SaD pOeTrY lOvErS :))

  • Work-from-home

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Mere Marnay k baad Meri kahani likhna,


kese barbad h0i
Meri Jawani likhna,


Or likhna k Mere
hont khushi ko
Tarsay,


Kese barsa Meri
ankhn Se pani
likhna,


Or likhna k uSey
intizar Tou bohut
Thaa mera,


Akhri Sanson main wo Hichki ki rawani likhna,


likhna k Mertay
Waqt b deti thi
dua mujh ko,


haath bahar Thay
kafan Se ye Nishani likhna.
 
  • Like
Reactions: *fajar*

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Us ko chaha to boaht magr woh mila hi nhi,
Lakh koshish ki magr fasila mita hi nhi,
Us ko zamane ne majbor is kadar kar diya tha,
K meri kisi sada per woh murha hi nhi,
Khuda se jholi phela kr manga tha usy,
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nhi,
Har kisi se poucha sabab tere na milne ka,
Har ek ne kaha wo tere liye bna hi nhi,
mein tmam umr koshish k bawajod thak gaya,
aur wo usy mil gya jis ne usy manga hi nhi
 

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Chaader Pe Padi Ek Salwat He Zindagi
Kahin Dile-Dariya Kahin Khatpat Hai Zindagi


Kabhi Hasaati Hai Kabhi Rula Deti Hai
Sambhal Ke Chalna Badi Natkhat He Zindagi


Kabhi Yun Hi, Kabhi Bamushkil Milta Nahin Sakun
Jiyo To Hass Ke Jiyo Varna Marghat Hai Zindagi


Jise Dekhe Bina Na Kat-Ta Tha Ik Pal
Hui Shaadi Usi Se To Badi Jhanjat Hai Zindagi


Saawan Ki Bauchhaar Kabhi Jayeshth Ki Tapish
Gauri Se Ho Milan To Panghat Hai Zindagi
 
  • Like
Reactions: jazzmish

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Ajnabi Si Raahon Mein,

Door Tak Nigahon Mein,
Teergi Ka Mausam Hai,
Berukhi Ka Mausam Hai,
Aaj Phir Nigahon Ko
Beete Kal Ki Pyaas Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai,

Rang Phike Phike Hai,
Taare Roothe Roothe Hai,
Badalon Ka Shor Hai,
Khizaan Khizaan Ye Daur Hai,
Is Kadar Akele Mein
Pyar Ki Talash Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai,

Ajab Hai Dil Ki Wehshatein,
Aur Aas Paas Aahatein,
Jisko Dhundna Chaho,
Usko Dhund Kab Paao,
Phir Raha Hoon Darbadar,
Maujazey Ki Aas Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai,

Baat To Kare Koi,
Saath To Chale Koi,
Khamoshi Ke Pehre Hai,
Zakham Dilke Gehre Hai,
Aaj Wo Mile Mujhko Dard Jisko Raas Hai,
Aisa Lagta Hai Jaise,
Chand Phir Udaas Hai…
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi,
Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi.
Zakhm thy dard tha tanhai thi Veerani thi,
Kya bataon k tere ishq mein rahat kia thi.
Tujko chaha hi nahi teri Ibadt ki hy,
Ek pathar ko magar us ki zarurat kya thi.
Aik muddat hui Izhar-e-Mohabat kar k,
Aaj tak soch raha hun k himaqat kya thi.
Kya bataon k yahan poch rahe hain sab log,
Woh jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi…!!
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Kisi Ko Anjuman Aaraiyaan Nazar Aain

Kisi Ko Zaat Main Tanhaaiyaan Nazar Aain



Main Is Liye Teri Mehfil Se Lout Aaya Hoon

Jagah Jagah Muje Ruswaaiyaan Nazar Aain



Samaaton Ne Basarat Ka Roop Dhaara Jab

Faza Main Goonjti Shehnaaiyaan Nazar Aain



Wo Apne Aap Se Anjaan He Raha Jis Ki

Zamane Bher Se Shanasaaiyaan Nazar Aain



Mere Wajood Pe Aakhir Ye Kis Ka Pehra Hai?

