Mera apna afsana (naseehat)

  • Work-from-home

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Assalam alaikum

mera apna afsana.
NASEEHAT
serdiyon ki raat thi sab log apne apne gharon ko ja chuke the, her taraf khamoshi chai thi bazar aur galyan sunsan pari theen yoon lag raha tha jese k kerfiyio nafiz huwa ho. hawa ki serd lehron ne poore sheher ko ghair rakha tha is thand main ahmer apne ghar se nikla aur aik sunsan sarak pe chale ja raha tha wo bare itminan se chal raha tha us ne khader k garam kapre pehen rakhe the aur ooper black jakit pehni thi aur gerdan pe resham ka khoobsoorat aur safaid rang ka mafler pehna tha use is weerane main is terhan walk kerne se koi khof hi nahi tha mager aik aisi waja thi jis k baas wo sakht serdi main is terhan nikal aya tha abhi wo chalte chalte usi waja k bare main soch raha tha k achanak us ne aik fakhta ko dekha jo bijli k khambe pe bethi bari bechaini se idher udher dekh rahi thi shayad wo andhera hone k baas apni jagah se bhatak gai thi phir ahmer wahan se chala aur khud se baatain kiye ja raha tha k kyun akhir kyun madeeha mujhe chor k chali gayi kya main use pyar nahi kerta tha ab main kese jiyoon aisi zindagi se to mer jana hi acha hai haan ab main madeeha k baghair aik pal bhi nahi jee sakta main khudkashi kerloon ga ye keh ker wo khara ho gaya aur apne ird gird nazer ghumana shuru ker di kareeb hi use aik sheeshe ki aik khali botal nazer ayi aur wo us ki aur berha sheeshe ki botal ko utha ker use footpath pe de mara aur wo toot gai phir us ne kaanch ko uthaya aur us se apne haath ki nabz katne wala tha k achanak us ka haath kisi pakerliya
ahmer ne jo nazer ghuma k dekha k aik boorha aur zayeef sa admi tha jis ki darhi aur ser k baal itne safaid the k aisa lagta tha k kabhi is k kale baal the hi nahi us k chehre pe bohot jhurliyan theen aur wo is baat ka andaza karati theen k wo bohot umer ka hai us ki aankhon main ik ajeeb si chamak thi aisa lagta tha k wo bohot zaheen hai.

abhi ahmer kuch kehna chahta tha k us zaeef admi ne ghusse se kaha na mard kaheen k tujhe zara bhi lajja nahi ayi aisa ghinona kaam kerne se pehle, kya soch k tu ne ye sab kiya k tu azad ho jai ga, to kan khol k sun lai a lerke ALLAH k haan is ka sakht azab hai.bol kyun kya tu ne aisa bol.

ahmer use dekhe ja raha tha phir us ne apni kalahi churwayi aur kaha baba mere paas ab kuch bhi nahi bacha jo tha wo to chala gaya.
baba ne poocha kya chala gaya.

