Masajid Ka Ehteraam

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بســم الله الرحمــن الرحيــم 0
الســلام عليــكم دوســتو




Dosto masajid hamari ibadat gaah hoti hain jahan hum rozana 5 waqt namaz ada karte hain.in masajid k kuch aadaab hote hain jo hum par wajib hain.aaj main usi ka zikr karunga inshaAllah.

Allah taala quran e majeed me surat al aaraaf aayath no.31 me irshaad farmata hai

يَا بَنِي آدَمَ خُذُوا زِينَتَكُمْ عِندَ كُلِّ مَسْجِدٍ وَكُلُوا وَاشْرَبُوا وَلَا تُسْرِفُوا ۚ إِنَّهُ لَا يُحِبُّ الْمُسْرِفِينَ ﴿٣١
اے اوﻻد آدم! تم مسجد کی ہر حاضری کے وقت اپنا لباس پہن لیا کرو۔
اور خوب کھاؤ اور پیو اور حد سے مت نکلو۔ بےشک اللہ حد سے نکل جانے والوں کو پسند نہیں کرتا (31)


aur isi tarha hazrat jaabir raziAllahu anhu riwayat karte hain k rasool(pbuh) ne farmaya."jisne kaccha piyaaz aur lahsan khaaya wo humse alaahida rahe.ya aapne(pbuh) yun farmaya k wo hamari masjid se dur rahe aur apne ghar me hi baitha rahe." (sahih bukhari )

aur isi tarha dosri aur riwayat me yun mazkoor hai k "jis shaqs ne piyaaz,lahsan,gandana khaaya ho wo hamari masjid k qareeb na phatke kyunke jin cheezon se insan ko takleef mahsoos hoti hai inhi badboo daar cheezon se farishton ko bhi takleef hoti hai. ( sahih muslim 395/01 )

isi me cigarette tobacco aur dosri cheezein bhi shamil hain jinse baazo namaz parh rahe shaqs ko takleef hoti hai.aisi cheezon ka chalan hamare muashare me aam hota jaa raha hai.

hazrat omar bin qattab raziAllahu anhu ek martaba juma ka qutba dete hue irshaad farmaya " aye logo tum do badboo daar daraqt piyaaz(onion) aur lahsan khaate ho jabke maine rasool(pbuh) ko dekha k agar aap masjid me ksi aadmi se piyaaz aur lahsan ki badboo paate to isse masjid se nikalwa dete aur (masjid e nabwi se kuch faasle par ) baqi naami jagah par chale jaane ka hukum dete lehaaza jo shaqs piyaaz aur lahsan khaana chahe to isse paka kar badboo qatam karke khaaye."

isliye hame har tarha ki badboo daar cheez se bachna chahiye jisme cigarette smoking tobacco aur socks etc ki poo se baazo khare dosre namazi ko takleef hoti ho.
 
Top