Idea ~*Request to All TM Members*~

  • Work-from-home

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
As Salam alaikum Frnds
My Request to all TM Members

Ek baat mei bahut din se note karahi hun k yahn k members bahut sare aise hain jinke posts jinke threads parhkar kabhi hansi ati hai kabhi sharmindagi bhi hoti hai,,
Aise members ki koshish hoti hai k zyadatar english me post karen specially thread k title ajeeb o ghareeb hote hain..aisi english jo grammatical mistakes k alwa spelling mistakes se bhi pur hoti hain..
Ye baat humko dhyan me rakhna chahiye k yh Urdu forum hai aur Hum Pakistan ko humare culture ko represent karte hain...
Humari zaban yani urdu bhi bahut sheerin aur meethi language hai..zaruri nhi k hum angrezi bolne k chakkar me dusron k liye mazak ka nishana banen..
Is baat ka khyal rakhen k ye forum sari duniya me parha jata hai so apni baat ko saaf aur suljhe hue andaaz me bayan karen chahe language koi bhi ho..
Title is the soul of that topic so Tilte na srf dilkash ho balkay koi manay rakhta ho k dekhte hi usay parhne ko dil kare...
I request all the members kindly be careful in ur postings..aisi english mat use karen k bacchay dekhkar bhi hansen....

Regards,

BAHAAR
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
First of all mere khayal main ye thread baat cheet section ke lye mozon hai 2nd ye ke agar koi member english ghalat ya theek bolta hai toe koi itna bara issue nahi hai aur us ke ghalat bolney pe bhi koi burai nahi hai insaan ahista ahista kar ke seekhta hai agar koi ghalat bol raha hai grammar main mistake karta hai toe aise main us ka mazaq nahi urana chaye balkey islah karni chaye . beshak hum pakistan ko represent kar rahey hain magar ye members ka zati haq hai ke woh english bolen ya urdu . aur TM rules ke mutabik ye dono languages he allow hai yahan so aap aur baki jitney bhi members hain unki ghalat grammar use karney pe islah karen unko tokeye mut is terha se woh acha feel nahi karenge Thanks
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
bro aap logoon ko ha rbaat main jhagra kyon nazar ata hai . suggestion aur issues main har thread ko dekh ke reply dena ya thanks pe click karna staff ka farz hai toe maine de dye comments apne ub ye mera khayal hai zaroori nahi ke theek ho so kindly aisa sochna khatam kar doo ke jhagrey wali baat hai etc
 
  • Like
Reactions: mirza37

mirza37

Hot Shot
Jul 17, 2010
15,341
7,043
913
49
UAE ABU DHABI
bro aap logoon ko ha rbaat main jhagra kyon nazar ata hai . suggestion aur issues main har thread ko dekh ke reply dena ya thanks pe click karna staff ka farz hai toe maine de dye comments apne ub ye mera khayal hai zaroori nahi ke theek ho so kindly aisa sochna khatam kar doo ke jhagrey wali baat hai etc
chalo fir theek hay kaka
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
well I guess jahan TM aik tafreeh ka platform ha wahi idhr bohat se logo ko bohat koch seekhne ko milta ha, koi b insaan sab seekh k paida nai hota, main un logo ko appreciate karongi jo is platform ko learning k lie use kar rahay hain, ofcourse aisay members jinhe english nai ati try karaingay to agay bole sakaingay.. hope u understand:)
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
well Iam agree with zee... baat yeh hain k yaha pe ab serf pakistani members nahin athe balke ab yeh forum itna famous ban gaye hai k Indian and Afghans (Including me) bhi athe hain mere khud ki language na tu urdu hain and na he English but mai mostly donu he languages mei baat kerti hu jub bhi jaha mujhay koi bhi language mei baat kerna munasib and easy lage then usay zaban mei baat kerte hain.. but I know maybe english se bhi zyada mere urdu mei mistakes melenge thats why urdu se zyada english prefer kerti hu but with friends urdu mei baat huti hain tha k voh bhi ache se improve hosake.. I think insan jub bhi kuch seekta hain tu voh us mei mistakes zaroor karenge and aapni ghalti se he agay berhenge maybe jho members yaha pe english bolne ki try ker rahe hain shayed uska maksad aapni english ko improve kerna ho tu aise mei we need to support them instead of accusing them...
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Well.....Mere Thread k lagane ka jo maqsad tha wahi ghalat liya gaya...
yahan par na koi kisi ka mazak urata hai aur na hi hum kisi ko accuse karte hain..Hum sab enjoy karte hain language cahhe koi si bhi ho....and secondly meine kab kaha k koi khas language istemal karni chaiye ya k English nahi bolni chahiye..
Aaplog meri baat ko samjhen to shayed samjh aye ..RR yahan par forum p English tutorials bhi hain shayed..Agar kisi ko nhi ati aur koi kisi se help mange to isme koi burayi nhi,ghalat likhne se bahtar hai k koi kisi ki help se apne apki islah karle....
Yes ye forum particularly abb ek country ka nahi balkay sari duniya ka hogaya hai isiliye aur humko ehtiyat ki zarurat ahi..
Meine Forum ki bhalayi k liye ek baat kahi thi..Aaplogon na samjhna hai na samjhen..jaise mistakes horahe hain hone dijiye,aur agar ghaltiyon ko seekhne ka naam diya jata hai to as you wish...:):)
BEST OF LUCK TM...
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
well, TM English and Urdu dono language allow karta hai, yeh user ki choice hai k wo kon si language use karein or kayse karein. Even may bhi hazaro grammar and spelling mistake karta hon, but practice makes you perfect. Isnan girta hai to wo kahra hota hai, or learning stage may to har koi mistakes karta hai..
Maybe overseas Pakistanio k lie yeh funny ho but there is no sharum... Even Russians, European chines etc etc bhi starting may toti pothi English bolte hain.. its not just us...
 

