Tujhi Ko Jo Yan Jalwa Farma Na Dekha

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha

barabar hai duniya ko dekha na dekha

Mera ghooncha-e-dil hai woh dil-girifta
ke jis ko kaso ne kabhi wa na dekha

Aziyat, museebat, malamat, balayen
tere ishq main ham ne kya kya na dekha

Kiya mujh ko daghon sarw-e-chiraghan
kabho tu ne akar tamasha na dekha

Taghaful ne tere ye kuch din dikhaye
idhar tu ne lekin na dekha, na dekha

Hijab-e-rukh-e-yar the ap hi ham
khuli ankh jab, koi parda na dekha

Shab-o-roz aye "Dard" darapai hoon us ke
kaso ne jise yan samjha na dekha
Khwaja Mir Dard
 
Top