Mera Jee Hai Jab Tak Teri Justaju Hai

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Mera jee hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai

Khuda jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hoon wo tund khu hai

Tamanna hai teri agar hai tamanna
teri arzu hai, agar arzu hai

Kiya sair hamne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti main ajab rang-o-bu hai

Ghanimat hai ye deed wa deed-e-yaran
jahan moond gayi ankh, main hoon na tu hai

Nazar mere dil ki padi "dard" kis par
jidhar dekhta hoon wahi ru-ba-ru hai
Khwaja Mir Dard
 
Top