Tayyammum Ka Tareeqa

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بســم الله الرحمــن الرحيــم 0

السلام وعليــكم و رحمـة الله و بركاتـه


Dosto namaz deen ka aham rukn hai.qayamat me sabse pahle namaz k taaluq se poocha jaayega jiski namaz sahih rahi uska hisab bhi aasani se lia jaayega aur jiski namaz sahih naho.unki to khair nahi.aur namaz keliye wazu shart hai.kyunke Allah k nabi(pbuh) ne farmaya wazu namaz ki kunji hai.laikin ek masla isse related jo hai wo ye k agar ksi soorat me hame paani na mile to hamey kia karna chhaiye hum me se aksar to is baat ko jante hain k tayyammum karna chahiye laikin iske sahih tareeqe se hum bekhar hain.aaj main sahih aahadees ki roshni me isko bayan karne ki har mumkin koshih karunga inshaAllah.

note : aap isse ghaur read karen aur is taaluq se koi masla dar pesh hoto mujhse pooch len.inshaAllah mujhe khushi hogi.

تيمـــــم (Tayyammum)




paani na milne ki soorat me paak mitti ka wazu ya ghusl ki niyyat karke apne hathaon aur mu par malna tayyammum kahlaata hai.

paani na milne ki kayi surtein hain.for example musafir ko safar me paani na mile.yaa paani k maqam tak pahunchne me jaanka darr ho.ghar me paani nahi hai aur bahar karfew naafiz hai.aisi soorat me hum tayyammum karsakte hain.chahe ye soorat e haal kayi din hi kyun naho.

abu zar raziAllahu anhu se riwayat hai k rasool(pbuh) ne farmaya "paak mitti musalmanon ka wazu hai.agarche 10 baras paani naa paaye.(abu dawood-332)

ummul momineen hazrat aayesha raziAllahu anha se riwayat hai k"hum rasool(pbuh) k saath safar par nikle jab baida ya zaatul jaish pahunche to mere gale ka haar toot kar gir gaya.rasool(pbuh) isko dhoondhne keliye thahar gaye baqi sahaba bhi wahin ruk gaye.wahan paani nahi tha abu bakar raziAllahu anhu mere paas aaye aur mujhe ghussa kiya aur mujhe bura bhala kaha.rasool(pbuh) meri raan par sur rakhkar soote rahe yahan tak k subha hogayi aur paani bilkul na tha tab Allah taala ne tayyammum ka hukum surah e nissa aayath no43 me naazil farmaya.

janabat ki haalat me tayyammum : agar paani na mile ya paani itna kum ho k wazu na hosake to tayyammum kia jasakta hai.

sayyadna imran raziAllahu anhu se riwayat karte hain k hum rasool(pbuh) k saath safar me thei.aapne(pbuh) ne logon ko namaz parhaayi.jab namaz se faarigh huye to achanak aapki nazar ek aadmi par pari jo logon se alag baitha hua tha.aur isne logon k saath namaz nahi parhi thi.rasool(pbuh) ne isse poocha logon k saath namaz parhne se tujhe kis cheez ne roka? isne kaha main junbi hon aur paani na mil saka.aap(pbuh) ne farmaya"tujhpar mitti (se tayyammum karna) laazim hai.pus wo tere liye kaafi hai.(
sahih bukhaari 344 wa sahih muslim 682).

agar koi zakhmi ya mareez ho aur paani k istemal se marz barhne ka qatra ho :

sayyadna ibn abbas raziAllahu anhu farmate hain k sardi ka mosam tha.ek aadmi ko ghusl e janabat ki zaroorat pesh aayi.isne is baare me daryaaft kia to isse ghusl karen ko kaha gaya.isne ghusl kia.jisse iski maut hogayi.jab is waqiye ka zikr nabi(pbuh) se kia gaya to aapne(pbuh) ne farmaya"in logon ne isse maar daala Allah inko maare beshak Allah taala ne mitti ko paak karne wala banaya hai.(wo tayyammum karleta).(ibn quzaima 138 / 01).

agar ksi kamzoor ya bimar aadmi ko ehtelaam hojaye aur shadeed sardi ho ya paani bahot thanda ho.aur ghusl karna iskeliye halakat ya bimaari ka sabab bane to isse tayyammum karke namaz parhleni chahiye.isi tarha haayeza aur nifaaz se paak hone waali aurtein bhi bawaqt e zaroorat namaz parh sakti hai.is liye k tayyammum uzr ki haalat me wazu aur ghusl dono k barabar hai.

ab aayiye dekhte hain k tayyammum ka sahih tareeqa kia hai:

sabse pahle tayyammum ki niyyat yaani iraada kare fir paak zameen par haath maare fir apne chahre ur dono hathon ka masah kare.

sayyadna ammar(raziAllhu anhu) bayan karte hain k wo safar ki haalat me janbi hogaye aur(paani na milne ki wajah se) matti me loote aur namaz parhli.fir (safar se aakar) ye haal rasool(pbuh) k samne bayan kia to aapne(pbuh) ne farmaya:"tumhare liye siorf yahi kaafi tha.(aur) fir nabi(pbuh) ne dono haath zameen par maare aur inpar phoonk maari fir inke saath apne mu aur apne dono hathon par masah kia.(sahih bukhari-338,sahih muslim-368).

rasool(pbuh) ne ammar raziAllahu anhu se kaha k" ulte haath se seedhe haath par aur seedhe haath se ulte haath par masah karo fir dono hathon se chahre ka masah karo.(abu dawood - 321)

  • [*=left]Quran e majeed k hukum se (قتيممو صعيدا طيبا ) surah e nissa-43.ki ro se tayyammum paak mitti se karna chahiye.
    [*=left]tayyammum jaise mitti se jaayez hai.isi tarha shor wali zameen aur ret se bhi jaayez hai.
    [*=left]ek tayyammum se (wazu ki tarha) kayi namazein parh sakte hain.kyunke tayyammum wazu ka qaayam muqaam hai.jin cheezon se wazu tootta hai.inhi cheezon se tayyammum bhi toot jaata hai.
    [*=left]agar namaz parhlene k baad paani ka ilm hoto isse bawazu hokar namaz dohraane ya na dohraane ka iqtiyar hai.taahum agar dohraale to behtar hai.
abu sayeed raziAllahu anhu se riwayat hai k do aadmiaon ne tayyammum kia aur namaz parhli fir inhe paani mil gaya aur abhi namaz ka waqt baaqi tha.pub inme se ek ne wazu kia aur namaz lautaayi aur dosre ne namaz nahi parhi.fir inho ne rasool(pbuh) se poocha.aapne(pbuh) ne is shaqs se kaha jisne namaz nahi lautaayi usne sunnat par amal kia.aur tumhari(tayyammum wali) namaz tumhare liye kaafi hai.aur dosre shaqs se kaha tere liye ziada ajr hai.(sunan nisaayi-213)


 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam ghour se hi parha hai bhai jan
bohot hi mufeed sharing ki hai masha'a'ALLAH

ALLAH aapko jazaye khair ata kare iska Ameen
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
jazakallah khiar very informative shaaring arshad bhai:)
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Bohot khoob Arshad Bhai, bohot hi umda sharing ki hai aapne....

Beshak hame dusron tak apni har knowledge pohchaana chahiye, aur aapne ye kaam bakhubi kiya hai....

ALLAH TAALA Jazae Khair de aapko...AMEEN..
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
JazakAllah janab buhat acha tareeka bayan kya gaya hai very useful sharing fo all muslims
 
Top