The Best Way To Help Needy Children(question Of The Week! 16 April 2012

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam o ALaikum

Is Week Ka Question aap k ideas share karne hain ,, thora khul k sochna aur kuch amal ki koshish karna hay!

Jab hum school,colleges ya uni jaate hain to bohat se bache jo hmari age k hain ya jo learning age may hain jinhe school jana chahiye wo majbur hain kaam karne ya sarkon pe bhatakne k liye ,,,jin may kuch beggars bhi hain bohat chote chote bache cars k sheeshe saaf karte hain phool baichte ya aise hi mehnat karte hain......sab kuch government pe daal daine se kuch nhi hota,,,Individual Level pe aap sab in k baare may kia sochte hain and kon se steps hain jo hum lain sakte hain ziada na sahi aik aik bache k liye bhi koshish ki jaaye to musbat natayj saamne aa sakte hain forun an sahi aahista aahista hi but maashra may kuch behtari ho sakti hay??

AAP sab ye btayain k aise bachon k liye hum individual level pe kia kar sakte hain aur kaise?
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
well hum chahe to bht kuch ker sakte hain ager aim kerlein.

wese kehte hain k jab koi neeki karo to esi karo k ek hath se karo n dosre hath ko khabar na ho,
phir bhi me ap sab ko ye bat yaha is lie bata raha hun k shayad is se kai members ko knowledge mile k wo bhi kya kya ker sakte hain

well mere duur k mamo, ka intekal pichel 2 sal pehle hua, un ka ek beta 12 sal ka n 2 betia 10 or 9 sal ki hain. mamo ki wafat k bad meri mami ki sab ne help to ki per itni k wo gher ka kharcha chala sake per bachu ko parane k lie nai hoti thi income, pichle sal jab me gaya tha to mujhe mom ne un logo k bare me bataya tha k un k bache school me nai per rahe or un ka beta perne ki umer me kisi hotel me waiter hai, to mujeh dukh hua me un k yaha gaya n mami se kaha k bachu ko parhein jitna me kharcha uthaonga,phir wo man to gai per keh rai thi k larke ko para lo khali larkia kya karengi per k but i said k teeno bachu ko parana hai, larki ho ya larka it doesnt matter parai kerne ka sab ka haq hai.

well then abhi 1 sal se takreen me un logo ko bachu ki taleem ka kharcha bhejta hun.
me to jab bhi kisi ese bache ko road per dekhta hun pakistan me to dua kerta hun allah mujeh itni himat de k me in k lie kuch ker saku.

dosto sab se pehle ap ki income per jin mustahiq logu ka haq hota hai un me sab se pehle ap k apne rishtedar hain. phir muhale wale n then phir jis ki bhi ap madad ker sake. to guys ap log bhi apni family me koi esi situation dekho to un ki madad ker sakte ho, n ye child labour ka nizam tab hi khatam hoga.

ager mashre me kuch changing chahte ho to apne hi gher se sab se pehle shuru karo dosto inshallah Allah tallah or himmat barhaega :)
 
MASHA ALLAH

Perfect :-bd

jab hum kisi ko har month khaane peene k liye kharch de rhe hain to wo har maheene apna pait to bhar sakte hain par kabhi independent nhi ho paate aik maheene k baad agle maheene k liye phir se hum pe ya kisi pe dependent rehte hain ,,lakin agar bachon ki education pe bhi lgaya jaaye to kaafi arse baad hi sahi par kabhi na kabhi to unki family independent ho jaayegi bache barre ho k khud kfalat kar sakain gaye apni family ki ,,aur unhe kisi pe saari umar munhasir nhi rehna parega
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E

MASHA ALLAH

Perfect :-bd

jab hum kisi ko har month khaane peene k liye kharch de rhe hain to wo har maheene apna pait to bhar sakte hain par kabhi independent nhi ho paate aik maheene k baad agle maheene k liye phir se hum pe ya kisi pe dependent rehte hain ,,lakin agar bachon ki education pe bhi lgaya jaaye to kaafi arse baad hi sahi par kabhi na kabhi to unki family independent ho jaayegi bache barre ho k khud kfalat kar sakain gaye apni family ki ,,aur unhe kisi pe saari umar munhasir nhi rehna parega

yes dear sis thats what my point is, abhi wo 12 sal ka hai n mashallah bht khush bhi hai cuz itni c umer me use kam kerna per raha tha, jab k meri bht thori c help se us ka future sawar jaega, not only his but his whole family, even i told my mami k unki betia ager agey zada se zada perna chahe to unhe perne de larki hai keh ker un se un ka haq mat cheene, ek pare likhe larke se ek pori family pal sakti hai but ek parhi likhi larki peeri der peeri ko sawar sakti hai.larkio ka bhi perna utna hi zarori hai jitna larko ka.

bas dua karo cuhtki k meri Allah tallah ese hi himmat banae rakhe meri n oro ko bhi taufeek de :)
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

yes dear sis thats what my point is, abhi wo 12 sal ka hai n mashallah bht khush bhi hai cuz itni c umer me use kam kerna per raha tha, jab k meri bht thori c help se us ka future sawar jaega, not only his but his whole family, even i told my mami k unki betia ager agey zada se zada perna chahe to inhe perne de larki hai keh ker un se un ka haq mat cheene, ek pare likhe larke se kai pori family pal sakti hai but ek parhi likhi larki peeri der peeri ko sawar sakti hai.larkio ka bhi perna utna hi zarori hai jitna larko ka.

