Waqt Khaak Hai

  • Work-from-home

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
main yahan baith ker samunder ka intizar kerti hun to herkat kerti hui ye soiyan sergoshi kerti hain...in sergoshiyion nay mujhe bataya hai k firaak, visal ke dosri jehat hai aur kaynat main intizar kahin nahi hai aur ye bhi k waqt la mehdod hai aur is k sath he mehdod bhi kion k vo kaynat ke manind ek daira jo kahin say shuru nahi hota aur na kahin khatam hota hai lekin mushkil ye hai k hum waqt ko khat-e-mustakim main safer kernay wali ghair mehsos aur na maloom shai samajhte hain aur hum ye nahi samajhte k waqt gerdish main hai aur is gerdish nay aik dairay ko janam diya hai aur jab daira mukamal ho jata hai to phir is k baray main kon bata sakta hai k us ka nukta-e-aghaz kahan hai aur nuqta-e-anjam kahan waqt bhi kaghi nahi guzerta humaisha laut ata hai kion k gerdish kernay wali cheez apnay aghaz ke taraf laut'ti hai aur kitni ajeb bat hai k aghaz hi anjam bhi hai is liay ye kehna bhi ghalat hai k waqt apnay aghaz ke taraf laut'ta hai bus yun hai k waqt gerdish main hai aur hum sab is gerdish ka aik hisa hain, waqt kaynat k dairay main gerdish kernay wali dhool hai jo humaray seron per jamti hai to burhapa bun jati hai aur humaray badan say lipatti hai to hum mitti main mil jatay hain,
Waqt khaak hai
aur
Baad hai,
Waqt Khuda hai,
Kaynat hai,
Waqt sab kuch hai
aur
Kuch bhi nahi hai......."

Writer = "Zahida Hina" kitab = "ANKHON K DEED-E-BAN"
@Fanii @Madii @yoursks @Hoorain @Manxil @Pari @Shizu @thefire1 @h@!der
 
thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Bohat khoobsoorat iqtibas hay. ... main nay tou yehi suna tha kay gaya waqt phir lout kar nahin aata. ... magar iss iqtibas nay bohat kuch sochnay per majboor kar dia.

Soch kay zaawiyon ko nayii simt dainay ka shukriya @Seap khush rahyeh :)

  • Like
Reactions: Seap

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
Bohat khoobsoorat iqtibas hay. ... main nay tou yehi suna tha kay gaya waqt phir lout kar nahin aata. ... magar iss iqtibas nay bohat kuch sochnay per majboor kar dia.

Soch kay zaawiyon ko nayii simt dainay ka shukriya @Seap khush rahyeh :)
Jazak Allah aap bhi khushrahy waqt k tamam iqtibasat me sy best hy
 
Manxil

BEiNg SiNglE is My ATtITUde
Super Star
May 7, 2012
13,831
2,488
913

Nix sharing
 
Top