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
mere khayal se Bahar ne kuch bura nahi likha,jise english nahi ati os k lie koi zor zabardasti nahi k wo english hi likhe.agar aap ko english seekhne ka shoq hain aur aap chahte hain k aap bhi english bolein seekhein to is lie aik alag se category hai na forum pr.wahan se learn karein aur dosron ki posts read kr k bbhi buhot kuch seekh sakte hain.

ab kuch log english nahi jante aur wo likh dete hain jis pr aksar log mazq hi urate hain buhot km hi ese hon ge jo onki islah karein ge.ye bat sirf forum tak ki nahi hr jga esa hota hai.
so aap ko jo zuban asan lage aap osi me likhiye.jo ati hai osi me likhiye
 
  • Like
Reactions: ShahzadFaiz

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
hmm nice baharo...
may bahar ki bato say agree karte ho...
ye pakistani foram hay,or yaha pehli tarjeeh urdu ko di jani chahye..or bad may baqe zubanay use hone chahye..
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Well.....Mere Thread k lagane ka jo maqsad tha wahi ghalat liya gaya...
yahan par na koi kisi ka mazak urata hai aur na hi hum kisi ko accuse karte hain..Hum sab enjoy karte hain language cahhe koi si bhi ho....and secondly meine kab kaha k koi khas language istemal karni chaiye ya k English nahi bolni chahiye..
Aaplog meri baat ko samjhen to shayed samjh aye ..RR yahan par forum p English tutorials bhi hain shayed..Agar kisi ko nhi ati aur koi kisi se help mange to isme koi burayi nhi,ghalat likhne se bahtar hai k koi kisi ki help se apne apki islah karle....
Yes ye forum particularly abb ek country ka nahi balkay sari duniya ka hogaya hai isiliye aur humko ehtiyat ki zarurat ahi..
Meine Forum ki bhalayi k liye ek baat kahi thi..Aaplogon na samjhna hai na samjhen..jaise mistakes horahe hain hone dijiye,aur agar ghaltiyon ko seekhne ka naam diya jata hai to as you wish...:):)
BEST OF LUCK TM...
Nahin Dear aapko koi bhi ghalat nahin leiya maybe aapke baat ka matlab kuch aise members se ho jesse shayed english belkul bhi nahin athe but phir bhi show off kerne k lie bolte honge ya maybe khud ko kessi se kum na samajhne k lie urdu ko chorker english bolne ki practice kerte hain without drill aur aise mei unke enlgish ek dum kharab lagti hain tu ager aise members ya logu se aapka murad hain then you are right but I would suggest them k voh loug bhi pahle thora buhut seekhe pir baat kerne ki try kare tu aise mei koi harj nahin hugi and then aapki yeh suggestion bhi sahi point pe hain so in this case you are right :)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalamoalaikum
bahaar ne b thek kaha k ap ko jo zuban thek se aati hai ap usi zuban me bolo..koi bat nhi agr english hi aati..urdu istamal kren..is me koi shram ki bat nhi..
Main sirf 1 bat kehna chahti hon ap jo koi b zuban use kro lekin apki ki kahi huvi bat thek,sach or akhlaq k daire me reh k ki jaye...
jese members ne kaha k koi bat nhi english b bolne den..ta'k un ko apni mistakes ka pata chale,kisi pe hasna nhi chaheye..banda gir gir k sambhalta hai..

