The Best Way To Help Needy Children(question Of The Week! 16 April 2012

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Wa'alaikum assalam great topic

insha'ALLAH zaroor jawab dengein per

pehle aap kahein individual ka kya matlab hai:p
matlab infiradi tor pe kia steps le sakte hain,,,

jo bhi aap k views hain is topic pe sab btayain {(popcorn)}
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
waleikum assalam bht hi acha aur ehem sawal poocha hy sisoo hoorian aap ne ...become a columist me mene aik article b ese bare me share kiya tha ..
about poor and begger children

individualy hum bht kuch kerskte hian .fisrt of all humse jitna moral supprot hoskta hy wo kerskte hian ..ya phir wo bache jo hmare podsoi hian garib hian parh nhi skte to hum talimyafta hoker unko apni taleem un tak ponhcha skte hian kun k education phelane se es me izafa hota hy ..ya financialy jitan hoske hum unko help kren ..
her bacha hmare mulk ka ane wla future hy
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waleikum assalam bht hi acha aur ehem sawal poocha hy sisoo hoorian aap ne ...become a columist me mene aik article b ese bare me share kiya tha ..
about poor and begger children

individualy hum bht kuch kerskte hian .fisrt of all humse jitna moral supprot hoskta hy wo kerskte hian ..ya phir wo bache jo hmare podsoi hian garib hian parh nhi skte to hum talimyafta hoker unko apni taleem un tak ponhcha skte hian kun k education phelane se es me izafa hota hy ..ya financialy jitan hoske hum unko help kren ..
her bacha hmare mulk ka ane wla future hy
very well said :-bd
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalam u alaikum
boht acha topic hai sis
subho subho jb college wagera k liye niklen to chote chote phoolon jese bache phool bech rahe hote hain .kbi shadeed sardi me b..yeh humare mashre ka almiya hai child labour ab ek business ban gya hai,baz'ukat esa b hota hai kuch log bachon ki waqti help karne ki koshish karte hain unhe kitabain dete hain ya paise dete hain lekin is k koi dor'ras nitaj samne nhi aate kyun k asal masla un k parents ka hota hai jb un k bache itna kama k la rahe hain to unhe kya zarurt hai parhne ka..aksr child labour k piche yahi soch hoti hai un bachon k parents ki jinhe woh bachon ki zehno me b muntaqil karte hain,jb hum aate jate un k hath pe kuch rupe rakh dete hain to ek tarha se hum un k is kam ko bharawa dy rahe hain..is liye un ki madad ka wahid zariya yahi hai k kisi ese tariqe se un ki madam ki jaye unki izat-e-nafs b majroh na ho aur un me khud'atmadi aaye,aur esa b na ho k woh dosron pe depend karne lgen,yani un me khud'dari ka element zinda rahe,hum un se mil kar un k parents se bat k un ki soch me tabdili lane ki koshish kar sakte hain,smjha sakte hain phir apne dosto k sath mil kar apni pocket money se un ko book khareed k den,parhai me un ki madad kren,is k sath woh apna kam b jari rakhe..tareekh gawah hai azeem log ese hi mehnat kar k kuch bante hain..!
mai ne dekha k ek bacha jote saaf karne ka kam kar raha tha sath me books b ly kar betha tha parhne k liye..ese log hi boht aage tak jate hain
 
  • Like
Reactions: hoorain

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113

very very true


"yahin ajati hai ke us hosle ke sahi istimal ki so
hamara farz b yehi banta hai ke aise tamam logon ke andar yeh shaur paida karen ke burai kaam main nhi hoti burai jahalat main hoti hai tum kaam kar ke jab apne ghar walon ka pait pal sakte ho to thori mehnat or kar ke tum taleem b hasil kr sakte ho tumhara b muashre main ek naam ho sakta hai or rahi baat madad ki to ho sakta hai kuch bache apse help lene pr razi b hon or "

Point ye hay...Support ya help ka matlab financial support hi nhi hay khud parhaya ja sakta hay educate kiya ja sakta , aware kiya ja sakta hay broadly sochne pe himmat dilayi ja sakti hay :-bd


Nice views....


bilkul hoor sis fahad ne bilkul thek kaha...!un me ehsas-e-zimadari,khudari aur shok hona chaheye,agar yeh sb kuch hai to un k pas b ek din sb kuch ho ga,warna agar woh dosron pe depend kren ge to zehni tor par b dosron k muhtaj hote jayen ge,aur jesa ap ne b bilkul thek kaha hum zra sa waqat nikal kar unhe parha sakte hain..un k soch ka rukh badal sakte hain
 
  • Like
Reactions: hoorain

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
isi topic k hawale se mai apna ek tajarba share karti hon..kuch din pehle hum kahi bahir gaye,wahan se sb ne ice cream li tu pas hi ek bacha kuch bech raha tha mai ne apni ice cream use dy di tu meri sis ne mujhe danta k apki ice cream zra c dair k liye use maza to zarur dy sakti hai lekin uski khud'dari marti jaye gi..aur ab ap ne ise di hai to yeh aur logo se b yahi umeed lgaye ga k ise dosre log b yon tars kha k dy den..aur thori dair bad wahan ek aur bachi aayi jo hume pehle dekh rahi thi to meri sis ko kehti mujhe b ice cream dy do..unhe ne mujhe kaha dekh apka is tarha karne se kya natija nikla..!humara yon tars khana dosro ko humesha k liye bekmanga bna sakta hai..zehni tor par b woh kbi is khol se nhi nikle ge..
 
