Meree zindagi ka maqsad teree deen ki sarfrazi

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
Meree zindagi ka maqsad teree deen ki sarfrazi
Meh isiliye mujahid meh isiliye namazi.

[O'Allah The Objective of my life is to work for the Glory of Islam and therefore,
I serve as a Soldier of Islam and offer Prayers.]

Parwaaz hai dono ki isi ek fizaan mein
Karghaz(vulture) ka jahan aur hai, Shaheen(falcon) ka jahaan aur

[The vulture and the falcon fly in the same sky, but both have different
ways of living. A vulture eats carrion while a falcon preys. So which is
more majestic and awesome]

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud pooche, batta teri razaa kya hai

Mitta de apni hasti ko agar kuch martaba chaahata hai
Ke daana khaak mein mil kar gul-e-gulzaar hota hai

Tere azzaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya
yaha marne ki paabandi vahaan jeene ki paabandi

Na tu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye
Jahaan hai tere liye tu nahi jahaan ke liye

Ki Mohammed se vafa tune to hum tere hai
Yeh jahaan cheez hai kya loh-o-qalam tere hai

Yu Tho Syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho, batao kya musalman bhi ho

Wo aik Sajda jisay tu giran samajhta hai
hazar sajdon say deta hai is admi ko nijjat

Alfaz-o-maani mein tafawat(difference) nahi lekin
Mullah(religious person) ki azaan aur, mujaajid(holy warrior) ki azaan aur

[The mullah and the mujaahid both utter the same words Allahu Akbar
but there is a difference in the forcefulness of each]

Namaaz-o-roza-o-qurbaani-o-haj
yeh sob bakhi hai tu bakhi nahi hai

Aaj bhi ho jo Ibrahim sa Imaan paida
Aag kar sakti hai andaaz-e-gulistaan paida

[Prophet Ibrahim(AS), as you may recall, was made to jump into a fire,
but he was saved by virtue of his faith, which transformed the fire into a bed of flowers]
 
  • Like
Reactions: Envy and nrbhayo
Top