Zakhira tanz ka kitna teri zabaan mai hai

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
Zakhira tanz ka kitna teri zabaan mai hai
harr aik lamha naya teer iss kamaan mai hai

supurd khud ko kare ya farar ho jaye
wo shakhs abb bhi kisi aisey imtehan mai hai

rehey wafa hai, sambhal kar chalo fareb hai pyar
kabhi kaha tha ye maine tumhe, dhyan mai hai

wagar na yaa'n ki har ikk shai pukarti mujhko
ye mai nahi hoon koi dusra makan mai hai

kia tha pesh jo usne mujhe ba-waqt e wida
barhi lateef si khushboo wo mitthe paan mai hai
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top