Typing Or Handwriting(question Of The Week! (23 May 2012)

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam o ALaikum


Kal main kuch likh k daikh rhi thi to maine feel kiya meri writing bohat rough ho gai hay :p
Phir maine compare kiya kuch arsa pehle waali writing se,,
Actually jab se typing system shuroo hua hay ,,Urdu ko bhi roman may likhne lagge hain hum tab se na sirf urdu talafuz(pronounciation) khrab hua hay writing bhi barbaad ho gai..
Wo maza nhi rha,,Writing itself aik interesting activity hay,,likh likh k mitana ,pencil sharp karna :p friends k saath competiton hona k kis ki writing ziada achi hay!
pen may ink bharna,,exam k baad ghar aana to haathon pe ink laggi hoti thi 8-> sab interesting tha!
aaj kal missing hain ye cheezain jab se education system aadhe se ziada comuters pe shift ho gya hay :p

ye bhi sach hay k Computer education system k bohat se faidey bhi hain !

Lakin yahan aapko sirf ye btana hay k aap ko Konsa system pasand hay aur konsi cheezain missing lagti hain aaj k system may!
 

Babar-Azam

"Be serious" - "I am wild"
TM Star
Jun 27, 2010
4,089
1,482
1,013
Abbottabad
mujy tu aaj wala system pasand hai q k maire hand writing wese b 1st class k bachun wali hai :p ....

wese jab jaib (pocket) mai pen rakha hota tha aur dekhty tu jaib seyahi se bhar gya hota tha aab nai raha wo...
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
haha babar bhaya :p

ahan nice {(popcorn)}
haan g aur ammi shirt dhote huye aapko bhi acha khasa dho deti hogni daant pila k ;))
 

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
mian bajpan mian jab likhta tha... to prinday a kar meray sath geet gatay thay... titlian meray meri likhai ko dekh kar color change kar leti thian... lekan ab main pehla sa nahi raha... meri likhai bohat gandi ho gai hai... abhi koi prinda nahi ata meray paas...
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Oooooooooooooooopsh horror bro bohat dukhi daastan hay
main poarindon se guzarish karungi aapki likhayi pe aa k aik baar chunch maar diya karain ;))
kia hua thori badhazmi hi hogi unhe par khair hay aapka dil khush ho aayega :p
 

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
Oooooooooooooooopsh horror bro bohat dukhi daastan hay
main poarindon se guzarish karungi aapki likhayi pe aa k aik baar chunch maar diya karain ;))
kia hua thori badhazmi hi hogi unhe par khair hay aapka dil khush ho aayega :p
aik dafa main itni achi cheez likh raha raha tha aik kaway ne a kar muje waisay hi tang karna shuru kar dia.... meri kapray kharab kar dia... main ne bohat samjya kaway ko lekan na samja meri baat... phir main ne kaway ko kaha, to khawar ho ga... to aik cheel ayi or khaway ko apnay panjo mian dobaoch kay liey gi.... cheel ne phir kaha, ap ki likhai bohat achi hia...saray piranday uss cheel ki tarah kay kyun nhi hotay...
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
aik dafa main itni achi cheez likh raha raha tha aik kaway ne a kar muje waisay hi tang karna shuru kar dia.... meri kapray kharab kar dia... main ne bohat samjya kaway ko lekan na samja meri baat... phir main ne kaway ko kaha, to khawar ho ga... to aik cheel ayi or khaway ko apnay panjo mian dobaoch kay liey gi.... cheel ne phir kaha, ap ki likhai bohat achi hia...saray piranday uss cheel ki tarah kay kyun nhi hotay...
q k wo cheel aaj pagal khaane may hogi aapko bhi wohi pe jana chahiye pta wahan us cheel k aur apa k jaise aur bhi log aur parindey hon gaye phir aap rozzzz likha karna aur parindeyyy roz wahana apki likhayi ki tareef kiya karain gaye{(popcorn)}
 