Bas dua karo cuhtki k meri allah tallah ese hi himmat banae rakhe meri n oro ko bhi taufeek de :)

aameen sum aameen :)
 
*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
very true Cheerful bro,,,

Thora detail se highlight karain aap plz:)
dunia me musalmano ki abaadi dusre no par hy aur bht se aese hy jo bht maldaar hy jin ke jeb kharch se kai khandan pal sakte hy zakir naik ke ek lecture me mai ne suna ke agar sab musalman apni zakat nikale tu koi b musalman is zameen par gareeb ny rhega,

musalman jitna shadi biah me kharch karta hy utna koi dusre mazhab wala ny karta, fazul kharchi k sath jahez gadi tv table chamcha sb or uske paros me hi gareeb ladkian apni umar badati bina shadi ke baiti rehti agar wo tora sa b madad kare to in sb ki shadi hojati, lkn wo ny dega fazul kharch karega, aese saikado misale samne hy parhai me fazul kharchi, khane me tehwaro me bidati kamo me agar sb islam par amal karne lage zakat nikale fazul kharchi se bache Allah se dare tu musalman ki hi ny dusre mazhab walo ki b dunia khushal hojaegi
 
hmm Very very true :)
n this is the perfect way no doubt...

but abhi k sawal k liye kia kahain gaye ,,,youngsters jo hain wo infiradi tor pe apni pocket money ya apne fiends k saath mil k kisi aik bache k liye bhi karna chahain unki education or tarbiyat to uska kia kahain gaye aap.. sirf education k liye agar baat ki jaaye jis se wo kabhi na kabhi khud apne n apni family ki kfalat kar sakkey..
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia

hmm Very very true :)
n this is the perfect way no doubt...

but abhi k sawal k liye kia kahain gaye ,,,youngsters jo hain wo infiradi tor pe apni pocket money ya apne fiends k saath mil k kisi aik bache k liye bhi karna chahain unki education or tarbiyat to uska kia kahain gaye aap.. sirf education k liye agar baat ki jaaye jis se wo kabhi na kabhi khud apne n apni family ki kfalat kar sakkey..

infiradi tor pe kch waqt tak hi madad ki jasakti hy bt usme thori hi kamiabi milegi
agar muhalle me ya clg schl me kch afrad milkar ye kam kare hr mahana apni tanqwa apne jeb kharch se paisa jama kare pir muhalle ke gareeb ladko ko scl me dakhala dilae hukumat se b ladkar inki madad kare pir muhalle ke bado ko b sat lele tu bht kamiabi or dusro k lie b anek raste ban sakte hy

infiradiat achi hy lekin daimi nhi ijtemaiat mushkil hy lekin daimi rahegi
tabi tu islam sb muamlat me ijtemaiat ku hi pasnd karta hy
 
Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
hmmm nice topic
mera nhi khayal ke hame unki maali madad ya kisi qism ki koi sympathy karni chahiye hame sirf or sirf unki hosla afzayi karni chahiye take unke under b confidence paida ho or woh bhi khud ko is qabil bana saken ke unhe b muashre main izzat ki nigah se dekha ja sake or hum sab jaante hain ke pait pehle ata hai or taleem baad main so agar koi insan jisne kisi aise ghareeb gharane main aankh kholi jahan usko khane ke hi laale paren ho to usko aise gharane main paida karne wala sirf Allah hai or agr yeh insanon ki apni marzi pr hi munhasir hota na to koi insan kisi ghareeb gharane main paida nhi hota balke hr insan aise gharane main hi paida hona pasnd krta jahan uske lye na sirf khane peene ka intizam mojod ho balke achi taleem o tarbiyat b mayassar ho lekin Allah ke har kaam main koi na koi muslihat zaror hoti hai or agar Allah kisi insan ko kisi aise gharane main paida karta hai to usko un salahiyaton se b nawaazta hai ke jinko use kar ke woh insan bhi dunya main ala muqam hasil kr sakta hai baat sirf un salahiyaton ko pehchan lene ki hoti hai or hamari hosla afzayi hi unke andar confidence ya justujo paida kr sakti hai
or jab aap duniya ke un azeem logon ki history dekhte hain ke jin logon ne dunya main aker boht hi buland muqam hasil kya tha to un main majourity aise logon ki hi hai jo kisi ghareeb gharane main paida hoye the
or jahan tk maali imdaad ki baat hai to us help se unki waqti zarorat to puri ho sakti hai lekin ek shandaar mustaqbil nhi de sakti or woh us maali madad ki wajah se apni salahiyaton pe zang laga lete hain or hr zarorat ko pura karne ka zariya kisi insan ki tarf se ki gayi madad ko hi samjh lete hain or yeh sarasar ghalt hai beshak kisi insan ki tarf se ki gayi us madad ka sila usko sawab ki surat main zaror milta hai lekin jis insan ko woh madad ki jati hai usko sirf waqti preshani se hi nijat milti hai lekin phir woh logon se madad mangne ka aadi hojata hai or hame apni nayi nasal ko khud mukhtar banana hai bhikaari nahi
or ek waqia jo abi abi mujhe yad aya woh zaror sunana chahonga
ek Shaks Muhammad e Rasol Allah Sallallahu Alehe Wasallam ke pas hazir hoa or arz kya ke main tahi dast hon or meri kuch madad ki jai to Rasol Allah Sallallahu Aleh Wasallam ne farmaya tumhare ghar main is waqt jo hai woh le ker aao woh shaks wapis aya to kuch bartan le aya Ap Sallahu Aleh Wasallam ne farmaya jao isse bazaar main becho or jo paise milen us se kulhari or rassi khareed lena to woh shaks bazaar gaya woh cheezen beechi or uske paison se kulhari or rassi le aya to aap Sallallahu Aleh Wasallam ne farmaya ke ab tum jungle jao or is kulhari or rassi ki madad lakriyan kaato or unhe bazaar main becho or jo kamao us se apne or apne bv bachon ka pait palo
to kya hamare Nabi chahte to uski kuch madad kar ke uske or uske bv bachon ke khane ka bandobast nhi kr sakte the?beshak kr sakte the lekin Allah ke Rasol Sallallahu Aleh Wasallam ko musalmanon ko mangne ki adat per nhi lagana tha balke yeh sikhana tha ke mehnat se har cheez hasil ki jasakti phir chahen woh khane peene ka intizaam ho ya phir duniya main koi ooncha muqam ho
 
Speechless!!

but yahan baat baqio k role ki hay jo unhe play karna hay,,Child labor ko daikh k ya dusre bache jo hmari age k ho k bhi bas idhar udhar phirte hain ya child labor pe majbut hain mehnat to wo bhi kar rhe hain but sirf pait bhar sakte hain us se q k us se jo hasil karte hain wo mushkil se khana hi mil sakta hay unhe n as u said khana pehli zarurat hay ...Muashra hay unhe equal lana chahte hain,,,,zaruri unki education k liye paise hi dain hum ho aur tareeqe ho sakte hain un pe ideas dain aap,,n of course finance zaruri hay agar kisi institute ka intazam karna ho,,,agar kisi k paas gunjaysh nhi k wo financialy support kar sakkey ,,,to wo simply un bachon ko khud parha sakta hay,,ya aise bohat se tareeqe ho sakte hain jis may youngsters especially college or uni students mil k aisi ko plannign karain,,,har kisam k students hote hain kuch financially strong kuch hardworking sab mil k apne apne talent aur istyat k mutabiq kuch aisa kar nhi sakte ? :s

is pe kuch btayain strong sa idea...
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
infiradi tor pe kch waqt tak hi madad ki jasakti hy bt usme thori hi kamiabi milegi
agar muhalle me ya clg schl me kch afrad milkar ye kam kare hr mahana apni tanqwa apne jeb kharch se paisa jama kare pir muhalle ke gareeb ladko ko scl me dakhala dilae hukumat se b ladkar inki madad kare pir muhalle ke bado ko b sat lele tu bht kamiabi or dusro k lie b anek raste ban sakte hy

infiradiat achi hy lekin daimi nhi ijtemaiat mushkil hy lekin daimi rahegi
tabi tu islam sb muamlat me ijtemaiat ku hi pasnd karta hy

hmm bilkul sahi :)
 
SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
39
Karachi
Hum aise bachye jo perhna chahtey hain un ko book dilwa saktey hain un ko free tutuion de sakte hain un ko school ka uniform dila saktey hain per aaj kal fraud zyada hai aur needy people kum.... So aisey bachon ki help ke sath us ka result bhi dekhna chahiye keh aap jis pe mehnat ker rahe ho woh bhi silla dai raha hai kahin aap ko mamoo to nahi bana raha.... Busss itnaa he kehna tha mere ko..../:)
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Hum aise bachye jo perhna chahtey hain un ko book dilwa saktey hain un ko free tutuion de sakte hain un ko school ka uniform dila saktey hain per aaj kal fraud zyada hai aur needy people kum.... So aisey bachon ki help ke sath us ka result bhi dekhna chahiye keh aap jis pe mehnat ker rahe ho woh bhi silla dai raha hai kahin aap ko mamoo to nahi bana raha.... Busss itnaa he kehna tha mere ko..../:)
ahaaaaaaaan bohat acha kaha :-bd
 
Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi

Speechless!!

but yahan baat baqio k role ki hay jo unhe play karna hay,,Child labor ko daikh k ya dusre bache jo hmari age k ho k bhi bas idhar udhar phirte hain ya child labor pe majbut hain mehnat to wo bhi kar rhe hain but sirf pait bhar sakte hain us se q k us se jo hasil karte hain wo mushkil se khana hi mil sakta hay unhe n as u said khana pehli zarurat hay ...Muashra hay unhe equal lana chahte hain,,,,zaruri unki education k liye paise hi dain hum ho aur tareeqe ho sakte hain un pe ideas dain aap,,n of course finance zaruri hay agar kisi institute ka intazam karna ho,,,agar kisi k paas gunjaysh nhi k wo financialy support kar sakkey ,,,to wo simply un bachon ko khud parha sakta hay,,ya aise bohat se tareeqe ho sakte hain jis may youngsters especially college or uni students mil k aisi ko plannign karain,,,har kisam k students hote hain kuch financially strong kuch hardworking sab mil k apne apne talent aur istyat k mutabiq kuch aisa kar nhi sakte ? :s

is pe kuch btayain strong sa idea...
yr mujhe bat samjh nhi ati ek insan jo kisi ghareeb ghr main paida hota hai phir hosh sambhalta hai or apne ghr ke halaat ko dekhta hai to uske andar ehsas e zimmedari paida hojata hai or wo us umer se hi jis umer main bache taleem o tarbiyat ke marahil se guzr rhe hote hain woh bajai bheek mangne ke mazduri ya koi kaam krna start kr deta hai or apna kunmba sambhalne main apne baap ka bazu ban jata hai to phir woh insan kisi dusre insan ki tarf se ki gayi madad chahen woh taleem ke lye hi kyun na ho kaise accept krlega?
kyunke agar usko dusron ki madad ke sahare hi jeena hota to phir woh mazduri kyun krta road pe khare ho kr bheek b mang sakta tha lekin yeh ehsas uski ghurbat uske halaat usko pehle hi sikha chuke hote hain ke taleem mile na mile school jaon na jaon lekin apne ghar walon ko 2 waqt ka khana zaror dunga chahen uske lye mujhe kitni hi mehnat krni pre so yeh to hame khudi samjh jana chahiye ke kuch pane ka hosla uske andar pehle hi mojod hota hai or baat sirf yahin ajati hai ke us hosle ke sahi istimal ki so
hamara farz b yehi banta hai ke aise tamam logon ke andar yeh shaur paida karen ke burai kaam main nhi hoti burai jahalat main hoti hai tum kaam kar ke jab apne ghar walon ka pait pal sakte ho to thori mehnat or kar ke tum taleem b hasil kr sakte ho tumhara b muashre main ek naam ho sakta hai or rahi baat madad ki to ho sakta hai kuch bache apse help lene pr razi b hon or aap phir unko uniform khareed ker de den kitaaben la ker de den ya school ki admit fees hi kyun na thama den tab b koi faida nhi hona agar unke andar ilm hasil krne ki koi talab hi na woh hasraton main jee rhe hote hain apki di hoi tamam cheezen bech kr unhe apni ya apne kisi bhai kisi behn ya apni maa ki koi hasrat hi puri krni hai kyunke ilm ki talb to hogi hi nhi un main
so mera khayal yehi hai ke unko taleem ki importance batani chahiye unke andar ilm hasil krne ka jazba paida karna chahiye phir yehi bache apne hosle se na sirf apne ghar walon ka pait bharenge balke apni hi mehnat se ilm bhi hasil karenge bina kisi ke ehsan tale dab ker
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and hoorain

very very true

"yahin ajati hai ke us hosle ke sahi istimal ki so
hamara farz b yehi banta hai ke aise tamam logon ke andar yeh shaur paida karen ke burai kaam main nhi hoti burai jahalat main hoti hai tum kaam kar ke jab apne ghar walon ka pait pal sakte ho to thori mehnat or kar ke tum taleem b hasil kr sakte ho tumhara b muashre main ek naam ho sakta hai or rahi baat madad ki to ho sakta hai kuch bache apse help lene pr razi b hon or "

Point ye hay...Support ya help ka matlab financial support hi nhi hay khud parhaya ja sakta hay educate kiya ja sakta , aware kiya ja sakta hay broadly sochne pe himmat dilayi ja sakti hay :-bd

Nice views....
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~
Top