Jala Charaagh Tu Parchaaiyaan Nazar Aain



Lagaaii Aankh Se Majboriyun Ki Ainak Tu

Bure Amal Main Bhi Achaaiyaan Nazar Aain



Zameen Ke Husn Ka Wo Bhi He Aik Rukh Babar

Ufaq Ke Paar Jo Raanaaiyaan Nazar Aain...
 
  • Like
Reactions: *fajar*

Umm-e-ahmad

Super Star
Feb 22, 2010
11,352
5,314
1,313
home
Ek kasak jo lfzoo ki aghosh me sisak rhi thi,
EK dua jo dor arsh pe bhatk rhi thi,
Wo dua jo totey dil se nikl rhi thi,
Wo dua jo do labo pe machl rhi thi,
KASH KEK SHAM wo lot aaey,
Ya kashwo sham hi lot aaey,
Is dil ne boht toot k usy chaha tha,
Hmne RAB se bs usy hi manga tha,
Pr mri dua to kahin arsh pehi kho gai,
Or phr..tqdir b andhera orrh k so gai,
Or phr..zabt ka daman hmse choot gia,
'EK' 'TOOTA' 'HOWA'
'DIL''OR' 'BHI''TOOT' 'GAYA.


---------- Post added at 12:08 AM ---------- Previous post was at 12:07 AM ----------

Koi Waqt Purana Yad Aya.
Koi Daor Suhana Yad Aya.
Or Chaak Se Un Dewaron Pe,
Kuch Likh K Jana Yad Aya.
Tera Milna Neem Ki Chaon Me,
Or Sir Rakh dena Kandhy Pr,
Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Lay,
Tera Wo Ghabrana Yad Aya.
Aisa B To Aksar Hota Tha.
Me Tjhko Chorne Jata Tha.
Wo Bheegi Bheegi Raton Me Tera Hath Hilana Yad Aya.
Wo Waqt Gaya Beetay Lamhe,
Ab Her Janib Tanhai He,
Bus Ek Manzar He Ankhon Me,
Tera Chhor K Jana Yad Aya..
zabarrdast sharing bhai[DOUBLEPOST=1364070679][/DOUBLEPOST]
Mere Marnay k baad Meri kahani likhna,


kese barbad h0i
Meri Jawani likhna,


Or likhna k Mere
hont khushi ko
Tarsay,


Kese barsa Meri
ankhn Se pani
likhna,


Or likhna k uSey
intizar Tou bohut
Thaa mera,


Akhri Sanson main wo Hichki ki rawani likhna,


likhna k Mertay
Waqt b deti thi
dua mujh ko,


haath bahar Thay
kafan Se ye Nishani likhna.
very nice sharing[DOUBLEPOST=1364070846][/DOUBLEPOST]
Kisi Ko Anjuman Aaraiyaan Nazar Aain

Kisi Ko Zaat Main Tanhaaiyaan Nazar Aain



Main Is Liye Teri Mehfil Se Lout Aaya Hoon

Jagah Jagah Muje Ruswaaiyaan Nazar Aain



Samaaton Ne Basarat Ka Roop Dhaara Jab

Faza Main Goonjti Shehnaaiyaan Nazar Aain



Wo Apne Aap Se Anjaan He Raha Jis Ki

Zamane Bher Se Shanasaaiyaan Nazar Aain



Mere Wajood Pe Aakhir Ye Kis Ka Pehra Hai?

Jala Charaagh Tu Parchaaiyaan Nazar Aain



Lagaaii Aankh Se Majboriyun Ki Ainak Tu

Bure Amal Main Bhi Achaaiyaan Nazar Aain



Zameen Ke Husn Ka Wo Bhi He Aik Rukh Babar

Ufaq Ke Paar Jo Raanaaiyaan Nazar Aain...
bht zabardast...
 
  • Like
Reactions: farhan memon

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle

Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle
 
Top