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion

q k wo cheel aaj pagal khaane may hogi aapko bhi wohi pe jana chahiye pta wahan us cheel k aur apa k jaise aur bhi log aur parindey hon gaye phir aap rozzzz likha karna aur parindeyyy roz wahana apki likhayi ki tareef kiya karain gaye{(popcorn)}
pagal khanay insano kay liey hotay hain cheelon ka koi pagal khana nahi hota.. aik meri likhai pe asman ronay laga para... or itni tez barish hoi kay meri sari likhai beeg gai... uss waqat koi prinda na tha meray ass paas... ya to asman ko meri likhai pasand nahi ayi ya uss ko bohat pasand ayi thi.. sab prindon ko ura dia us nay..
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
pagal khanay insano kay liey hotay hain cheelon ka koi pagal khana nahi hota.. aik meri likhai pe asman ronay laga para... or itni tez barish hoi kay meri sari likhai beeg gai... uss waqat koi prinda na tha meray ass paas... ya to asman ko meri likhai pasand nahi ayi ya uss ko bohat pasand ayi thi.. sab prindon ko ura dia us nay..
bhai apko pinjrey se nikalte kon rehta hai..yeh fahad bhi na..ab sharafat se pinjre mei band hojae warna majbooran mujhe cheel ko dalna parega andar
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
pagal khanay insano kay liey hotay hain cheelon ka koi pagal khana nahi hota.. aik meri likhai pe asman ronay laga para... or itni tez barish hoi kay meri sari likhai beeg gai... uss waqat koi prinda na tha meray ass paas... ya to asman ko meri likhai pasand nahi ayi ya uss ko bohat pasand ayi thi.. sab prindon ko ura dia us nay..
:-@{(popcorn)}
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalam o ALaikum


Kal main kuch likh k daikh rhi thi to maine feel kiya meri writing bohat rough ho gai hay :p
Phir maine compare kiya kuch arsa pehle waali writing se,,
Actually jab se typing system shuroo hua hay ,,Urdu ko bhi roman may likhne lagge hain hum tab se na sirf urdu talafuz(pronounciation) khrab hua hay writing bhi barbaad ho gai..
Wo maza nhi rha,,Writing itself aik interesting activity hay,,likh likh k mitana ,pencil sharp karna :p friends k saath competiton hona k kis ki writing ziada achi hay!
pen may ink bharna,,exam k baad ghar aana to haathon pe ink laggi hoti thi 8-> sab interesting tha!
aaj kal missing hain ye cheezain jab se education system aadhe se ziada comuters pe shift ho gya hay :p

ye bhi sach hay k Computer education system k bohat se faidey bhi hain !

Lakin yahan aapko sirf ye btana hay k aap ko Konsa system pasand hay aur konsi cheezain missing lagti hain aaj k system may!
Wssalam u alaikum
kya kay yaad dila diya8->
hum to aj b likhte hain lekin urdu me boht km likhna hota hai to kafi speed se b likhna parta hai to writing pehle ki nisbat kharab ho gai hai,sahi kaha ap ne sayahi bharne aur pencil tarashne ka apna hi maza tha,mai ne TaKHTI b likhi hai kuch arsa,takhti likhna to boht hi dil'chasp kam hai,takhti ko laip karna,use sukhana phir bhaya se Qalm banwana aur sedhiyon pe beth k takhti likhna ,muqabla lgana aur sb ko dikhana,takhti likhne se writing boht improve hoti hai,ab yeh cheezain kafi km ho gai hain takhti likhne ka to koi rawaj hi nhi raha, zamane ki jaddat k sath likhna likhana km ho raha hai lekin technology jitni b taraqi kar k in cheezon ki apni ehmiyat hai agar aj hum eid pe kisi ko sms kar k wish kren to us ka woh maza nhi hota jo eid card pe maze maze k shair likh kar dene ka hota tha..!
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hmm true said Annu :)
eid card ki to khair baat hi na kare ab to bas formality reh gai hay aik card copy karo sabko paste kiya chalo g mubarakbaad ho gao /:)
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalaam Hoor sis bohot hi achha sawal laaye aap humari nazron mein{(popcorn)}

eik taleem yafta shaqhs ki haisiyat se kahun to qalam o kaghaz ke istemaal ki baat aur hai

eik aur alag hi lutf hota hai safhaat per likhne ka mujhe yeh aadat ho gaiy thi

ke apne mobile ke drafts me apni shayari likhne laga tha phir darmyan mein eik do dafa

jab phir se kitaab pe likhne laga to jaana ke zyada achha mehsoos hota hai

dar asal parhne likhne ki sahi jagah mere hisaab se kitaabon mein hi hai aur wahi nizaam

zyada behetter bhi hai aur phir yeh baat bhi hai ke yahaan kaam kitaabon ke barabar

jaldi ho jaata hai so loug aksariyat me yeh raasta ikhtyaar karne lage hain

per woh kaaghaz ko apne alfaaz e dil se bharne ka maza aur hi hota hai;)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hmm huhhh
;))
chalen hum is rawait ko zinda rakhen ge,,ab aane wali eid pe ap ne mujhe eid card bejhna hai..OK{(popcorn)}
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
trueeee @ chiragh bro :-bd

@ annu chalako maassi aap ne zmane ki chalakiyan kitni jaldi seekhi hain :p
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Aapa card bhejna hai to bhejen..mujh masoom ho chalak hone ka tana na denn..{(cray)}{(cray)}
 
Top