Poetry by Topic ( Duwa )

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Assalam O Alaikum Frnds....:)

Aaj main aapke liye ek aur dilchusp shayri game le ke hazir huwi hoon...


Ye game hai Poetry By Topics ... {(laire)}

Is game me aapko her week ek topic diya jayga....aur us topic pe aapko koi sher ya poetry yaha post karni hogi...ek member ek hi poetry ya sher yaha post ker sakta hai....{(order)}

ek week bad RR posted poetries me se ek select karengi aur use best poetry announce karengi... v{()|aw

us poetry ke post kerne wale member ko RR ki taraf se ye khoobsoorat Trophy as award di jayegi...{(goodluck)}



Umeed karti hoon ke ye game aaplogo ko pasand aayega aur aap sab is game me participate kiya karenge....:)

her monday ko main ek topic diya karoongi aur friday tak members yaha posting karenge aur final result sunday ko RR announce karengi...:)

Is week ka topic hai...

:)... DUWA...:)

as a example main ek sher post ker rahi hoon... :)

Sunte hain ke mil jati hai her cheez DUWA se
Ek roz tumhe mang ke dekhenge khuda se

umeed hai frnds ke aap sab ko samajh aa gaya hoga ke is game me kya karna hai...:)
so let's start...



Sare members monday - friday tak yaha sharing kar sakte hain & sunday ko result announce ker diya jayega

Note - Agar koi member yaha poetry image post karna chahta hai to use image me apna user name & tafreehmela ka naam mention karna hoga warna image accept nahi ki jaygi...{(order)}

 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ajeeb hijar parasti thi uski fitrat may
shajar k tootey hue pattey talash karta tha

pardey hata k tmam raat wo chaand k saath
jo kho gaye thay wo lamhey talash karta tha

duayain karta tha ujrain hue mizaron par
barrey ajeeb sahare talash karta tha

mujey to aaj btaya hay badilon ne wasi
wo laut aane k raastey talash karta tha
(wasi shah)
 

TM~NuJiN~TM

TM Star
Oct 29, 2009
1,253
588
613
Mirpurkhas
Merey sabar ka na ley Imtehaan
Meri khaamoshi ko sada na dey
Jo terey baghair na jee sakey
Usey jeeney ki to duaa na dey

Tu azeez Dil-o-nazar sey hai
Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai
Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla
Kaheen waqat aur barha na dey

Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon
Tujhe chah ke bhi na pa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka silaa na dey
Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi
Merey tan badan sey lypat gaye
Jo bujha sakey to buja isey
Na bujha sakey to hawa na dey

Tujhe agar milein kabhi fursatein
Meri shaam phir sey sanwaar dey
Agar qatal karna hai to qatal kar
Yoon judayioon ki saza na dey


 
  • Like
Reactions: Amreen

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri
Zindagii Shamma Ki Surat Ho Khudaaya Meri

Dur Duniya Ka Mere Dam Se Andhera No Jaye
Har Jagah Mere Chamakne Se Ujala Ho Jaye

Ho Mere Dam Se Yu Hi Mere Watan Ki Zeenat
Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat

Zindagi Ho Meri Parawane Ki Surat Ya Rab
Ilm Ki Shamma Se Ho Mujhko Mohabbat Ya Rab

Ho Mera Kaam Garibon Ki Himaayat Karna
Dard-Mandon Se Zaifon Se Mohabbat Karna

Mere Allaah Buraai Se Bachana Mujhko
Nek Jo Raah Ho Us Raah Pe Chalana Mujhko
 
Status
Not open for further replies.
Top