Pani Aankh Mein Bhar Ke Laya Ja Sakta Hai,
Ab Bhi Jalta Sheher Bachaya Ja Sakta Hai,
Ek Mohabbat Aur Wo Bhi Nakam Mohabbat,
Lekin Is Se Kam Chalaya Ja Sakta Hai,
Dil Par Paani Pine Aati Hain Umeedein,
Is Chashme Mein Zeher Milaya Ja Sakta Hai,
Mujh Benam Se Puchte Hain Farhad-O-Majoun,
Ishq Main Kitna Naam Kamaya Jaa Sakta Hai,
ye mehtaab ye raat ki paishani ka ghao
aisa zakhm to dil par khaya ja sakta hay
Phata Puraana Khwaab Hai Mera Phir Bhi "Tabish",
Is Mein Apne Aap Chupaya Ja Sakta Hai.