ahmer bola main madeeha se be inteha pyar kerta tha aur us se shadi kerna chahta tha main us se aik pal bhi alag nahi reh sakta tha main apne din ka sara waqt usi ko sair karata rehta tha hum dono ne aik doosre se shadi ka wada kerliya tha wo bhi shuru shuru main mujh se bohot pyar kerti thi mera bohot khayal rakhti thi mere ammi abbu spain main rehte the per mujhe yahan pakistan main meri khala k pas rehne ko zeberdasti bheja kyun k maine wahan pe bohot se ayash larkon k saath dosti kerli thi wo chahte the k main pakistan main apni study mukammil ker loon to phir wo mujhe wapas spain bula lain ge aur abhi mera last year hai, phir hum ne kuch din main apne waledan se baat ki hamare waledain ne hamari mangni karadi mangni main mere ammi abbu shamil na ho sake humari mangni bohot sadgi k saath hui aur hamari shadi ki tareekh bhi rakh di gai ab hamari mulakaton main izafa hone laga hum kabhi park main jate to kabhi sahil-e-samander k kinare baithe dair taq batain kerte rehte the meri perhai mukammal ho chuki thi aur mere ammi abbu chahte the k wo pakistan aaker hum donon ki shadi ker dain aur apni bahu madeeha ko bhi saath hi spain le jain ab hamari shadi ko sirf aik maheena reh gaya tha main apne ghar main betha apna pasandeeda television show dekh raha tha k achanak mere ser main derd hone laga main utha aur drawl main pari disprine ki goli dali to kuch ferq para phir thori hi der baad aik mertaba phir se mere ser main derd hone laga is bar derd shadeed tha mujhe aisa laga jese mere ser pe koi hathora mar raha ho televison ki awaz mere kanon main isterhan goonj rahi thi jese koi anari dholakya bari zor se dhol baja raha ho meri ankhon k samne ik tareeki cha rahi thi mujhe aisa lag raha tha jese sab kuch ghoom raha hai main ye takleef berdasht na kersaka aur lerkhara ker zameen pe gir gaya aur behosh ho gaya jab mujhe hosh aya to dekha k main fersh pe oondhe moo para tha tv usi terhan laga hua tha maine takat laga k khud ko uthaya aur tv band kiya mujhe thakawat mehsoos ho rahi thi maine socha k doctor k pas jata hoon maine gari nikali aur doctor k pas gaya doctor ko maine sab kuch bataya to doctor ne mujhe test karane ka mashwara diya tamam tests k baad jab main doctor k pas gaya: doctor bohot sanjeeda andaz main bola ahmer ayain baith jain main baith gaya phir doctor ne kaha ahmer aap k walidain is sheher main nahi hain isi waja se mujhe aap ko ye khud batana per raha hai k..........................
main apni chair se ahista se uth khara hua mera dil zoron se dharakne laga aur bari ghabrahat bhari awaz main bola kak kak kya hua doctor sahab?
doctor sahib ne kaha wo ahmer aap ko.....wo aap ko barain teumer ho gaya hai.
ye sun ker to mere ausan khata ho gai aur kapkapati awaz main doctor se bola doctor sahib aap ko ghalati hui ho gi ye kese ho sakta hai.
doctor bola saber karain ahmer ye beemari khaternak zaroor hai mager lailaj nahi hai inshallah aap theek ho jain ge.
doctor ki hosla afzai ki waja se mere jism main umeed ki aik leher dori aur poocha doctor sahib kya main zaroor theek ho jaoun ga bilkul pehle jesa ho jaoun ga?
doctor ne kaha haan shayad,,,,,mera matlab hai aap theek ho jain ge is k liye aap ka major opration ho ga.
maine phir poocha main theek to jaun ga na doctor sahib?
doctor bola do and die situation hai aap hosla na hariye ALLAH sab behter ker de ga.
maine kaha doctor sahab aap plz aik bar phir check ker lain.
doctor bola ok i will check it again but aap ka problem serious hai main sahi terhan se check ker chuka hoon.
mujh per to jese qayamat si toot pari wo shadi ki tayariyan sab ki sab dhari ki dhari reh gai mujhe kuch samajh main nahi araha tha k ye sab kuch kese ho gaya zehen main aur kuch na aya aur pehle madeeha ko phone kya aur kaha k main us se mere ghar k pas wale park main milna chahta hoon main park main baith gaya aur bari bechaini se madeeha ka intezar kerne laga mujhe lagta tha madeeha se mil ker mere ander hosla peda hoga abhi main isi soch main tha k achanak kisi ne mujhe peeche se dhaka diya aur saath main awaz ki k baouu main chonk gaya aur ghusse se peeche mura to mere ghusse khatam ho gaya kyun k peeche madeeha khari thi mujhe dekhte hi wo khilkhila k hansne lagi boli der gai na buzdil kaheen k.
