayenge
saleem ne Naveed se kaha yaar tu apni family ko sath nahi laya Naveed ne jawab diya ke main dusre shahar se ho ke yahan aa raha hun aur phir yahan se ek aur shahar hote huye ghar jaaunga isme bachon ki parhai par asar parhta aur safar bhi lamba ho jata islie akela hi agaya phir kabhi launga family ko sath in sha Allah..
Naveed ne saleem se kaha ke my talba se annual day par khitab karna chah raha hun aur zyada waqt nahi lunga tu ijazat le lena, saleem to pehle se mutasir ho gaya tha Naveed ki baton se to usne kaha theek hai main ye karlunga meri zimmedari hai
Dusre din Naveed akhbaar parh raha tha ke usne khabar parhi ke America me ek yahoodi ne Allah ke Rasool alayhi salam par ek film banayi hai "Innocence Of Muslims" jo bohot gandi ghatia aur mazzamat ke layaq hai, Naveed ko shadeed afsos hua aur ghussa sar ke upar tha wo saleem ko ye khabar bata raha tha phir saleem ne telivison on kiya to dekh raha hai ke Arab mumalik me ehtajaaj shuru ho gaya hai aur libiya me America ke sifarat khana par hamla hua jisme America ke safeer samet aur 3 loog mare gaye har jageh afra tafree hai, itne me saleem ko call ayi ke kal college band hai kyun ke kal jumma hai to yahan bhi namaz ke baad college ke talba ehtejajan rally nikalenge to aap namaz ke baad yahan ajaana
Dusre din namaz e jumma ke baad Naveed aur saleem dono college gaye jahan pehle se bohot bheed jami thi talba aur unke dost ghar wale sab jama banners lie aur America ka flag liye nikal ne ki tayyari me the, naujawano me gussa bhara tha agar unke hathon me talwar dedi jae to wo kafiron ko ruh e zameen se mita den itna jazba un me dikh raha tha sab nikle rally me nare lagaye gaye aur hukumat ko bhi apni lapait me le liye kuch naujawan gali bhi de rahe the kuch America ka flag jala rahe the ye sab manazir Naveed bagaur dekh raha tha..
Phir annual day se ek din pehle sab logon ki mulaqat huyi saleem ke ghar me sab ne mil kar khana khaya aur apne purane din bhi yaad kiye aur sath hi Naveed ne aaj ke halat se sab ko agah kiya aur is par sanjeedgi se sochne aur apne aap ko amali musalman banane par naseehaten ki, khawateen (inke group ki larkian) bhi Naveed ki baton se mutassir huyin aur khush bhi huyin ke aaj ke zamane me bhi aise fard paida hote hain jo islami fikr rakhte hain aur amali zindagi me usko nafiz karte hain aur muashre ki bhi fikr rakhte hain
Anuual day ka din: sab loog khushi se jhoom rahe hain ek dusre se baten kar rahe hain apni hi dhun me mast magan hain larke larkion ki aksariat wahi maghrabi libas pehne huye koi gunguna raha hai koi kisi larki ke piche nazar jamae huye hai to koi kuch, ye manzar Naveed ke liye aur takleefdeh tha ke teen din pehle hi to sab ne mil kar ehtejaaj kiye the kitne josh me the America ke khilaf nare laga rahe the, aur aaj tauheen e risalat ko bhul gaye wahi maghribi libas wahi hansi mazakh aise lag raha hai ke kuch hua hi nahi kisi me sanjeedgi nazar nahi aati, koi islam ki baat nahi kar raha, Naveed ye soch raha tha ke saleem aa pahuncha aur kaha chalo abhi sab hall me chalte hain jahan taqreeren hongi aur tumhare liye bhi mauqa rakha gaya hai
Phir ek ke baad digar programme huye taqreeren huyi phir saleem se kaha gaya ke Naveed ka taruf karaye aur stage pe bulaye, saleem ne Naveed ka tarruf karwaya ke ye hamari college ke hi qadeem talib reh chuke hain balke hamara ek group tha jis me ham teen larke aur larkian thin aaj sab ko phir isi college me jama dekh main bohot khush hun sath hi Naveed mere azeez dost bhi hain, phir Naveed ko dawat di ke kuch kalimaat wo talba se kahen
Naveed stage par aane ke baad Assalam Alaikum ke sath taqreer ka aghaz kiya hamd o sana ke baad…
mujhe ye mauqa dene k liye muaziz intezamia aur meri baat untak pahunchane k lie mere azeez dost aur meri chund baten sun ne ke liye muntazir talba sab ka my shukrguzar hun
