Namaz

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
khuloos-e-dil se ada ho jo ta hayaat namaz
to jagmaga de namazi ki Qaenaat Namaz

badi se dil ko bachati hai paak rakhti hai
bana bhi deti hai asaan mushkilat namaz

wo zindagi k farishte bhi jis pe rashk karein
misaal karde wo qaayam meri wafat namaz

sabaq sikhati hai jo saada zindagi ka hamein
miita bhi deti hai sare takallufat namaz

namaz ho jama-at ke saath jo teri
to paida kar hi de aslaaf ki sifaat namaz

namaz aankhon ki thandak mere huzoor ki hai
dil-o-nnigah ki khaatir hai aab-o-taab namaz

agar yaqeen ho haasil baag-e-jannat mein
khuda se tujh ko dilayegi tohfa -jaat namaz

misaali hote hain qaul-o-amal namazi ki
buland rakhti hai har dum tasawwurat namaz

namaz kyun na jama-at ke saath padhiye anees
har ek gum se dila deti hai nizaat namaz
 
Top