Tum Yaad Ho To

  • Work-from-home

diya ali

TM Star
Nov 23, 2010
1,104
661
1,013
Rawalpindi
Tum yaad ho to naqsh ho mere hawaas par
Tum ashk ho to mere dukhon ka ilaaj ho
Tum khuwaab ho to meri in aankhon main ho kahien
Tum vehem ho to mujh ko haqeeqat say kia gharz
Tum ba'is-e-safar ho huner ki urraan ho
Tum neend ho to soo ke guzarain gey yeh hayaat
Tum husun ho to mere takhey'yul ki jaan ho
Tum raat ho to mujh ko nahi subha ki talab
Tum noor ban ke dil main samaye ho aaj-kal
Tum khaak ho to khaak nasheenoon ki ho talaash
Tum dard ho to rooh pe chhaaye ho aajkal
Tum dasht ho to main bhi musafir hoon dasht ka
Tum chand ho to talkh andhairon ki fiker kia
Tum bay niyaaz ho to zamaney say ho alag
Tum rang ho to phir yeh baharon ka ziker kiya
Tum bay-samar rutton main baharoon ki ho umeed
Tum rah guzaaar-e-shoq main jazba junoon ka ho
Tum aarzoo ho Ahl-e-tamanna ki ho khalish
Tum rat-jagon ki bheerr main lamha sukoon ka ho
Tum baywafa rutton main hawala ho ishq ka
Tum baybasi ho phir bhi muheet-e-hawaas ho
Tum ik kiran ho noor-e-azal main dhuli hoi
Tum taazgi ho shabnami phoolon ki aas ho
Tum gehrey paaniyon main chupey motiyon ka lams
Tum moat ke safar main nishaan-e-hayaat ho
Tum meri chashm-e-nam ki sitaron ki kehkashaan
Tum husn-e-baymisaal ho meri kayenaat ho
Tum jab say ho gaye ho meri dastaras say door
Main ji raha hoon kiun keh zaroori hay zindagi
Sanson ke bojh ko bhi uthaya hai rooh ne
Laikin tere baghair adhoori hay zindagi






v
 
Top