Udas shamon ki siskiyon main
kabhi jo meri awaz sunna
to betey lamhon ko yaad ker k
in hi fizaoon main laot aana
tum aya kerte the khwab ban ker
kabhi mehekte the gulab ban ker
main khushk honton se jab pukaron
in adaon main laot Aana.....!
meri wafaon ka paas rakhna
meri duaoon ka paas rakhna
main khali hathon ko jab uthaoon
meri duaoon main laot aana
meri duaoon main laot aana