Safar-e-manzil-e-shab yaad nahi
Log rukhsat hue kab yaad nahi
Dil main har waqt chubhan rahti thi
Thi mujhe kis ki talab yaad nahi
Wo sitara thi k shabnam thi k phul
Aik surat thi ajab yaad nahi
Aisa uljha hun gam-e-duniya main
Eik bhi khwab-e-tarab yaad nahi
Bhulte jate hain mazi k dayar
Yad ayen bhi to sab yaad nahi
Ye haqiqat hai k ahbab ko ham
Yad hi kab the k ab yaad nahi
Yad hai sair-e-charagan Nasir
Dil k bujhne ka sabab yaad nahi.........!!
Log rukhsat hue kab yaad nahi
Dil main har waqt chubhan rahti thi
Thi mujhe kis ki talab yaad nahi
Wo sitara thi k shabnam thi k phul
Aik surat thi ajab yaad nahi
Aisa uljha hun gam-e-duniya main
Eik bhi khwab-e-tarab yaad nahi
Bhulte jate hain mazi k dayar
Yad ayen bhi to sab yaad nahi
Ye haqiqat hai k ahbab ko ham
Yad hi kab the k ab yaad nahi
Yad hai sair-e-charagan Nasir
Dil k bujhne ka sabab yaad nahi.........!!