Meri Diary......................

  • Work-from-home

LaaraibLikhaari

Senior Member
Dec 14, 2013
629
360
63
Mumbai Meri Jaan...........
Ba Adab Naujawaan
Who ek udaas si shaam thi jab mein bazaar se sauda salf khareed kar laut rahi thi…chehre pe bezaari aur chaal mein thakaan…haathon mein shoppers aur ghar pahunchne ki jaldi….ek bike tezi se apni taraf aati nazar aa rahi thi magar zyadah dhyaan na diya aur bezaari se apni makhsoos sust raftari se chalte hue jaise hi main thora qareeb hui ek dam ruk gayi………
Who banda jo koi bhi tha us ki ek adaa ne mujhe us ki jaanib mutawajjuh kar liya tha….thakaan si utaar di thi meri….maine kisi qadar hairat se who manzar dekha tha…….main haathon mein shopper liye but bani khari thi………………..
Ek nooraani chehre waale buzurg jab us bike sawaar ke paas se guzre to bike sawaar ne phurti se apni tez raftaar bike rok di ….us ne bike se utar kar us buzurg ka haath thaamaa aur un ke gore gore haath ki pusht par ek nazrana e aqeedat sabt kar diya…chand lamhe donon ke lab hilte mehsoos hue phir who buzurg aage barh gaye aur naujawaan bike par sawaar ho kar mere qareeb se guzar gaya…………. main zer e lab muskuraai aur apne ghar ki jaanib chal pari…………………….
Maine us ki woh ada pehle aur shakl baad mein dekhi thi …. Khoob soorat bande to aasaani se nazar aa jaate hain magar khoob seerat khaal khaal hi nazar aate hain…..aaj bhi mujhe us wajeeh bande ki wajaahat to yaad naheen magar us baa dab ki aqeedat yaad hai……!
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Meri Diary …meri asl zindagi ke bilkul asl waaqiyaat hain jo mein aap sab ke saath share karne jaa raahi hoon…………..yeh be tarteeb honge…..maazi ka jo warq meri yaadon ki kitaab se khul jaayega use pehle likhoongi…………………

Laraaib Likhaari………..!
karein...........!!:oops:
 

LaaraibLikhaari

Senior Member
Dec 14, 2013
629
360
63
Mumbai Meri Jaan...........
Dil Kise ................?
School life meein ek ajeeb aaadat thi meri…recess mein koi bhi kitaab itminaan se parhte hue wafers khaane ki…mujh se sirf khaane ka kaam nahi hota tha…is aadat si meri seat-mate bahut chirti thi…us ka kehna tha ke recess maze karne ke liye hai phir is mein kitaab kyun khol kar baith jaati hoon…
Who mujh se baat karti…main apni kitaab mein khoi rehti…wafers kam khaati kitaab zyadah parhti…who apni dhun mein bolti chali jaati aur main is dauraan use behlaane ke liye ke sun rahi hoon hoon haan karti rehti…achaanak woh taaeed hasil karne ke liye jab poochhti…….
“hain na……..?”
“hoon…………..”
“tu sun rahi hai main kya keh rahi hoon………?”
“hoon………….”
“to phir jawaab de naa…………”
“kaisa jawaab…….?”be dhyaani se kitaab dekhte hue poochha.
“tu meri baatein nahi sun rahi thi naa….?” Usne ghusse se kehte hue meri kitaab chheen li………
Kitaab chine jaane pane par main mutawajjuh hui us ki jaanib aur kisi qadr ghusse se use dekha…who mujhe ghoor rahi thi….hathyaar daal diye…kambakht saheli jo thi…ham ek hi seat par saath baithti then…dher saari idhar udhar ki baatein karteen…. Flirt larkon se door hamari apni ek jamaat thi jis mein saaf suthri larkiyon ke liye bhi jagah thi………….
“uffooh kya museebat hai…!achchha kya pooch rahi thi………..?”
woh gussa thook kar muskuraai…bare laad main aa kar kehne lagi………..
“main na soch rahi thi key eh flirt larkiyaan apna dil har aire gaire ko de deti hain….main to apna dil sirf apne shauhar ko doongi…..aur tu kise degi………….?
“yeh hai woh zaroori baat jis ke liye mujhe kab se disturb kar rahi thi ….?”
Maine gusse mein kaha….woh naaraaz nazar aane lagi…maine zara sa muskuraa kar kaha…………….
“dekh ….mere shauhar ke paas to pehle se hi ek dil hoga na…isliye main apna dil kisi dil ke mareez ko de doongi kam az kam bechhare ki zindagi to bach jaayegi………………..”
woh bari sanjeedgi se meri baat sun rahi thi…baat ke mukammal hote hi mujh par toot pari….
“kya kaha…..ruk ja …abhi bataati hoon………………….”woh meri hi kitaab se mujh par hamla aawar ho gayi aur main hanste hue khud ko us ki maar se bachaane ki koshish karne lagi………….
Phir ham donon hi hansna lage………………………. {(friendz)}
 
