Tanz >> Please Read This

  • Work-from-home

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
Tanz : to satire, to criticize, to bring down someone
Tanz
Tanz hmary muashry ka aik ahm rukan hai jis k baghair raha hi nhi ja skta bilkul jese ap oxygen k baghair nhi reh skty.
wese to ye kesa b ho dosry k moun pr thappar lgany k e mutradif hai magar iski khobi hai k ap bina hath uthaye mukhalif ko halkan kr skty hain q k is se zehn ki androni chot lgti hai.
Khair ab thappar (slap) ki b to kuch iqsam hain na kbi pyar se halka sa , kbi zra zor ka or kbi itni zor ka k apky rukhsar per nishan chor jaye so isi tra tanz ki b kuch iqsam hoti hain.
=> Tanz ki pehli qisam halki phulki c hai jise ap bkhushi seh jaty hain ye hai mazaq main kia jany wala tanz .... aisa tanz aam tor per ap k dost krty hain apki masomiyat ya shrarat ka koi waqaya yad dilany ko.
=> Dosri kisam ka tanz thora karhwa hota hai .... ye apki kisi ghalti per kia jata hai. jise sun kr apko boht gussa ata hai, bura lagta hai magar ap kuch der guzarny k bad bhol jaty hain ya nazar-andaz kr dety hain.
=> Magar teesri qisam ka tanz na hi apki bardasht main ata hai na hi apki yad-dasht se jata hai q k ye tanz apki tehqeer k liye ya apko neecha dikhany k liye kia jata hai or apni tehqeer koi kbi nhi bholta chahy maaf b kr de....
Badqismati se tanz ki ye teesri qisam hmary maushry ko pori tra apny hasar mai liye hai jis se ikhtalafat khatam e nhi ho paty or ye hmari aadat hi nhi balky fitrat ban chuka hai. Adab o shafqat or sila rehmi ki shikast main iska boht ahm kirdar hai. Jis k tuhfy main hmain muntashir zehn mily hain jo hmain aik dosry se bezar kr dety hain.
:oo Mahen ka thread!!!
:oo or achi baatein!!! :p :p

bht nice or informative or haqiqat per mabni sharing ki hey. Allaah paak hamey afiat k saath bachney ki tufiq ata farmaey.ameen
JAZAKALLAAH
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
nice post Mahen:) bohat acche se define kiya tum ne Tanz ko
even i hate such people jo mazaq mazaq main doosron ki kisi weakness ya ghalti ko highlight kr detay hain, especially jahan bohat saaray log hon.....
but its better to ignore em n let dem know ke u dun actually care abt wat'ever dey say
 
  • Like
Reactions: Mahen
Top