Nabi ki gali

  • Work-from-home

AJMERI11

Active Member
Apr 6, 2011
189
46
178

jannat se badh kar rutba jahan MEIN usi ka hai
jannat khud ek naam nabi ki gali ka hai

keh kar habib bulaya tha rab ne bulaya tha arsh PE
nabiyon mein aisa rutba batao kisi ka hai ?

Khushboo se jiski sara zamana mehak utha
beshak wo phool chehra-e-anwar nabi ka hai

ummeed iski mein aur kisi se kya karoon
bakhshish ka wada rab se to apne nabi ka hai

bechain aap rehte the ummat ke waste
aisa nabi kahan kisi aur ummati ka hai

dil ko sukoon milta hai zikr-e-habib se
padhna darood farz har ek ummati ka hai

kal ek faqeer galiyon mein deta raha sada
duniya ka jeena logon!ghadi do ghadi ka hai

shamsho kamar mein na sitaron mein roshni
darasl inmein noor hamare nabi ka hai

aaye agar kaza to dayar-e-habib mein
ae gum tere liye to yeh mauqa khushi ka hai
 
Top