Qurbani Karne Wale Aur Na Karne Walon Ke Liye Ek Behtareen Amal.

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Qurbani karnay walay baal, nakhun na kaaten

Mufassir-e-Shaheer, Hakeem-ul-‘Ummat, Hazrat-e-Mufti Ahmed Yar Khan عَلَيْهِ رَ حمَةُ ا لْمَنَّا ن is Hadis-e-Pak (Jab ‘Ashrah aa jaey aur tum mein say koi Qurbani karna chahay to apnay Baal aur Khal ko bilkul hath na lagaey) kay tahat farmatay hain:“ Ya’ni jo ameer wujoban ya faqeer naflan Qurbani ka iradah karay woh Zul-Hajjat-ul-Haraam ka chand dekhnay say Qurbani karnay tak nakhun baal aur (apnay badan ki) murdar khal wagherah na kaatay na katwaey takay Hajiyon say qadray (ya’ni thori) Mushabihat ho jaey kay woh log ihram mein hajamat nahin kara saktay aur takay Qurbani her baal, nakhun (kay liye jahannam say aazadi) ka fidiya ban jaey. Ye hukum istihbabi hay wujobi nahin (Ya’ni wajib nahin, mustahib hay aur Hattal-imkan mustahib per bhi ’amal karna chahiye al-batta kisi nay baal ya nakhun kaat liye to gunah bhi nahin aur esa karnay say Qurbani mein khalal bhi nahin aata, Qurbani durust ho jati hay) lihaza Qurbani walay ka hajamat na karana behtar hay lazim nahin. Isay ma’lom huwa kay achon ki mushabihat (ya’ni naqal) bhi achi hay.”

Gharibon ki Qurbani


Mufti Sahab َلَيْه & رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰى mazeed farmatay hain: “Balkay jo Qurbani na ker sakay woh bhi is ‘Ashrah (Ya’ni Zul-Hajjat-ul-Haraam kay ibtida’ie das (10th) ayyam) mein hajamat na karaey, Baqarah Eid kay din ba’ad-e-Namaz hajamat karaey to ه عَزَّوَجَلَّ  آءَالل  اِنْ شَ (Qurbani) ka sawab paey ga.’ (Mirat-ul-Manajeeh, jild 2, safha 370)

Mustahib kaam kay liye Gunah ki Ijazat nahin

Yad rahay! Chalees (40) din kay andar andar nakhun tarashna, baghlon aur naaf kay nichay kay baal saaf karna zaruri hay 40 din say ziyadah takheer gunah hay chuna chay Merey Aaqa A’la

Hazrat Imam-e-Ahl-e-Sunnat Mujadid-e-Deen-o-Millat Maulana Shah Imam Ahmed Raza Khan عَلَيْهِ رَ حمَةُ ا ل رحْمٰ ن farmatay hain: Ye (Ya’ni Zul-Hajjat-ul-Haraam kay ibtada’ie das din mein nakhun wagherah na kaatnay ka) hukum sirf Istihbabi ( 6ِ ,َ 7ِ ۡ 8 اِ ۡ ) hay, karay to behtar hay na karay to muzaika nahin, na is ko hukum ‘uduli (ya’ni na-farmani) keh saktay hain, na Qurbani mein nuqs (ya’ni khami) aanay ki koi waja, balkay agar kisi shakhs nay 31 din say kisi ‘uzr kay sabab khuwah bila ‘uzr nakhun na tarashay hon kay chand Zul-Hajjah ka ho gaya to woh agar-chay Qurbani ka iradah rakhta ho is mustahib par ‘amal nahin kar sakta kay ab dasven (10) tak rakhay ga to nakhun tarashwaey huway iktalisvan (41) din ho jaey ga aur chalis (40) din se ziyadah na banwana gunah hay. Fa’il-e-Mustahib kay liye Gunah nahin kar sakta.
(Mulakhas az Fatawa Razaviyyah, jild 20, safha 353-354)





Performers of Sacrifice should not Trim their Hair and Nails


Commenting on the Hadis which says that those performing sacrifice should not touch their hair and skin at all during the first ten days of Zul-Hajjah, Mufassir-e-Shahir, Hakim-ul-Ummat Hadrat Mufti Ahmad Yar Khan Rehmatullah Alaihi says, ‘The rich intending to perform obligatory sacrifice as well as the poor performing voluntary sacrifice should neither cut their nails, hair and dead skin nor get them cut from the appearance of the crescent of Zul-Hajja-tul-Haram to the time of performing sacrifice so that there is some similarity between these performers of sacrifice and Hujjaj who cannot cut these things in the state of Ihram in order that sacrifice serves as a Fidyah (expiation) for every hair and nail. (However) This commandment is preferential, not essential. Therefore, it is better (not obligatory) for the performer of sacrifice not to get his hair, nails etc. cut. It also shows that imitating the righteous is also righteous. (Mira-tul-Manaji., V2, P370, Zia-ul-Qur’an Publications Lahore)
The Sacrifice by the Poor

Commenting on the part of the Hadis (which says the performer of sacrifice should not trim his hair and nail) Mufti Ahmad Yar Khan Rehmatullah Alaihi says, ‘Even those unable to perform sacrifice should not get their hair, nail etc. cut during the first ten days of Zul-Hajjah, instead, they should get hair etc. cut on the Day of Eid after offering Eid Salah. They will also attain the Sawab (of performing sacrifice).

The removing of unwanted hair, nails etc. should not be left for the fortieth day but should be removed before that. Forty days is the maximum time allowed to trim nails and leave pubic and under-arm hair on the body. If it is already the fortieth day and the unwanted hair has not been removed and not trim nails , then it is Wajib on him/ her (compulsory) to remove the hair and trim nails immediately. Iit is prohibited and Makrooh-e-Tehreemi to exceed 40 days. So Trim Nails & remove unwanted hair before the Chand Raat of Zul-Hijja.
 
  • Like
Reactions: Fa!th
Top