romantic shayari

  • Work-from-home

TM~NuJiN~TM

TM Star
Oct 29, 2009
1,253
588
613
Mirpurkhas
Assalam O Alaikum Frnds....



haadsey kya kya tumhaari be-rukhii say ho gaye

saarii dunya kailiye hum ajnabii say ho gayee


gardish-e-douraan, zamaanay kii nazar, ankhon ki niind

kitnay dushman aik rasm-e-dostii say ho gaye


kuch tumhaaray gaisouun kii barhamii nay kar diyee
kuch andheray meray ghar main roshnii say ho gaye



youn tou hum aagaah they sayyad kii tadbeer say
hum asiir-e-daam-e-gul apnii khushi say hso gaye


her qadam "Saghar" nazar aaney lagii hain manzilain
marhalay to merii kuch awaargii say ho gayee






Life Ka Sirf Ek Hi Usool Hai



Insaan Ya Toh Toot Kar Chahta Hai

Ya Phir Chahat Mein Toot Jata Hai,



Jab Toot Ke Chahe Toh Duniya Samet Leta Hai
Aur Jab Chahat Mein Toot Jaye To Bikhar Jata Hai


Toot Ke Chahey Toh Maut Ko Hara Deta Hai
Aur jab Chahat Me Toot Jaye
To Zindagi Se “HAAR” Jata Hai…












Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai Humko,
Dard Kya Hota Hai Ruswai Kise Kehte Hai,
Chaar Suu Gunjti Ruswayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde............


Koi Lamha Ho Teri Yaad Mein Kho Jaate Hai,
Ab To Khudko Bhi Muyasar Nahi Aa Paate Hai,
Raat Ho Din Ho Tere Pyaar Mein Behte Hai,
Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde............


Jo Bhi Gam Aaye Use Dil Pe Saha Karte Hai,
Ek Wo Tha Hum Mil Ke Raha Karte The,
Ab Akele Hi Zamane Ke Sitam Sehte Hai,
Dard Kya Hota Hai............
Ab Jo Bichhde............


Humne Khud Apni Hi Rahon Mein Bichhaye Kaante,
Zakhm Is Dil Mein Basaye Hue Khud Rehte Hai,
Dard Kya Hota Hai............
Ab Jo Bichhde............


Yun To Duniya Ki Har Ek Chiz Haseen Hoti Hai,
Pyar Se Badh Kar Magar Kuch Bhi Nahi Hoti Hai,
Rasta Rok Kar Har Ek Chiz Yehi Kehti Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai Humko,
Dard Kya Hota Hai Tanhayi Kise Kehte Hai,
Ab Jo Bichhde Hai To Ehsaas Hua Hai Humko...





Tarey aaaney ki aas hay dost,
Shaam phir kiyon udass hay dost,
mehki mehki fiza yeh kehti hay,
tu kahin Aas Paas hay dost,
tu kahin Aas Paas hay dost..........................












Aarzu ye nhi k ghum ka tufaan tal jaye.


Fiqar to ye hy k tumhara dil na badal jae.


Kabhi b mujh ko agar bhulana chaho.


Tum dard itna dena k mera dum nikal jae..


“Mere Dil may ik dharkan teri hai,


Uss dharkan ki kasam tu zindgi meri hai,


Meri saanso may ik saans teri hai,


Woh saans jo ruk jae to maut meri hai.



Sza na do mj ko beqasur hu me,

Tham lo mj ko ghmo se choor hun me,


Uski duri ne krdia pagal mj ko,


Or logo ka kehna hy k mghrur hu me.


Buhat khubsorat he ye dua hamari,


Phoolon ki tarha mehke ye zindagi tumhari,


Mujhe kiya chahiye or zindagi mein


Kabhi khatam na ho bas ye Muhabbat hamari


Yun dil ko jlana tera eman ho Shayad…


tery Seny me B koi tofan ho Shayad…


Mat mujhy Azma Itna K dam nikal jaye…


Mery Wajud me teri B Jan ho shayad..







Aarzu ye nhi k ghum ka tufaan tal jaye.

Fiqar to ye hy k tumhara dil na badal jae.

Kabhi b mujh ko agar bhulana chaho.

Tum dard itna dena k mera dum nikal jae..

“Mere Dil may ik dharkan teri hai,

Uss dharkan ki kasam tu zindgi meri hai,

Meri saanso may ik saans teri hai,

Woh saans jo ruk jae to maut meri hai.


Sza na do mj ko beqasur hu me,

Tham lo mj ko ghmo se choor hun me,

Uski duri ne krdia pagal mj ko,

Or logo ka kehna hy k mghrur hu me.

