woh pyaar ki baatein

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Beqarari ke aalam main qaraar ki baatein
ufff khudaya! woh pyaar ki baatein

dil ishq main madhosh hua jaata hai
suroor main doobi khumaar ki baatein

phool ki pattiyon par pighalti shabnam
yaad dilaati mausam-e-bahaar ki baatein

thandi hawa ke mad-mast jhonke hai
dil ko mere tadpaati yaar ki baatein

taaron ke bazm main bikharti chandni
raat ki dehleez par khaaksaar ki baatein...

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top