*Urdu Adab competition*

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
mohabbat

Aksar log mohabbat ka ghalat mafhoom nikalte hain.aur kahte hain k ye sirf apne maashooq se uns rakhne ka naam hai.balke agar aap meri nazar se dekhen to mohabbat ek aisa lafz hai jiski gahraayi ko lafzaon me bayan nahi kia jasakta.
Ye mohabbat har ksi se ho sakti hai kabhi maa,baap,dost,rishtedaar aur apne mahboob se.laikin aksar log iske mafhoom ko samajhne me ghalti karjaate hain.aur ek maqsoos sanaf k saath hi isko moqassas karte hain jo sahi nahi.Mohabbat ko aksar log khudgarzi ki shakal dete hain.aur chahte hain k wo bhi badle me aapse mohabbat kare.agar wo aapse mohabbat nahi karta/karti to aap bhi usse apni mohabbat kum kardete hain.Aur ye khudgarzi hogayi sacchi mohabbat na hui sacchi mohabbat wahi hoti hai jo bina ksi qeemat k ho.

sabir kaagaznagri
kitab : shama.

 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
mashAllah...
ye sb ko akhri din hi yaad aata hai..
mera to mood kharab ho gya tha k is dafa result bnane me maza hi nhi aaye ga..lekin ab ap sb ki sharing dekh k dil garden garden ho gya hai..
jo abi tak so rhe hain woh b jaag jaye...:)
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
main soya kab tha {(spiteful)} main to dekh raha tha kis kis ki sharing kaisi rahti hai.uske baad main apni sharing karunga.
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
main soya kab tha {(spiteful)} main to dekh raha tha kis kis ki sharing kaisi rahti hai.uske baad main apni sharing karunga.
itni chalaki..{(thinkg)}:eek:
apki sharing koi or share kr jata phr...?
khair..best of luck..:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ab nazr mat lga dena..{(thinkg)}
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
walikum asalam

'MOHABBAT'

"Azaadi akele aadmi ka safar hy. Rassi turwa ker sur-putt bhaagne ka amal hy. Muhabbat apni marzi se khulle pijre me Totte ki tarah bethe rehne ki salahiat hy. Muhabbat iss gulami ka tok hy jo Insaan khud apne ikhtayar se galle me daalta hy. Ye ahud peeri muridee ka nahi ke Murshad manwane aur salik manne ke mokam per ho. Ye zamana Shadi ka bhi nahi ke Shaadi me bhi kadam kadam per apni marzi ko Quraban kerna parta hy. Hazrat Ibraheem jis tarah apne Baite ko Qurban kerne per Razi bur-rizza rahe, Ye Muhabbat ki azeem misaal hy.

Muhabbat me zaati Azaadi ko talub kerna SHIRK hy, ku ke bayuk waqt 2 afraad se Muhabbat nahi ki ja sakti, Mehboob se bhi aur apne aap se bhi. Muhabbat Gulaami ka amal hy aur Azaad Log Gulaam nahi reh sakte".


(Haasil Ghaat by Bano Qudsia)
 
Status
Not open for further replies.
Top