Pyar....

  • Work-from-home

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Pyaar ka haq hay
Zamane main sabhi ko lekin
Pyaar karne ka silah sab ko
Kahan milta hay
Yeh bhi kiya kam hay
K kuch dair ko ham hans to liye
Yeh muqadar bhi bhalah
Sab ko kahan milta hay
Haal kuch aisa hay
Chaheen bhi to suna na sakeen
Apni ruthi hui kismat ko
Mana bhi na sakeen
Aaj yeh soch k samjha liya
Dil ko ham ne
K tarapne ka maza sab ko
Kahan milta hay
Aise bhi loog hain jo
Pal main badal jate hain
Aik ham hain k jo
Khawabon se bahel jate hain
Kitna armaan tha
Manzel par pounchne ka magar
Apni manzel ka pata sab ko
Kahan milta hay
 
Top