Aik wada hai kisi ka jo wafa hota nahi,
Warna in taroo'n bhari raaton mein kia hota nahi,
Ji mein Aata hay Ulat dein un k chehrey se naqaab ,
Hosla kartey hain lekin hosla hota nahi,
Shama jis ki Aabro pe jaan de de jhoom kar ,
Woh patanga jal to jata hay Fana hota nahi,
Ab to muddat se Rah-o-Rasm-e-Nazara band hay,
Ab to unka toor par Bhi samna hota nahi,
Har Shanawar ko nahi milta Talatum se kharaaj ,
Har safeeney ka muhafiz Nakhuda hota nahi,
Har Bhikaari pa nahi sakta muqaam-e-khawajgi ,
Har kas-o-nakas ko Tera Ghum Ata hota nahi,
Haye ye begaangi, Apni nahi muj ko khabar ,
Haye ye alam, Keh Tu dil se juda hota nahi,