us waqt mujhe madeeha pe bohot pyar aya us k chehra pe masoomiyat thi us k khoobsoorat chehre pe khushi k asarat dekh ker meri aankhon main ansoo aagai mujhe rota dekh ker achanak madeeha sanjeeda ho gai aur boli kya hua ahmer tum ro kyun rahe ho?
maine madeeha ka haath apne haath main lete hue kaha madeeha main tumhain khona nahi chahta main tumhare bina jee nahi sakta wada karo k tum mujhe kabhi chor k nahi jao gi.
madeeha boli ahmer 1 maheene baad hamari shadi hai aur tum kesi baatain ker rahe ho tumhain kya ho gaya hai main bhi tumhare baghair jee nahi sakti tum se shadi bhi ker rahi hoon mager tum to yoon keh rahe ho jese main kaheen bhagi chali ja rahi hoon.
maine bola sorry madeeha main zara pareshan hoon.
madeeha ne poocha kya pareshani hai tumhai?
maine kaha mujhe brain teaumer ho gaya ab mera opration ho ga do and die situation hai.
maine aik hi saans main sab keh dala.
ye sun ker madeeha hasne lag pari aur boli k tum mazak ker rahe ho.
maine jab use yakeen dilaya k main mazak nahi ker raha to madeeha ne ahista se apna haath mere haath se juda kerte hue kaha ye kese ho gaya? ab hamari shadi ka kiya hoga wo khwab jo hum ne dekhe the wo lambi lambi palainings jo hum ne hum ne ki theen un ka kya ho ga.
maine madeeha se kaha k hum apni shadi late ker lain ge madeeha ne jawab main kaha k wo ghar walon se baat kare gi phir madeeha chali gai mujhe madeeha k is rawayye pe bohot hairani hui.
phir maine apne ammi abbu ko sab kuch bata diya wo sab kaam kaj chor ker mere pas agai meri ammi ko bohot dukh hua doctor k mashware pe mera opration london main karane ka faisla kiya gaya.
hum pehle hi se bohot pareshan the k gham ka aik aur badal hamare ser pe phoot para wo mere liye bohot hi derdnak lamha tha hamare ghar aik letter aya madeeha k ghar walon ki taraf se jis main likha to bohot kuch tha per main aap ko ser seri keh doon k likha tha k ahmer ki beemari ka bohot afsos hua hai ye kafi pareshani wali baat hai aur in ki to 1 maah baad shadi bhi hai ab hum ager shadi ko late karain to bhi kuch imkanat nahi lagte k ahmer bach jai kyun k ye brain teumer ki beemari bohot zalim hai ager koi theek ho bhi jai to kum aaz dimaghi halat main ferq zaroor ajata hai aur hamain to ahmer k aasar bhi theek nahi lagte jese us ne madeeha ko park main bula ker jo kuch kiya wo sab is baat ki tasdeek kerta hai.
is sub k baad hum is faisle pe pohonche hain k ab ye rishta mazeed kayam nahi reh sakta aur is faisle main madeeha bhi hamari hum khayal hai.
hamain maaf kerdijea ga madeeha hamari bachi hai hum use is terhan to nahi biyah sakte us ki zindagi ka sawal hai.
yeh keh ker ahmer khamosh ho gaya.
phir baba ne ahmer se poocha aaj is baat ko muddat guzer gai hai?
ahmer bola aaj subha hi ki baat hai. maine khat perhne k baad madeeha ko phone kiya mager us ne nahi uthaya phir mujhe khayal aya k wo to abhi university main hogi main wahan us k peeche pohoncha aur use khat dikha k kaha k ye sab kya hai madeeha boli plz ahmer tum kyun nahi samajhte.
maine kaha kya nahi samajhta main?
madeeha boli dekho mere aage poori zindagi pari hai main apni zindagi kese guzaroon gi.
maine ghusse main kaha kya tum mujhe sach main pagal samajhne lagi ho.
madeeha boli ahmer mera rasta choro meri class ka waqt ho gaya hai.
ahmer ne kaha bhool gai tum wo wade, wo kasmain, jo hum dono ne khai theen.
madeeha jhalla k karakti awaz main boli kehne aur nibhane main bohot ferq hota yoon to log saath jeene merne ki kasmain bhi khate hain mager kab aisa hota hai tum ne to mujh se ye bhi kaha tha k main tumhare liye chand tare tor laoun ga bolo aisa ker sakte ho ahmer samajhne ki koshish karo ager main tum se shadi kerloon to kal ko main kya karoon gi jab tum...............
ye keh ker wo khamosh ho gai.
main bola bas bas theek hai main samajh gaya jan gaya tumhari muhabbat ab tum se kabhi nahi miloon ga ye keh ker main ghar agaya bas ye meri kahani hai.