i think bahaar ye kehna chahti hain k apko apni zuban Urdu bolne me kisi b kisam ki sharm nhi krni chaheye..agr apko english nhi aati to ap urdu me hi bat kren,hume fakhar hona chaheye k humari zuban itni achi hai..
hume bahaar ki bat ka maqsad b smjhana chaheye..
sabah sis ne baat ko boht waziyah kr diya hai..:)
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E


Nahin Dear aapko koi bhi ghalat nahin leiya maybe aapke baat ka matlab kuch aise members se ho jesse shayed english belkul bhi nahin athe but phir bhi show off kerne k lie bolte honge ya maybe khud ko kessi se kum na samajhne k lie urdu ko chorker english bolne ki practice kerte hain without drill aur aise mei unke enlgish ek dum kharab lagti hain tu ager aise members ya logu se aapka murad hain then you are right but I would suggest them k voh loug bhi pahle thora buhut seekhe pir baat kerne ki try kare tu aise mei koi harj nahin hugi and then aapki yeh suggestion bhi sahi point pe hain so in this case you are right :)
agreed with sabah :)

well still nice sugestion bahaara if we think in your way :)
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
well, TM English and Urdu dono language allow karta hai, yeh user ki choice hai k wo kon si language use karein or kayse karein. Even may bhi hazaro grammar and spelling mistake karta hon, but practice makes you perfect. Isnan girta hai to wo kahra hota hai, or learning stage may to har koi mistakes karta hai..
Maybe overseas Pakistanio k lie yeh funny ho but there is no sharum... Even Russians, European chines etc etc bhi starting may toti pothi English bolte hain.. its not just us...
Don kabhi tumne arabs ki english suni hai? mere khyal me un k samne hum log to bht better hain... n agreed with u too
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
wssalamoalaikum
bahaar ne b thek kaha k ap ko jo zuban thek se aati hai ap usi zuban me bolo..koi bat nhi agr english hi aati..urdu istamal kren..is me koi shram ki bat nhi..
Main sirf 1 bat kehna chahti hon ap jo koi b zuban use kro lekin apki ki kahi huvi bat thek,sach or akhlaq k daire me reh k ki jaye...
jese members ne kaha k koi bat nhi english b bolne den..ta'k un ko apni mistakes ka pata chale,kisi pe hasna nhi chaheye..banda gir gir k sambhalta hai..

i think bahaar ye kehna chahti hain k apko apni zuban Urdu bolne me kisi b kisam ki sharm nhi krni chaheye..agr apko english nhi aati to ap urdu me hi bat kren,hume fakhar hona chaheye k humari zuban itni achi hai..
hume bahaar ki bat ka maqsad b smjhana chaheye..
sabah sis ne baat ko boht waziyah kr diya hai..:)
nice anu :)
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
walaikum assalam n appreciable suggestion bahaar k aap TM k welfare k liye inna sochte ho
first ov all, aapki baat sahi hai k ye Urdu forum hai aur Urdu hi zaib deti hai aur proper English na bolne se better hai k Urdu main hi baat kar li jaye, but as every1 else mentioned k ab ye forum almost worldwide forum hai toh idhar bohat se ese log b aate hain jo Urdu nai jaante, so in that case, i think k hamare jo b members ya log jesi b english bolte hain, its gud k is tarah un ki acchi practice ho gi aur jo log Urdu nai jaante un se b baat kar sakenge:) i hope it makes any sense

aur rahi baat k English tooti phooti bolte hain toh its alrite, coz u should listen to polish ppl's aur Arabic toh un ki hum se b gai guzri hai aur yahan wese b koi har baat English main nai karta balki kabi kabi thori c English use karte hain jo k sab ko samajh b aa jaati hai k wo person kya kehna chah ra hai so we should encourage them to get their English be more perfect
 
  • Like
Reactions: Zee Leo
Top