yeh na thi hamari qismat ke visaal-e-yaar hota
agar aur jitey rahatey yahi intazaar hota
terey vadey par jiye ham to ye jaan jhooth jana
ke khushi sey mar na jatey agar aitabaar hota
teri nazuki sey jana k bandha tha ahed_bouda
kabhi too na tor sakata agar ustavar hota
koi mery dil se poochey terey tir-e-nimakash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
ye kahan ki dosti hai ke bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi Gam_gusaar hota
rag-e-sang se tapakata wo lahoo k phir na thamata
jisey gham samajh rahey ho ye agar sharar hota
Gham agarche jaan_gusil hai, per kahan bachen ke dil hai
Gham-e-ishq gar na hota, Gam-e-rozagar hota
kahoon kis se main ke kiya hai, shab-e-gham buri bala hai
mujhe kiya bura tha marana agar aik baar hota
hoye mar ke ham jo rusava, hoye kiyon na garq-e-dariya
na kabhi janaza uthata, na kahin mazar hota
ye masail-e-tasavwuf, ye tera bayan 'Ghalib'
tujhe ham wali samajhatey, jo na bada_khuwar hota