Buhat khubsorat he ye dua hamari,

Phoolon ki tarha mehke ye zindagi tumhari,

Mujhe kiya chahiye or zindagi mein

Kabhi khatam na ho bas ye Muhabbat hamari

Yun dil ko jlana tera eman ho Shayad…

tery Seny me B koi tofan ho Shayad…

Mat mujhy Azma Itna K dam nikal jaye…

Mery Wajud me teri B Jan ho shayad..








Buland kirdar si aankhian
wo khush guftaar si aankhain


mohabbat ki negehbaaN hain

dar o dewaar si aankhain


nameeda sabnami gulpoosh
gul o gulzar si aankhain


dehekti dhoop main thandak
ghany ashjar si aankhain


khazina hian wo yadoon ka
haseen pandar si aankhain


hikayat hain khmoshi ki
wohi iqrar si aankhain


ghata palkoon pe rakhti hain
abad imtar si aankhain


kamal e husn o raanai
sukhan, ashaar si aankhain


kitab e drd k oraq
haziN afgar si aankhain


khamooshi khush kalami si
saba izhar si aankhin


hain Aashi hast ka sehra
meri sansar si aankhain



***********************
Aflaak say baala hai kisi dar ka nehi hai

Rishtaa mera tum say jo hai pal bhar ka nehi hai


Pikhley ga na mere zabt say ghaabraa kay sitamgar
Insaan hai woh bhi koi pathar ka nehi hai


Woh chaak jigar rakh kay yoon kehty hain k dilbar
Yeh kaam tere jeisey rafuuGarR ka nehi hai


Dunia ko badalney ki naii ho koi tarkeeb
Aye Eihl e janoon waqt yeh ab daar ka nehi hai


Dunia jo kehti hai kehye meri balaa say
Aalam toh abi mere barabar ka nehi haii
*************************


" Alfaz tu bht hain meri mohabbat biyan karny ke....

Wo meri khamoshi nahi smjhta alfaz kya smjhy ga...!!! "

[h=2][/h]
Posted by Sagar Saturday, October 23, 2010 at 10:50 AM 0 Comments



Suno JANA...!!
Judai mout hoti hay...


Kabhi fursat mily to dakhna paton ka girna tum.
Kah jab yeh shajir sy gir kar zameen pay aan partay hain.
Tu kasay ronday jatay hain.??


Thathirte raat kay khamoosh lamhoon main.
Kasi bay bas ,akeli,ba wafa khamoosh larki ki....
Kabhi tum siskiyaan sunna....


Kabhi qataar say becheri hoi konjoon kay nohay par
Nigah kirna...
Kay kasay aik dojay ki judai par
Tarap kar baen karti hain...


Kabhi rukhsit kay lamhoon main kisi ki ankh say
Laraktay howay Ansoon ko dakhoo gay
To shaid jaan paaoo gay..
Judai mout hoti hay..


Abhi tum nay mohabat kay barastay bheegaty mosam nahe dakhay.
Abhi tum titliyon kay rang muthi main chupatay ho.
Abhi tum muskratay ho...
Suno JANA..!!


Kabhi jo zindgi nay ajnabi wiraan rahoon pay.
Tumhari yeh hansi cheeni...
To phir ansoon bahaoo gay...


Tum itna jaan jao gay.
Judai..... Mout hoti hay...!!
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
matlab aap ne aik he thread main sub poetries aik sath dali hain in sub ko alag alag banate toe threads pe comments bhi zyada milte aur log poetry theek se parhte samjhe bhai? :)
 

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi

Kaash tu mere Haseen Haath Ka Kangan Hota
To Bade Payar Say Bade Maan K Saath Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati tujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati tujh Ko
Tu mere Hath Ki Khushboo Say Mehak sa Jata
Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar tujhy Chooma Karti Mere Honton Ki Hidat Say tu Dahak Sa Jaata
Raat Ko Jab Bhi Neendon Kay Safar Pay Jaati Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaya Karti tujh ko
Tu mere Kaan Say Lag Kar Kayi Baatein Karta
Tu meri Zulfon or Gaalo Ko Chooma Karta
Tujh Ko Bay Taab Sa Rakhta meri Chahat Ka Nasha
Tu meri Rooh K Gulshan Mein Mehak Ta Rehta
Tu mere Jism K Aangan Me Khanakta Rehta
Kuch Nhi To Ye Be Nam Sa Bandhan Hota
Kash tu mere Haseen Haath Ka Kangan Hota.?
 
Top