Suna hey
Is jahan me zindagi ki qeht saali hey
Yahan do chaar din jiney ka aksar zikr hota hey
Yahan har chiz fani hey
Sbhi ko moat aani hey
Yahan izhaar kia karna
Yahan par piyar kia krna
Mgr kuch yun b sunta hun
Ke esa ik jahan hoga
Ke jis me moat aney ka koi dharka nhi hoga
Hayat e javidan ke sb wahan asbab rakhey hen
Ye mera tum se wada hey
Agr dono wahan mil gaye
Wahin iqrar kr len ge
Wahin izhar kr len ge
Wahin phir piyar kr len ge
Humain Awaz Day Laina
Agar dukh zindagani k
Tumhain aazar pohchaian
Koi jalti hue sa'aat koi bujhta hua lamha
Tumharay dil pay dastak day
Tu hum ko yaad kar laina
Abhi zinda hain hum zindagi ki bay-karani main
Abhi tak day rahay hain imtihaan
Is kaar gaah-e-imtahaini main
Abhi tak mubtala humain, hum is khawab-e-jawani main
Tum apna koi dukh hum say nahi tou kis say bantoo gay
Kisay Aawaz do gay tum ?
main sary jazby
tamaam wady
duain sari
sabhi iraady
har ik tamanna
har ek khwahish
khumaar apna
khwab sary
muhabbton k nisaab sary
jo tum ko de don
to itna keh do
WAFA KRO GY....???
This site uses cookies to help personalise content, tailor your experience and to keep you logged in if you register.
By continuing to use this site, you are consenting to our use of cookies.