Ub Guzarish

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Reyza e kaanch ki sorat mein bikhar jata hon
Main teri yaad mein jab hadd se guzar jata hon

Ab guraizaan hay woh milne se ju kehta tha kabhi
Tum se milte hi main kuch aur nikher jata hon

Roz khata hon tujhe yaad na kerne ki qasam
Roz wadon se main apne hi muker jata hon

Mujh ko tamasha bana diya hay muhabbat ne teri
Loog kasstay hain awazain main jidhar jata hon

Her qadam pe khaya hay muhabbat ka dhoka Sagar
Ab koi pyar se bulata hay tou der jata hon

 
Top