Mar Marin Hath Ka Ik Takyah Banaya Karti

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Hum ne Kushyoon ki tarah Dukh bhi Akathey dekhe
Safha zeest ko palto ge to Yaad aaonga

Usi andaz mein hote the Mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likho ge to Yaad aaonga

Sard raatoon ke mahakte huye Sannatoon se
Jab kisi phool ko Chumo ge to Yaad aaonga

Ab to ye Ashk main aakhun se Chura leta hoon
Haath se khud inhein Poncho ge to Yaad aaonga

Shal pahnaye ga ab kon December mein tumhein
Tum siya rang Pahno ge to Yaad aaonga

****************************

Kash mein tere Haseen hath ka Kangan hota
Tu bare Pyar se chao se bare maan ke sath

Apni Nazuk si Kalayi mein Charati Mujhko
Aur be tabi se Furqat ke khezan Lamhon mein

Tu kisi Soch mein doobi jo Ghumati mujh ko
Mein tere hath ki Khushboo se Mehak sa jata

Jab kabhi Mood mein aakar Mujhe Chuma karti
Tere Honton ki Hiddat se Dehak sa jata

Raat ko jab bhi tu Needndon ke safar par jati
Mar marin hath ka ik Takyah Banaya karti
 
Top