phir baba bola to tum ne ye faisla kiya k tum jan de do?
haan ahmer ne jawab diya mere paas or koi rasta bhi nahi.
baba bola wah re wah lanat ho teri jawani per jo aik lerki ki khatir tu kurban ker raha tha tu janta hai tujhe ye thoker kyun lagi?
taake tujhe ye ahsas ho jai k ye dunya ki muhabbat kiya hai, acha tu mujhe aik baat to bata tu ne kabhi aik bar bhi socha k koi aisa bhi hai jo tujhe sab se zyada pyar kerta hai teri us mehbooba se zyada tere maa baap se zyada sab se zyada?
ahmer ne kaha nahi akhir kon ho sakta hai?
baba bola ALLAH TALA.
tu ne kabhi ALLAH se dil se dua ki kabhi us ki ibadat ki kabhi us se kuch manga hamare pyare nabi HAZRAT MUHAMMAD(S.A.W) ki sunnat pe kabhi amal kiya quran majeed kabhi perha bhi hai ya nahi.
tu kuch janta hai bhi ya nahi.
kabhi maa baap se acha sulook kiya un ki khidmat ki bhi ya wo bhi khair khairiyat hai.
ahmer bari hairani se baba ki taraf dekhe ja raha tha us k pas ab kehne ko kuch na tha.
baba bola bache zara soach tujhe kiya zaroorat thi baghair shadi k pyar mohabbat ki isi waja se to tujhe chot pohonchi hai ager tu ye sab na kerta to tujhe itna dukh na hota.aur haan is ka bhi bohot gunah hai k tu aik namehram aurat k saath is terhan ghoome phire us k saath khule aam bari beshermi se gap shap lagai jo tawajja tu ne us larki ko di hai ager tu wo ALLAH ko deta to tera aisa hal na hota kam az kam apne maa baap ki to khidmat kerta us pe bhi ALLAH rabbul-izzat khush hota aur bara ajer deta hai maa baap ko sukh dena to door ki baat tu ne to unhain dukh diya jo wo tujhe spain se pakistan chor gai take tu ghalat herkatain chor de,phir baba ne hadees bayan ki.
aik hadees main aya hai
[{HAZRAT ABU HURERA (R.A) se riwayat hai k
hamare pyare nabi HAZRAT MOHAMMAD(S.A.W) ne fermaya us ki naak khak main mil jai us ki naak matti main mil jai: arz kiya gaya ya rasoolullah (S.A.W) kis ki?
fermaya jo apne walidain ya un main kisi aik ko burhape main paye aur un ki khidmat ker k jannat main dakhil na hosake.}]

