Shab wahi lekin sitara aur hai

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
Shab wahi lekin sitara aur hai
ab safar ka isteaara aur hai

mauj ke murrne mai kitni der hai
naao daali aur dhara aur hai

sukh k mausam unglyon par gin liye
fasl e gham ka ghoshwara aur hai

dair se palken nahi jhapki meri
teshe jaan ab k nazara aur hai

aur kuch pal uska rasata dekh loon
aasma'n par aik tara aur hai

sath to mera zamee deti magar
aasma'n ka hi ishara aur hai
 
Top