mera Sajna Sawarna bhi...

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
mera Sajna Sawarna bhi...
mera khushbu lagana bhi....
naaye joray pehnna bhi,
mera khud ko sajana bhi...
Tumharay hi liye to hay. . . . .

mera hasna , mera gaana,
mera ye gun'gunana bhi....
mera ye maan'na man'nat,
KHUDA ki min'natain karna...
kabhi raatoun ko uth uth kar,
dua main haath uthaana bhi....
Tumharay hi liye to hay. . . . .

mera youn muztarib rehna,
kisi ko dhoondtay rehna....
in haathon ki lakeeron main,
kisi ko khojtay rehna...
kisi gum'naam aahat per
mera youn chonk jana bhi....
Tumharay hi liye to hay. . . . .

mera youn mond kar palkain
ye shabb bhar jaagtay rehna,
youn pehron sochtay rehna....
mera ye chaand ko tak kar,
youn gehri soch main kho kar
ye akser muskuraana bhi....
Tumharay hi liye to hay. . . . .

mera youn beth kar tanha,
kabhi nazmain, kabhi ghazlain,
kabhi phir hycko likh kar,
suno ! in chaand taaron ko sunana bhi....
Tumharay hi liye to hay. . . . .

samandar k kinaaron par,
falak k sab sitaron par,
kabhi apnay hi hathon par,
kisi k naam ko likhna....
ussay phir choom laina bhi,
ussay likh kar mitaana bhi...
Tumharay hi liye to hay. . . . .

mera Jeena bhi marna bhi,
mere DiL ka dhadhakna bhi,
meri ye aatma jalna,
tassal'sul khoon ka chalna,
meri saanson ka aana bhi,
meri saanson ka jaana bhi.....
Tumharay hi liye to hay. . . . .

Suno ! sab kuch
Tumharay hi liye to hay. . . . .
mera sab kuch,
Tumharay hi liye to hay. . . . .
 
Top