arey zalim ye dunya fani hai sab khatam ho jai ga bas rahain ge to tere aamaal.
l
baba ki ye baatain sun ker ahmer ki ankhon se ansoo nikal aye wo roya to bohot bar tha mager aaj us ka rona bara alag tha dil se tha jo dil k sare dagh dho de ahmer bola baba kya ab ALLAH mujhe maaf kare ga.

baba bola kyun nahi bache tu ALLAH se dil se mafi mang aur ayenda se aisa ghalat kam na kerne ka ahed ker le aur umeed rakh k ALLAH tujhe maaf ker de arey ALLAH to wo hai jo insan se setter(70) maaon jitna pyar kerta hai aur ager tu us se dil se dua mange aur wo kabool na kare aisa ho nahi sakta.
ahmer bola ab to sabhi masjidon ko tala laga hai main kahan jaoun?
baba bola beta masjidon ko tala laga hai bakhshish k derwazon ko nahi.
ahmer bola samajh gaya baba main is pas wale ground main ja k nimaz perh leta hoon pas main neher bhi hai wazoo bhi waheen se ker loon ga.
baba bola ghar main ker lena,serdi bohot hai.
ahmer bola nahi baba ghar main nahi main to yaheen perhoon ga.
baba bola acha theek hai to tum ab jao.
ahmer ne baba se poocha baba aap kon hain aur kahan se aye hain?
baba muskurate hue bola beta main aik musafir hoon maine sari umer ilm hasil kerne k liye aik jaga se doosri jaga bohot safer kiya hai aur mera asli thikana lahore main hai aaj main subha ki train se wapis lahore jane wala hoon lagta hai ab mujhe jana chahiye subha ki azan ko sirf dedh ghenta reh gaya hai baba ne apni ghari ko dekhte hue waqt bataya /phir kaha khush raho beta ALLAH tumhai sehetmand aur tumahi beemari ko theek kerdai.ameen
phir baba wahan se chala gaya.
ahmer ne wazoo kiya aur nimaz perhna shuru ki
kafi der tak ahmer dua kerta raha phir azan ki awaz ahmer k kanon main goonji ahmer masjid ki aur chal diya wo masjid ki taraf jate jate ye keh raha tha main ab kabhi aisa kam na karoon ga jis se mera rab naraz ho jai aur apna opration kerwaoun ga aur mujhe ALLAH pe poora bharosa hai k wo mujhe theek kerde ga, abhi wo yehi soach raha tha k us k phone ki ghanti baji us ne dekha k us ki ammi ka phone tha ahmer ne phone attend kerte hue kaha asslam alaikum ammi jee main bas ghar ata hoon nimaz perh k.
ammi boli beta hum kab se pareshan the tumhare liye aur tum,hara no.abhi ja k mila hai us waqt se tumhara phone band araha tha.
suno tumhare liye aik khush khabri ki baat hai.
ahmer bola wo kiya?
maa ne kaha wo ye k raat ko jab tum bahir chale gai to doctor sahib aye the unhon ne bataya k tumhara test phir se check kiya gaya hai wo bohot shermindah the aur keh rahe the k un se tumhare test main ghalti hui hai unhon ne bataya k tum bilkul normal ho wo derd jo tumhare ser main utha tha wo shayad zyada soch o buchar k baas ya bohot tele vision dekhne k baas hua hoga acha beta jaldi ghar ajana.
ye sun ker ahmer bohot khush hua aur seedha masjid gaya nimaz perhi ALLAH ka shuker ada kiya aur khushi khushi wapas ghar ko rawana ho gaya masjid se nikalte hi dekha k asman per se tareek chader jhat gai thi jo apne saath ahmer ki pareshaniyan aur gham bhi le uri thi her taraf parindon ki cheh-cehahat sunai derahi thi jo apne guzre din ko bhulai nai din ka aghaz bare josho kharosh se ker rahe the sooraj bhi nikalne ko tha raste main jate hue ahmer ko hawa main urti aik fakhta nazer ayi jo bare fakher se apne paron ko pherpharati hui apni manzil ki aur ur rahi thi ahmer ko khayal aya k ye wohi fakhta hai jo raat k andhere main na dekhne k baas khamoshi se tar pe bethi thi apne ashyane se bhatak gayi thi ab wo subha ki ujli kiran main sab kuch dekh sati hai aur ba asani apne ashyane tak pohonch sakti hai ye dekh ker ahmer muskuraya aur apne ghar ki aur chal diya.

khatam shud.
 
Top