  • Like
Reactions: hoorain

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
matric ki urdu ki book me ek sabaq tha..ap ne b parha ho ga,main University mein,jis me Ehsan Danish pehle usi uni me kuhwe me bailon ki jaga khud kam karta tha..itna mushkil kam phr akhir usi uni me woh tadrees k shube se wabasta ho gaye..woh lesson parh k bari heerat huvi k koi itni mehnat b kar sakta hai..sach me shandar sabaq tha
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
matric ki urdu ki book me ek sabaq tha..ap ne b parha ho ga,main University mein,jis me Ehsan Danish pehle usi uni me kuhwe me bailon ki jaga khud kam karta tha..itna mushkil kam phr akhir usi uni me woh tadrees k shube se wabasta ho gaye..woh lesson parh k bari heerat huvi k koi itni mehnat b kar sakta hai..sach me shandar sabaq tha
isi topic k hawale se mai apna ek tajarba share karti hon..kuch din pehle hum kahi bahir gaye,wahan se sb ne ice cream li tu pas hi ek bacha kuch bech raha tha mai ne apni ice cream use dy di tu meri sis ne mujhe danta k apki ice cream zra c dair k liye use maza to zarur dy sakti hai lekin uski khud'dari marti jaye gi..aur ab ap ne ise di hai to yeh aur logo se b yahi umeed lgaye ga k ise dosre log b yon tars kha k dy den..aur thori dair bad wahan ek aur bachi aayi jo hume pehle dekh rahi thi to meri sis ko kehti mujhe b ice cream dy do..unhe ne mujhe kaha dekh apka is tarha karne se kya natija nikla..!humara yon tars khana dosro ko humesha k liye bekmanga bna sakta hai..zehni tor par b woh kbi is khol se nhi nikle ge..
bilkul hoor sis fahad ne bilkul thek kaha...!un me ehsas-e-zimadari,khudari aur shok hona chaheye,agar yeh sb kuch hai to un k pas b ek din sb kuch ho ga,warna agar woh dosron pe depend kren ge to zehni tor par b dosron k muhtaj hote jayen ge,aur jesa ap ne b bilkul thek kaha hum zra sa waqat nikal kar unhe parha sakte hain..un k soch ka rukh badal sakte hain
wssalam u alaikum
boht acha topic hai sis
subho subho jb college wagera k liye niklen to chote chote phoolon jese bache phool bech rahe hote hain .kbi shadeed sardi me b..yeh humare mashre ka almiya hai child labour ab ek business ban gya hai,baz'ukat esa b hota hai kuch log bachon ki waqti help karne ki koshish karte hain unhe kitabain dete hain ya paise dete hain lekin is k koi dor'ras nitaj samne nhi aate kyun k asal masla un k parents ka hota hai jb un k bache itna kama k la rahe hain to unhe kya zarurt hai parhne ka..aksr child labour k piche yahi soch hoti hai un bachon k parents ki jinhe woh bachon ki zehno me b muntaqil karte hain,jb hum aate jate un k hath pe kuch rupe rakh dete hain to ek tarha se hum un k is kam ko bharawa dy rahe hain..is liye un ki madad ka wahid zariya yahi hai k kisi ese tariqe se un ki madam ki jaye unki izat-e-nafs b majroh na ho aur un me khud'atmadi aaye,aur esa b na ho k woh dosron pe depend karne lgen,yani un me khud'dari ka element zinda rahe,hum un se mil kar un k parents se bat k un ki soch me tabdili lane ki koshish kar sakte hain,smjha sakte hain phir apne dosto k sath mil kar apni pocket money se un ko book khareed k den,parhai me un ki madad kren,is k sath woh apna kam b jari rakhe..tareekh gawah hai azeem log ese hi mehnat kar k kuch bante hain..!
mai ne dekha k ek bacha jote saaf karne ka kam kar raha tha sath me books b ly kar betha tha parhne k liye..ese log hi boht aage tak jate hain


Zabardast :-bd

Bohat ziada ache views share kiye aap ne ,,examples bhi achi di..

n bilkul aise hi hay tars khane se zehni tor pe maflooj hote hain bache,,unhe paise khana daine se apna mohtaaj karte hain hum,,,,
 
Top