Woh Ankh Jiko Tara Intazar Abb Be Hay

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
faiz ahmad faiz
"khuda woh waqat na laay "
khuda woh waqat na laay kay sogawar hou tu
sakoon ki neend tujay b haraam hou jaaiy
tairi musarratay peham tamaam hou jaaiy
tairi hayaat tujay talkh jaam hou jaaiy
ghumoo say aaina dil guzar hoo tara
hajoomay yass say baytab hoo k rah jay
wafuday ward say simab hoo k rah jay
tara shabab fakat khuab hoo k rah jay
gharoor husan sarapa niaz hoo tara
tawil raaton may tu b karar ko tarsay
tari nigah kissi ghum guzar ko tarsaay
khizan rasida tamana bahar ko tarsay
koi jabin na taray sangay astaan pay jukay
k jinsay ajzoo akidat say tuj ko shaad karay
farabay wada fara yah atmaad karay khuda woh waqat na laay k tuj ko yaad karay
woh dil k taray liay baykarar abb be hay
woh ankh jiko tara intazar abb be hay
************************* ************************* ************************
 
Top