Poetry by topic (Ashk )

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Palkon Pe Ruki Boond Bhi Ronay Ko Bohot Hai
Ek Ashk Bhi Daman Ke Bhigonay Ko Bohot Hai

Yeh Waaqia Hai Dil Main Mere Teri Muhabbat
Hone Ko Bohot Kam Hai Na Hone Ko Bohot Hai

Phir Kya Ussi Tareekh Ko Duhrao Gay Qatil?
Neeze Pe Mera Sar Hi Pirone Ko Bohot Hai

Har Shaakh Se Utren Gay Samar Dushmaniyon Ke
Nafrat Ka Bas Ek Beej Hi Bonay Ko Bohot Hai

Kis Tarha Se Baatin Pe Charhi Mail Utaaren
Jo Zakhm Badan Per Hai Woh Dhonay Ko Bohot Hai

Ab Saamna Tughyaani e Dariya Ka Hai Mohsin
Ek Leher Bhi Kashti Ko Dabonay Ko Bohot Hai..

wonderful sharing fahad...best of luck...:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Aslam-O-aliekum TM , here's my sharing ..{(thx)}

Na jaane ashk se aankhoon mein kyon hai aaye hue


Na jaane ashk se aankhoon mein kyon hai aaye hue
Guzar gayaa hai zamaanaa tujhe bhulaaye hue

Jo manzilein hain to bas raharavan-e-ishq kii hain
Wo saans ukhadii huii paanv dagmagaaye hue

Na rahzanoun se ruke raaste mohabbat ke
Wo kaafile nazar aaye lute lutaaye hue

Ab is ke baad mujhe kuchh khabar nahiin un ki
Gham aashanaa hue apane hue paraaye hue

Ye iztiraab saa kyaa hai ki muddatein guzarii
Tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue
boaht hi aala sharing mashraki...:) best of luck...:)
 

TM~NuJiN~TM

TM Star
Oct 29, 2009
1,253
588
613
Mirpurkhas

Ashk beh jaate hain aksar sabhi ki aankhon se,

Main to un ki yaad mein ashkon mein beh gya.

Dost bhi badal gaye ab tere jaane ke baad,

Bas akela main tanhayon ke saath reh gya.

Tere aane ka intezaar ab bhi hai in aankhon ko,

Woh tera hasna tasveer ban kar hi reh gya.

Diya baadlon ne mera saath ta-umar yun hi,

Kabhi roya baras ke to kabhi garaj ke kuch keh gya.

Ashk beh jaate hain aksar sabhi ki aankhon se,

Main to un ki yaad mein ashkon mein beh gya...

 
Jun 8, 2011
52
6
508
33
Kuch ashk humary behny do,
Humain dard k mausum sehny do,

Humain khushiyon ka idrak nahi,
Humain pehly jaisy rehny do,

Ek pyar ka sapna dekha hai,
Is sapny ko sach hony do,

Ek umer huyi takty tum ko,
Par aaj labon ko kehny do,

Hum tum se mohabbat kerty hain,
Humain toot k chahat karny do
 
Status
Not open for further replies.
Top