~*Uski Khatir Me Jo NAZM Likhta Raha*~

  • Work-from-home

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


Tere dar pe main jitna jhuka aur Utha, jo Namazo.n me jhukta to kya baat Thi......
Jitne Harf-e-mohabbat tujhe de diye, Wo Duao.n me rakhta to kya baat Thi.....

Main Waraq dar waraq Tujhko Likhta raha
Geet Bunta raha, Nazm Kahta raha,
Itne Afkaar APne Tere Husn par, Raayega.n jo na karta to kya baat Thi.....

Mere aansu the Tasbiih Teri Yaad ki
Jinpe har pal Ibaadat main karta raha,
Meri Har Saans tujhse jo Kahti Rahi, Tu Wo Mujhse bhi kahta to kya baat Thi....

Ek Phulo.n Ki Rangat Lab-e-Surkh par
Uspe Aankho me ye shishe ki saadgi,
Sab diya Hai khudaa ne Tumhe Jaan-e-dil, Ek Dil bhi jo Deta to kya Baat Thi.....

Main bhi Roya bahut tha Tujhe paane ko
Apni Har Saans ke saath Dhundha Tujhe,
Tu Bhi phirta jo Dar dar Mere hi Liye, Koi Mujhsa na milta to kya Baat Thi....

Jo na hote Marasim zamane ke kacche
Samajhte wo apni Mohabbat Ko HamDam,
Sar-e-aam hote na Rusvaa jo ham, Ye tamasha na hota To kya baat Thi.....

Khun-e-dil se Qalam apni chalti rahia
Wo Na samjha magar Lafzo.n ke maayne,
Uski khaatir main Jo Nazm likhta Raha, YaaRa Wo Bhi samajhta to Kya baat Thi....!!


 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
bohot umdah sharing mohtarma
waise shayar confuse hai ke uske kiye par usko darbar e khuda wand me nadim hona chahiye ya nahi
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Main bhi Roya bahut tha Tujhe paane ko
Apni Har Saans ke saath Dhundha Tujhe,
Tu Bhi phirta jo Dar dar Mere hi Liye, Koi Mujhsa na milta to kya Baat Thi....
.............................................................................................................
Khun-e-dil se Qalam apni chalti rahia
Wo Na samjha magar Lafzo.n ke maayne,
Uski khaatir main Jo Nazm likhta Raha, YaaRa Wo Bhi samajhta to Kya baat Thi....!!​

these lines are quite heart toching...
beautiful sharing... keep it up...
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Main bhi Roya bahut tha Tujhe paane ko
Apni Har Saans ke saath Dhundha Tujhe,
Tu Bhi phirta jo Dar dar Mere hi Liye, Koi Mujhsa na milta to kya Baat Thi....

very nice

u ne khud likhi bahar?
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

*Maan*

TM Star
Sep 9, 2010
4,718
2,160
113
Karachi
"Main bhi Roya bahut tha Tujhe paane ko
Apni Har Saans ke saath Dhundha Tujhe,
Tu Bhi phirta jo Dar dar Mere hi Liye, Koi Mujhsa na milta to kya Baat Thi...."

:) Really nice :-bd
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Main bhi Roya bahut tha Tujhe paane ko
Apni Har Saans ke saath Dhundha Tujhe,
Tu Bhi phirta jo Dar dar Mere hi Liye, Koi Mujhsa na milta to kya Baat Thi....
.............................................................................................................
Khun-e-dil se Qalam apni chalti rahia
Wo Na samjha magar Lafzo.n ke maayne,
Uski khaatir main Jo Nazm likhta Raha, YaaRa Wo Bhi samajhta to Kya baat Thi....!!​

these lines are quite heart toching...
beautiful sharing... keep it up...
Thankooo sissso....{(oh0(}
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Main bhi Roya bahut tha Tujhe paane ko
Apni Har Saans ke saath Dhundha Tujhe,
Tu Bhi phirta jo Dar dar Mere hi Liye, Koi Mujhsa na milta to kya Baat Thi....

very nice

u ne khud likhi bahar?
Shukrya sisss...
Nahi yara mera to srf mauzoo hota ahi...
Ustad shagirdon se kaam karwate hain khud nahi likhte{(wacko)}{(haha})
waise bahut Umda likha hai jisne bhi likha..aise hi mera naam roshan karo...{(haha}){(oh0(}
 
Top