Azeezon Allama Iqbal ka sher mujhe yaad aa raha hai
Pasti Ka Koi Had Se Guzrna Dekhe
Islam Ka Gir Kr Na Ubhra Dekhe
Mane Na Kabhi Mad Hai Har Jazar K Bad
Duniya Ka Hamary Jo Utrna Dekhe
Aaj hamari halat itni pasti me hai ke tareeq e islam me kabhi nahi thi, mera yahan aane se pehle hi irada tha ke talba ko waaz o naseehat karun aur islam ki taraf bulaun, phir haal me jo dushmanan e islam ki taraf se jo harkat huyi wo dekhne ke baad mujhe bohot gham hua musalmano ki halat par taras aaya aur ye khwahish aur bhi barhi ke logon ko khaas kar talba ko apne andar ka islam jagane ke liye har mumkin koshish karun, phir rally ka din tha sab ehtejaj karne nikle the naujawano ko josh dekh kar ek umeed ki kiran jagi ke haan ab bhi islam zinda hai inke dilon me inke andar wo jazba hai, inhe ek islami lashkar banaya jaa sakta hai aur wo sher yaad aya
Nahin hai na umeed IQBAL apni kasht-e-veeran se,
Zara num ho to yeh mitti bari zarkhaiz hay saqi
main ye soch kar dil ko tasalli di lekin aaj phir jab main ne dekha sab naujawan wahi maghrabi libas me unhi ke gane gungunate huye hansi mazakh filmo ki baten kar rahe the to itni takleef huyi jitni wo film ke bare me jaan ke nahi huyi
kya hamari zimmedari bas itni si hai ke ehtejaaj karliye bas hamara kaam ho gaya? kya yehi mohabbat hai paighambar e islam ki hamare dilon me? kya ham bas naam ke musalman hain kya ham inka culture nahi chor sakte kya amali zindagi me ham islam ko nafiz nahi kar sakte kya ham apni maa behno ko parda nahi kara sakte? aise kayi sawal hain jo janam le rahe hain
azeezon islam asaan deen hai aur ye hamari dunia o akhirat ke liye kamiyabi ka ek wahid zariya hai, iske bagair ham na to dunia me khush reh sakte hain na akhirat ki abdi zindagi me kamiyab, kya maa baap ki zimmedari ye nahi ke apne bachon ko sahi tarbiat de islam kya chahta hai bachpan se hi unko sikhaya jaye? Kya bachon ko quran se joda nahi jaye unhe quran aur ahadees samjhane ke liye khud aage na badha jaye?
ab bhi waqt hai apne halat sudharo tauba karo, ke suraj abhi apni jagah se hi tulu ho raha hai tauba karlo ke abhi saans bakhi hai aur dushmanaan e islam se jihad ke liye tayyar ho jao ke a b wo waqt aachuka hai ke ham jihad ke maidan me utar jayen islam ko amali jama pehnao yehi hamari zindaki ka maqsad hai, yehi falah o behboodi ka raasta hai…. Jihad me sab se afzal jihad apne nafs ka hai to wahan se shuruat karo har lamha islam islam ho jaye zindagi aisa badlaao lao agar ham apni zindagi kop yare habeeb Mohammad salllellahu alayhi wasallam ke tareeqon par layenge to phir maidan me talwaron ki zaroorat nahi parhegi khud hamare aqlaq o kirdar se hi ham dunia ko jeet sakte hain.. lekin hamare andar itni quwwat itna jazba zaroor hona chahiye ke zaroorat parhne par hathon me talwaar bhi aaye to piche na haten aaj hame apni halat par taras khana chahiye aur gaur o fikr karni chahiye………samajhdaron ke liye lambi taqreeron ki zaroorat nahi main apni baat ko yahin khatam karta hun in ashaar ke sath
Jalaal-e-aatish o barq-e-sahaab paida kar,
ajal bhi kaanp uthe tu woh shabaab paida kar
Tu inquilab ki aamad ka intezar na kar,
jo ho sake to khud hi inquilab paida kar
Wa Aakhir Da’wana ‘Anil ‘Hamdu Lillahi Rabbil ‘Aalamiin.
Hall me baithe sabhi talba asatiza sanjeedgi se sun rahe the ek dam khamoshi ke baad ek talib ne nara e takbeer buland kiya sab ne uska sath diya, sare loog Naveed ki taqreer se mutassir huye aur programme ke ikhtetaam ke baad bohot talba asatiza Naveed se mile aur ahad kiye ki ham amali musalman banenge sahi maino me musalman banenge aur jihad ka jazba paida karenge apne bachon ko islam ki tarbiat denge in sha Allah
Naveed ko dusre shahar ke liye bhi nikalna tha wo apne doston se phir milne ka wada kiya aur wahan se nikal parha………….
waha kia lekha hy muslim bro buhat acha laga
 
  • Like
Reactions: *Muslim*
Top