  • Like
Reactions: whiteros

virgonakhan

TM Star
Dec 15, 2013
1,380
283
233
Bohath gehri baat ki aap ney...aur umeed hai ke aap ki wo friend aab samaj hi gaye hogi aap ki baat....kyun ke Dil tho usy hi daina chahiye ...jis ka dil bemaar ho pehly sey hi...aap ke dil ke liye
 

LaaraibLikhaari

Senior Member
Dec 14, 2013
629
360
63
Mumbai Meri Jaan...........
Bohath gehri baat ki aap ney...aur umeed hai ke aap ki wo friend aab samaj hi gaye hogi aap ki baat....kyun ke Dil tho usy hi daina chahiye ...jis ka dil bemaar ho pehly sey hi...aap ke dil ke liye
haha....kaun si gehri baat janab?.....bas mazaq tha woh...............
ham aur hamara dil sirf hamare shauhar ka hoga .................................................... {(giveheart)}
 
  • Like
Reactions: virgonakhan

virgonakhan

TM Star
Dec 15, 2013
1,380
283
233
haan tho teek hai na jee..kyun shohar ka dil bemar nahi ho sakta apni....nakhra baaz ke liye:rolleyes:
 

LaaraibLikhaari

Senior Member
Dec 14, 2013
629
360
63
Mumbai Meri Jaan...........
Subhanallah aur Allaahuakbar par ghaur o fikr…………
Imtihaan dene jaa rahi thi…………..tezi se qadm barhate hue jab Postal Colony ke stop par utri to wahaan ek kinaare se doosre kinaare tak jaane ke liye banaye gaye skywalk ki seerhiyaan charhte hue aadatan Allaaahu akbar parhne lagi……………mujhe imtihaan gaah tak pahunchne ki jaldi thi isliye tezi se aage barh rahi thi…………..ek dam main chaunki…..meri raftaar sust ho gayi………main sochni lagi seerhiyaan charhte hue Allaahu akbar kyun parhte hain……………?

Mere dil se ek aawaaz aai……. Main Allaahu akbar ke ma’non par ghaur karne lagi…..hmmm…………Allaahu akbar ……yani Allaah sab se bara hai…………seerhiyaan hamein bulandi tak le kar jaati hain………aur Allaah paak har bulandi se buland o baalaa hai………hmm…….to isliye yeh kaha gaya ke seerhiyaan charhte hue Allaahu akbar parhna chaahiye…………taakeh banda har lamhe is baat ko yaad rakhe ke us ka parwardigaar us ke banaaye gaye bridges, buildings, aur skywalks se beintihaa buland o baalaa hai…………………..!

Ab main phir tez tez chalne lagi………..aur jab seerhiyon se utarne lagi to phir aadat ke mutaabiq Subhanallaah parhne lagi aur ek baar phir chaunk gayi……………..sochne lagi ke seerhiyon se neeche utarte hue Subhaanaallaah kyun parha jaata hai is ki kya hikmat hai……………? Hmm……………Subhaanallaah…..yani Allaah paak hai………….jab ham seerhiyon se neeche utarte hain to ham bulandi se pasti ka safar tay karte hain……………aur Allaah ta’aalaa har qism ki pasti se paak hai kyun ke who to buland hai…………is ki hikmat shaayad yeh hai ke jab banda pasti ka safar tay kare to is baat ko faraamosh na kare ke us ka rabb e paak har haal mein buland hai aur har qism ki pasti se paak hai…………..Sunhanallaah ke wird se banda is baat ko bhi yaad rakhe ke who aajiz hai aur use har haal mein inkisaari aur aajizi ka muzaahirah karna chaahiye aur guroor aur takabbur se bachna chaahiye kyun ke who aajiz aur us ka rabb e paaak mutakabbir hai………………………..

Main ab road par aa chuki thi………apne andar hone waale is sawaal o jawaab par khush gawaar si pur hairat muskuraahat mere labon par dar aai thi…………………main masroor si agli bus mein baith kar college pahunchi jahaan mujhe dunyawi imtihaan dena tha.......................!


 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
its a very useful thread,,really like it :-bd
baqi iski saari posts INSHAALLAH ajld parhti hun :)
 
Top