ye jo diivaane se do chaar nazar aate hain

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
ye jo diivaane se do chaar nazar aate hain
in mein kuchh saahib-e-asraar nazar aate hain

terii mahafil kaa bharam rakahate hain so jaate hain
varnaa ye log to bedaar nazar aate hain

duur tak ko_ii sitaaraa hai na ko_ii juganuu
marg-e-ummiid ke aasaar nazar aate hain

mere daaman mein sharaaron ke sivaa kuchh bhii nahiin
aap phuulon ke Khariidaar nazar aate hain

kal jise chhuu nahiin sakatii thii farishton kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain

hashr mein kaun gavaahii merii degaa 'Sagar'
sab tumhaare hii taraf_Daar nazar aate hain

 
Top